What is Slippage Role
No announcement yet.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What is Slippage Role
    What is Slippage Role
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Slippage Role Dear Friends, forex ma slippage hm us situation ya condition ko kehtay hain jb koi order open ya close kia jay to current position ki bjay market upward ya downward move kar jay aur hmara order aik new position par place ho jay, slippage us waqt hoti ha jb market ma buy aur sells k darmian equillibrium na ho, forex ma 2 tarah ki slippage hoti ha aik positive aur dusri negative slippage. Positive slippage jb hm market ma koi order place kartay hain to market k back move karnay sa hmara order aik new aur less position par execute ho jata ha jo ziada mufeed sabit ho is ko hm positive slippage kehtay hain, isi tarah koi order close kartay huay b agr market up move kar jay aur new position par trade close ho to ye b positive slippage kehlata ha, jaisay hm trade open karnay k liay kisi pair ko 1800.00 par buy karain aur market further down move kar jay jis sa hmara order 1750.00 par execute ho ya trade close karnay k liay hm 1800.00 select karnay ki koshish karain lakin market up move kar jay aur hmari trade 1850.00 par close ho in situations ko hm positive slippage kehtay hain. Negative slippage jb hm market ma order place karain aur prices further move kar jaen jin sa hmari trade ghalat situation par open ho jay usay negative slippage kehtay hain, jaisay agr hm kisi pair par 100.00 par trade open karain mgr wo 101.00 par execute ho jay, ya isi tarah agr hm koi trade close karnay k liay 100.00 ki position select karnay ki koshish karain mgr trade 99.00 par close ho jay in conditions ko negative slippage kahain gay Slippage to Handle in Trading Forex trading me slippage jb trader ki favour ma ho jae to esko ham positive slippage kehty hain. Jesa k trader ko agr trade close karni hai or wo trade close ni hoe to bad ma trader ka profit zayada ho jata hai to esko ham positive slippage kehty hain. But agr trader apni trade ko slippage ki waja sy close ni kar pata or market profit sy loss ma ponch jati hai to esko ham negative slippage kehty hain. Trader trading tools k help sy market slippage ko counter kae sakty hain. Ik trader ko agr trade close karni hai to esko chahe k stop loss or take profit use kary or trader ko agr trade open karni ho to esko chahe k wo pending orders ko use kary or trade ko open karny k lae wo limit order ya stop order ko use kary. Or apny account ki base par manage kary.
     
    • #3 Collapse

      Aoa. Kya haal hy ap sbka umeed hy ap sbka kam bht acha chl rha hoga. Aj jis mozu py hm baat kre gy wo hy. What is Slippage Role Topic: What is Slippage Role slippage kya hai? slippage se morad tijarat ki mutawaqqa qeemat aur is qeemat ke darmiyan farq hai jis par tijarat ki jati hai. phislan kisi bhi waqt ho sakti hai lekin market ke orders istemaal honay par ziyada utaar charhao ke douran sab se ziyada aam hota hai. yeh is waqt bhi ho sakta hai jab aik barray order par amal kya jata hai lekin mojooda boli / poochnay ke spread ko barqarar rakhnay ke liye muntakhib kardah qeemat par kaafi hajam nahi hai. ahem take ways slippage se morad woh tamam halaat hain jin mein market ke shareek ko matlooba qeemat se mukhtalif tijarti amal daraamad ki qeemat millti hai. phislan is waqt hoti hai jab boli / poochnay ka phelao market order ki darkhwast ke waqt aur exchange ya deegar market bananay wala order par amal daraamad karne ke darmiyan tabdeel hota hai. phislan market ke tamam maqamat par hoti hai, Bashmole bandz, krnsyon aur fyochrz slippage kaisay kaam karta hai? slippage kisi manfi ya misbet harkat ki nishandahi nahi karta hai kyunkay matlooba amal daraamad ki qeemat aur asal amal daraamad ki qeemat ke darmiyan koi bhi farq phislan ke tor par ahal hai. jab kisi order par amal daraamad kya jata hai, to exchange ya deegar market bananay walay ki taraf se paish kardah intehai sazgaar qeemat par security kharidi ya farokht ki jati hai. yeh aisay nataij peda kar sakta hai jo matlooba amal daraamad ki qeemat se ziyada sazgaar, masawi, ya kam sazgaar hon. hatmi amal daraamad ki qeemat ba muqabla matlooba amal daraamad qeemat ko misbet phislan, koi phislan, ya manfi phislan ke tor par darja bandi kya ja sakta hai . market ki qeematein taizi se tabdeel ho sakti hain, jis se tijarat ke order kiye jane aur is ke mukammal honay ke darmiyan takheer ke douran phislan waqay ho sakti hai. yeh istilaah market ke bohat se maqamat par istemaal hoti hai lekin tareefen aik jaisi hain. taham, phisalna har maqam ke liye mukhtalif halaat mein hota hai. agarchay had ka hukum manfi phislan ko rokta hai, lekin agar qeemat had ki satah par wapas nahi aati hai to is mein tijarat ke mukammal nah honay ka moroosi khatrah hota hai. yeh khatrah un halaat mein barhta hai jahan market mein utaar charhao ziyada taizi se hota hai, jis se tijarat ke liye matlooba qeemat par mukammal honay ke liye waqt ki miqdaar ko numaya tor par mehdood kar diya jata hai . slippage ki misaal ziyada aam tareeqon mein se aik jo phisalna hota hai woh boli / poochnay ke phelao mein achanak tabdeeli ke nateejay mein hota hai. jab aisa hota hai to market order ko asal maqsad se kam ya ziyada sazgaar qeemat par amal mein laya ja sakta hai. manfi phislan ke sath, taweel tijarat mein poochnay mein izafah sun-hwa hai ya mukhtasir tijarat mein boli kam hui hai. misbet phislan ke sath, taweel tijarat mein poochnay mein kami aayi hai ya mukhtasir tijarat mein boli barh gayi hai. market ke shurka had ke order day kar aur market ke orders se guraiz kar ke khud ko phisalnay se bacha satke hain .
      • #4 Collapse

        Slippage in forex Slippage sy murad yeh hai k jb aap kisi pair mn trade open krna chahty hain to aapko us point par trade lgany mein bar bar trade accept krny kybad bhi trade open nahi ho rhi hoti jiski wjha yeh hota hai ky jis point par aap trade open karty hain us par confirmation ka message accept karny se pehly hi market kisi aur point par phnch chuki hoti hai. Isko market ki slippage kaha jata hai Forex mein fast paors mein kam.​Karty huey aapko baaz dafa slippage ka samna karna parta hai aur ek hi trade mein enter hony ky liye bar bar open request bhjni parti hai. Mostly gold mn trade krty howe market slippage ka samna hota hai Q k y Gold ki movement bhut taiz hoti hai aur seconds wose yeh change ho rhi hoti hai aur agar aap kuch seconds ka delay bhi krain gy to aapko market slippage ka samna karna pary ga. Description:- Market mn slippage ki 2 types hoti hain. Ek woh jo positive hoti hai Q k is mein market slipp karty howe aapki trade ky favour mn jati hai aur us point par se aap trade open kar skty hain. Dusra jo apki trade ky opposite gaye ussy market ki negative slippage kaha jata hai. Market mn slippage har pair me ho skti hai aur jab bhi aap trade lgayen to aapko slippage ki wjhabse dobara trade ki confirmation karni par skti hai. Is se bachny ky lye aap ko chahye ky market mein kam karty howe advanced trading seekhyn aur aap slippage avoid krny ky liye pending orders ka use kar skty hain. Explanation:- Market trend mn bhi slippage aata hai hai or jab yah market mein se lekar jata hai to market mn downtrend chal rha hota hai aur job market ek gate ke sath aur bhi downtrend mein jaati hai to usko ham market ka downtrend select page kahate Hain yah bhi market ke liye bahut important hai isko samajhna bhi hamare liye jaruri hai Qk is se hamain downtrend ki bhut acchi trade bhi mil jati hai aur downtrend mein hamari trading kafi heartattack kam jab ho sakti hai aur ti hamare liye bahut hi better option hota hai isliye hamen jarur isko samajhna chahiye aur is km Karni chahiye. Understanding :- slippage sy hm market mein kafi acha Trend bana skte hain aur ISI hamen kafi achi kamyabi mil sakti hai aur hamen bahut hi hi acchi entry ke sath achcha munafa bhi mil sakta hai isliye hamen select ko jarur parkhit main karna chahie yah market ka Trend chal raha hota hai to is mahine achcha khasa gate par jata hai hai aur gate ke bad market open Hoti hai ham is ko market ka slippage kahate Hain.
        • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
        • #5 Collapse

          What is slippage role Forex trading mein slippage ek aam use hony wala tool hai jo trading order ke execution k dauraan hota hai Slippage ka matlab hai ki aik trade order ki price execution mein expected price sy alag hoti hai Yeh execution ki unexpected price movements ya liquidity issues ki wajah syhota hai Slippage ki wajah sy traders ko expected sy kam ya zyada profit ya loss ho sakta hai Is k alawa slippage ki wajah sy traders ko trade order ka execution delay bhi ho sakta hai jis sy un ki trading strategy effect nahi kar pati slippage ko minimize karny k liye traders k paas kuch techniques hoti hain jesy k limit orders stop-loss orders trailing stops and guaranteed stop-loss orders in techniques sy traders apny risk ko kam kar sakty hain or slippage sy bach saktey hain Information about slippage role slippage aik aam baat he hai lakin ye trading mein bahut common hai Slippage ka matlab hai ki apni trade ke liye aik price decide kiya tha lekin aap k order ko execute karny k waqt market price us sy different ho gaya Is ka result hota hai ki aap ki trade wo price sy execute hota hai jo ap ny originally decide nahi kiya tha Slippage bohat reasons sy ho sakta hai jesy k market volatility low liquidity fast moving markets news events and technical issues Kuch situations mein slippage bohat bara bhi ho sakta hai or iska result ap ki expected profit or loss sy bohat different ho sakta hai Slippage se bchny kl liye aap limit orders ka use kar sakty hain Limit orders aap ko allow karty hain k aap aik specific price pe buy ya sell karen or jab market us price tak pahunchti hai to aap ka order execute hota hai is sy aap slippage sy bach sakty hain lekin market conditions k zariye aap k order ka execution ho na ho is mein koi guarantee nahi hoti in conclusion slippage forex trading mein bohat common hai or aap ko is ka impact trade k results py affect karta hai Isliye aap ko hamesha market conditions ko samajhna chahiye or apni trades ko properly manage karna chahiye Slippage reasons Slippage usually tab hota hai jab aap order creat karny k liye price ki demand karty hai lekin us price par execution nahi hoti hai instead us sy thora sa difference hota hai Slippage ke kuch main reasons hote hai, jaise ki: High market volatility: Jab market mein bohat zyada volatility hoti hai toh price mein sudden movement aati hai or execution price expected price sy different ho jaati hai Low liquidity: Low liquidity situations mein yani ki jaha bohat kam number mein buyers or sellers hai toh execution price expected price se different ho jaati hai Slow internet connection: Agar aapka internet connection slow hai toh b aap k order execution delay ho sakti hai or is sy bhi slippage ho sakti hai

          اب آن لائن

          Working...
          X