Bearish Engulfing Pattern:
No announcement yet.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bearish Engulfing Pattern:
    Bearish Engulfing Pattern:
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    INTRODUCTION: ASLAMUALIKUM DEAR FRIENDS! Dear friend ummid karta hun aap sab khairiyat se Honge aur Apna Kam behtr treeke se kar rahe honge market mein kam karne ke liye hard work karna hota hai aur apni learning Karni hoti hai aaj main aapko is market Mein Bearish Engulfing Pattern ke bare mein detail se bataunga agar aap is pattern ko learn kar lete hain aur is market Mein acchi tarike se kam kar dete Hain To aapko is market Mein kamyabi mil Jaati Hai Hamen is market Mein Kamyab hone ke liye apni learning complete Karni Hoti Hai Uske bad Ham is market Mein acchi tarike se kam kar sakte hain Ham is market Mein kamyab hone ke liye hard work karna Hota Hai. BEARISH ENGULFING PATTERN ??? Bearish engulfing candlestick pattern main aik bearish candle, current market k bullish trend ki akhari candle par upper side se attack karke ussi k lower side se below close hoti hai, jiss se market main bullish trend ka khatma ho jata hai. Ye pattern two days candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle aik bullish candle hoti hai, jo k qeematon ko upward push karti hai. Pattern ki dosri candle aik bearish candle hoti hai, jo k open pehli candle se above gap main hoti hai, lekin close pehli candle k k open point se below hoti hai. Pattern ki dosri candle pehli candle ko taqreeban mukamal tawar par apne andar gher leti hai, jo ko engulfing kaha jata hai. Bearish engulfing candlestick pattern ka opposite side ya top price par "Bullish Engulfing Candlestick Pattern" banta hai, jo k aik bullish trend reversal pattern hai. Bearish engulfing candlestick pattern main prices bullish trend k khatme par aik strong bearish attack hoti hai. Jiss se bullish trend bearish main badal jata hai. Ye pattern bearish aur bullish candles par mushtamil hota hai. Bearish engulfing candlestick pattern main pehli candle aik bullish candle hoti hai, ye candle price k uptrend ko show kar rahi hoti hai, jo k white ya green color ki candle hoti hai. Ye candle aik strong real body main banti hai, yanni candle ki real body shadow se ziada hoti hai. Bearish engulfing candlestick pattern ki dosri candle aik bearish candle hoti hai, jo k open to pehli candle k top par gap main hoti hai lekin close pehli candle k open price se below hoti hai. Ye candle color main black ya red hoti hai, jo k bearish trend ka khatma karti hai. WORKING : Bearish engulfing candlestick pattern two days candles ka aik bearish trend reversal pattern hai, jo k ulta "Bullish Harami Pattern" se mushabehat rakhta hai. Ye pattern high prices par ban kar same bearish trend reversal pattern ki tarah prices k bullish trend k khatme ka bahis banta hai. Pattern ki pehli candle aik real body wali bullish candle hoti hai, jiss ko aik bearish candle follow karti hai. bullish candle bearish candle k above par gap main open ho kar ussi k below close hoti hai. Second candle ki closing point pehli candle k opening point se below lazmi hona chaheye, warna agar ye closing point pehli candle k real body main hoti hai, to ye aik Dark Cloud Cover Pattern ban jayega. USES: Bearish engulfing candlestick pattern sellers ki achanak market main pressure ki waja se banta hai, jiss se market main buyers ki dabao ka khatma karke prices k top ko bearish trend main badal deta hai. Bearish engulfing candlestick pattern par trading se pehle aik confirmation black candle ka hona zarori hai, jo k dosri candle k baad real body main honi chaheye, jiss par sellers market main sell ki entry kar sakte hen. Aggar pattern k baad white candle banti hai to pattern ki reliability khatam ho jati hai. Stop loss k leye pattern ka sab se high position muntakhib karen, jo k dosri candle ka upper banega, se two pips above select karen.THANKS.....

    اب آن لائن

    Working...
    X