What is Trend And how we Identify

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What is Trend And how we Identify
    What is Trend And how we Identify
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    What is Trend And how we Identify Financial market me traders musalsal chalti howe mukhtalif qeematen (prices) ko aik jagah pe tarteeb de kar charts ya pattren banate hen jo k us se aik khas qisam ka result nekalne k leye, un prices ko jab aik line se jora jata hai aur us ki jo position ban jati hai wo trend line kehlata hai. Trend lines se hi forex trading me traders mukhtalif qisam ki results k bunyad pe trading karte hen. Aur is pe hi analysis ki jati hai. Forex trading me trends line mukhtalif qisam ki ho sakti hai, ya to ye trend line bullish trend line hogi, ya ye bearish trend line hogi aur ya ye sideways trend line hogi. Bullish trend line Financial market me jab hamare musalsal qeematen aik upward semat ko zahir karen aur ye qeematen lagatar uper ki taraf ja rahi ho to jo line bane gi wo bullish trend line kehlati hai. Is me market me pattren ki jo candle stick ki position hoti hai un ka closing point aik dosre se oper ki taraf banta hai. Ye trend line is waja se hoti hai jab market me demand ziada aur supply kam hoti hai, ya supply normal ho lekin demand ziada ho jati hai. Bearish trend line Financial market me Bearish trend line us waqat banti hai jab market me supply ziada hoti hai aur demand kam ho jati hai, ya market ki supply normal hoti hai lekin demand kam hoti hai to is se market ki jo line banti hai, wo market ki bearish trend line hoti hai. Is me jo qeematen hoti hen wo musalsal gerti howi ja rahi hoti hai. Aur candle stick formation is tarah se hoti hai k har nex candle stick ki closing point pehli candle stick se downward hoti hai. Sideways trend line Financial market me ye line na to upward hoti hai aur na hi ye market me downward hoti hai. Bulke market straight aik seedhi line me ja rahi hoti hai. Lekin market ki breakout ki intezar me zaror hoti hai. Sideways movement us waqat hoti hai jab market me supply aur demand dono equal ho aur kisi bhi side pe ziada dabao na ho.
     
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      what is trained trained aik umomi rukh hai jis mein kisi cheez ki taraqqi ya tabdeeli ka samti rukh bayan kya jata hai. maliyati marketz mein, trained aik security ki qeemat ke aam dorania ke douran ki janib ki harkat se wabasta hota hai .trained ko tasweer ke zariye shanakht karne ke liye, aik price chart istemaal kya ja sakta hai. price chart, kisi security ki tareekhi qeemat ki harkat ko dikhane ki aik khusoosi garphicel trsim hai. kayi qisam ke charts jaisay line chart, baar chart aur candialstacik chart istemaal kiye jatay hain .umooman, aik higher trade ki khasusiyat yeh hoti hai ke yeh aik silsila ki shakal mein hota hai jis mein muqami ziyada hais aur kam ziyada barhatay jatay hain. isi terhan, aik down trand ki khasusiyat yeh hoti hai ke yeh aik silsila ki shakal mein hota hai jis mein muqami kam haighers aur kam ziyada kam hotay jatay hain .

      اب آن لائن

      Working...
      X