Sideways Trend in Forex:
No announcement yet.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Sideways Trend in Forex:
    Sideways Trend in Forex:
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Introduction Dear member Kya hal hn umeed krta hun aap sab log kheriyat sy hongy Or Market mn Acha kam kar rhy hon gy. Market nn kam krne k liye aap k pass acha experience hona bhut zaruri ha. Jitna acha aap k pass knowledge hoga utna he aap acha earnring kar Sakogy. Aaj aapko batata Chalun ke main aapke liye ek new topic ly kr aya hon jis sy aap ko Kafi ziada knowledge hasil hoga. Sideways Trend Trend ki amoman 3 types hoti hain. Jin mn phla bullish trend, dusra bearish aur 3rd sideways trend hai. Sideways trend dusry trendline sy bhut mukhtalif hai. Sideways trend se murad aik seedhi line hoti hai, jis mn na to price Uper (up) ya nechay (down) ki taraf gati, bul k up-down, down-up k hisab se chal rhi hoti hai. Sideways trend me market kisi bare breakout k intezar me hota hai, jab tak us ko kisi aik side pe mazbot ishara (signal) nahi melta hai. Sideways trend me traders ko market k kisi aik side pe breakout ka intezar karna chaheye, q k is me na to "buy" aur na hi "sell" ka signal clear hota hai. RULES OF SIDEWAY: Sideways trend mn line trading range mn trade kar rhi hoti hai, yani ye line na bullish hoti hai aur na hi bearish hoti hai. Sideways trend mn prices par na to buyers ka pressure hota hai aur na hi bearish pressure hota hai. Sideways trend mn prices kisi aik side par lazmi breakout hone k intezar me hoti hai, q k ye trend hamesha nahi reh sakta hai, aur na hi ziadacwaqat k leye ye trend barqarar reh sakta hai. Sideways Trend par Trading Sideways trend line par trading dosre trend prices ki nisbat riski hai, q k is trend mn prices ke direction clear nei hota hai. Ye trend line do support aur resistance lines k darmiyan trade kar raha hota ha. Jiss me prices na to upward resistance line ko asarni se uboor karti hai aur nahi downward side par support level ko breakout karti hai. Qeematen jab bhi breakout hoti hai to iss se prices bohut teezi k sath kisi aik direction main move hona shoro hoti hai. Traders ko chahiye k trading k liye sideways trend mn pehle technical analysis se help ln. Commodities aur energies par trading k leye news ya events ka intezar karna chaheye, jab k technical analysis ko currencies pairs par apply karna chaheye. Dollar ki mazboti se commodities ki values me kami jab k kamzori se commodities strong hote hen. Sideways trend me stop loss ka lazmi istemal karen, jo k range trading k qareeb lagayen, jis se prices ka ziada breakout k chances hon
     
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Sideways Trend of Markete Discussion ;- Forex trading ki duniya mein, aik side way rujhan se morad market ki haalat hai jahan currency ke jore ki qeemat kisi bhi numaya oopar ya neechay ki taraf rujhan ko zahir kiye baghair nisbatan tang range ke andar muntaqil hoti hai. market ki is qisam ki haalat ko" range bound" market ke naam se bhi jana jata hai. Risk Management ;- Aik taraf rujhan ke douran, tajir aksar range ke nichale siray par kharidne aur range ke oopri siray par farokht karne ke mawaqay talaash karte hain. Is hikmat e amli ko range trading ke naam se jana jata hai aur yeh un taajiron ke liye aik munafe bakhash tareeqa ho sakta hai jo range ke andar ahem support aur muzahmati sthon ki nishandahi karne ke qabil hain. Market Anylesis ;- Taham, yeh note karna zaroori hai ke aik taraf ka rujhan market ki simt ki kami aur utaar charhao ki nishandahi bhi kar sakta hai, jo mustaqbil ki qeematon ki naqal o harkat ka andaza lagana mushkil bana sakta hai. Nateejay ke tor par, taajiron ko ahthyat baratnay aur range se mumkina break out ki shanakht mein madad ke liye izafi takneeki tajzia ke alaat istemaal karne ki zaroorat par sakti hai. Sideways Trend is Dangerous ;- Sideways trend may trading kerna kafi deficult hota hay is may kafi achay experience walay tradera bhi fail ho jatay hain markete say releted ager working strong ho ho to tradin may members ko achay reaults mil jatay hain. Strong working k liye achay knowledge ka hona boht zrori hay is k beghair kisi bhi trading stretegy ko apply ker k or achi earning nahi ki ja sakti hay.

      اب آن لائن

      Working...
      X