What is Scalping in Forex

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What is Scalping in Forex
    What is Scalping in Forex
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    What is Scalping in Forex Dear friends Scalping forex me aik term use hoti hy aik jis Ka mtlb kuraidna (Rashing krna) hota Hy isi trha agr ham dakhn to market me ham scalping sy Thora Thora profit nikaal rahy hoty hen ye basically experienced logo ki trading technique hai jiss me traders ko bht soch samajh kay he trading kerni chaye aur jab tak acha experience aur acha account balance nahi hoto uss waqt takk scalping trading nahi kerni chaiye. Forex trading mai scalping kerna bohat ziada aur jald profits earn kernay ka aik acha tareeka to hai laikin iss mai loss bhi bohat ziada aur jald he hojata hai. Scalping kay liye charts aur time frames ka bohat hisaab rakhna parta hai. Scalping mai ziada say ziada time frame M15 rakha Jata hai aur yeh time frames experts nay define kia Hua hai aur issi tarah market chart patterns mai Candlestick chart patterns he sub say best chart pattern hai jisay scalping kay liye use kernay ko prefer kia Jata hai. Scalping kay koi nuqsanaat nahi hai kiyu kay yeh aik technique hai jisay soch samajh kay istamaal kia jaey tou jaisay dusri techniques faida daiti hain wesay he yeh bhi faida daiti hai aur jaisay koi bhi dusri technique loss day sakti hai wesay he yeh technique bhi faida daiti hai. Risks Using Scalping Technique Dosto Scalping trading jahan forex market main bohat acha faida and profit deti hay wahan es kay kuch nuqsanat bhi hain jin sy hamesha apko agah rehna chye kyun Kay is strategy me choti si mistake apko big losses day skti hy. 1. Agar aap Scalping trading kar rahay hain and market main koi aesi vesi news aa jati hay achanak jis say market ki movement foran hi tabdeel ya volatile hoti hay to aap ko us say loss ho sakta hay. 2. Scalping trading main aap ko market main active reh kar trading karna parti hay full time active ho Kar kyun kay is me long term trading me ap Nahi ja skty instant trading Ka nam hi scalping hy. 3. Scalping trading k liay aap ko market k peak hours select karny partay hain jahan market ki volatility extreme py hoti hay jesa Kay European session me. 4. Agar market ki movement achanak badal jay to ham apna account bhi wash karwa saktay hain scalping trading ki waja say jo aik risk hy jis ko ap utha kay scalping krty hen. 5. Scalping trading main aap ko daily ki trade daily close krni parti hay chahy wo profit main ho ya loss main at the end of day usay close karna zaruri hota hay. 6. Scalping k leay aap k pas internet high speed hona chahay, internet ki thori si der ki interruption ap ko heavy loss karwa sakti hay kyun Kay big lot aur market ki volatility Kay sath play krna itna asan Nahi hota. Benifits of Scalping Dear friends, scalping trading ko select kyun krty hain us kay to bohat say fawaid bhi hain jin Jin ki madad sy kafi traders successful ho jaty hen wo darj zail hen. 1. Overnight k janjhat main nai karna parta ap quickly market sy Profit lay Kar out ho jaty hen. 2. Daily short timeframe main bohat achi trading kar k bohat sa profit uthaya ja sakta hay kyun Kay baaz okaat market me Kuch asy moqy aty hen Jahan ap sure hoty hen hay Yahan entery apki trade me big profit day skti Hy is leay ye aik benifit Hy is Ka.
     

    اب آن لائن

    Working...
    X