Implementation of bolly band bounce trade strategy:

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Implementation of bolly band bounce trade strategy:
    Implementation of bolly band bounce trade strategy:
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    strategy actually hamain flat market ya side way moment main boht helpful hoti hay aur is strategy ka istemal is main bhi hamain profitable trading say faida daita hay, kiun kay kai traders ka khyal hota hay keh side way moment main trade laganay say behtar hay kay wait kia jay, jab kay ager ham ghor karain to sideway moment main bhi hamain aik temporary support aur resistance mili hoti hay jis par ham buy and sell ki small trades kay through earning kar saktay hain, Requirement of bollinger band for bolly band bounce strategy: Bolly band bounce aik achi trading strategy hay jis kay liay bollinger band indicator required hota hay, yeh strategy us waqt use ki jati hay jab market range bounded ho ya prices sideways move kar rahi hon, boht saray traders aisi situation ko trading kay liay acha nhi samajhtay laikin agr is situation main bolly band bounce kay zariay achi trading possible ho sakti hay, is strategy ko apply karnay kay liay hamain bollinger bands say achi tarah wakfiat honi chaiay, in main three bands hotay hain, jo upper, middle aur lower band hotay hain, middle band dusray dono bands ki base kay tor par act karta hay, Implementation of bolly band bounce trade strategy: Bolly band strategy main bollinger bands strong support aur resistance levels ki surat ma act kartay hain, jahan say price kay bounce honay kay chances ziada hon, traders is main price action kay crossover ki expectation rakhtay hain, is main outer band entry aur exit point act karta hay, is tarah stop loss aur take profit ko thek moment kay mutabik kisi bhi waqt adjust kia ja sakta hay, yeh strategy us waqt best kam karti hay jab market silent ho, is kay three bands kay darmian ki spacing volatility ki waja say hoti hay, bands ka ziada gap high volatility aur small gap low volatility ko zahir karay ga, yeh overbought aur oversold levels ko maloom karnay kay liay boht useful hain, jab price lower band ko hit karay to buy ki trade ki jati hay aur jab upper band ko hit karay to sell ki trade, Reliability of this trade strategy: Is strategy ki reliability hamain tab hi mil sakti hay jab market ka momentum slow ho aur kisi major economic news kay announcement kay chances bhi na hon jab kay ham price bounce kay tehat entry point ka bhi thek intikhab karain, kiun kay hamain yahan in small ranges main late entry itna profit nahi daiti aur kai baar stop loss bhi hit ho jata hay, lihaza hamain is main fibonacci retracement aur candlesticks kay patterns ko bhi in ranges kay liay consider karna chaiay, is say trader ko indication milti hay kay price outer band say bounce back ho gi aur mean ki taraf aa jay gi, chart ko observe karnay say aur is par banany wali candlestick ki shapes say trader yeh andaza laganay main kamyab ho jatay hain kay price kab bounce back honay wali hay,
     

    اب آن لائن

    Working...
    X