Guide lines of Low and High spread brokers in forex trading
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Guide lines of Low and High spread brokers in forex trading
    Guide lines of Low and High spread brokers in forex trading
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Forex main account banaty waqt hamain broker select karna hota hay in main say kai brokers same security per normal commission aur kai brokers high commission charge kartay hain, jab bhi hum trade open kartay hain to start main kuch pips broker kay commission kay liay fix hotay hain unhain spread kehtay hain, spread bid price aur ask price kay difference ko kehtay hain, currency pairs main hamesha two price given hoti hain aik bid price jis par ap base currency ko sell karta hain aur dusri ask price jis par buy kartay hain, Transfer of trade to liquidity provider by broker: Broker apna commission hasil kar kay apki trade liquidity provider kay pass transfer kar daita hay, is tarah further trade main loss ho to ap kay account say liquidity provider utni amount deduct karta hay aur profit ki surat main utni amount ap k account main transfer karta hay, hamain low spread walay pairs par trading ki koshish karni chaiay ta kay hamara profit jaldi start ho sakay, Low spread brokers: tamam brokers kay spread different hotay hain, low spread walay pairs par trade ki waja say trader kay loss kay chances minimum hotay hain kiun kay agr thek trade open ki jay apki to woh jaldi profit ma chali jati ha, high spread walay brokers ki bid price aur ask price ma ziada difference hota hay, is main trade kartay huay profit late start ho ga kiun kay apko pehlay spread ki bari value clear karni parti ha, is tarah k pair main tab hi trading karain jb apko confirm ho market ma hmari trade k mutabik hi moment karni hay, wo broker jin k low spread hotay hain wo bhot popular hotay hain khas tor par scalping traders kay liay kiun kay scalping ka matlab hota hai boht ziada trades open karna, lihaza agr spread ziada ho ga to unko ziada amount pay karna paray gi jis ka effect un kay overall profit par parta hay, kai cases main to ye commission 100 pip hota hay, low spread ki waja sy trader k financial loss decrease ho jaty hain. Ye har trader ki koshish hoti hay kay usk losses hamesa kam hon, laikin aksar ye bhi dakhnay main aya hay, kay wo us broker ka he spread low hota hai jis ko join karnay kay lae heavy investment karna hoti hay, lihaza trader ko pehlay apni investment ko bhi consider karna chaiay aur phir hi broker ko select karna chaiay High spread broker: Yeh aisay broker hotay hain ki bid price aur ask price main biht ziada difference hota hay, is ki hi waja say trader ko high commission pay karna parta hay aur is ka sab say ziada effect scalpers ko hota hai kiun kay woh aik din main bhot saray orders open kartay hain or har trade par unko commission pay karna hota hay, lihaza trader ko overall loss ka samna karna parta hai. Jin traders k pass start ma high investment karnay ka option ni hota un kay liay majburan is high spread waly broker ko join karna parta hai. High spread waly brokers ma hamesha tab hi trade open karni chaiay jab apko maximum profit hasil karnay kay chances hon
     

    اب آن لائن

    Working...
    X