Fabonacci Indicator

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Fabonacci Indicator
    Fabonacci Indicator
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Fabonacci Indicator Dear Friends fabonacci indicator ko use kar kay ham market me behteen prediction hasil kr skty hen agr ham stop loss use karyn to ham less money loss ho ga. Trading ma jetna take profit achy place karna important hota hai es sy zayada zaruri ye hota hai k ham achy point par stop loss set karyn. Kiu k stop loss sy hamara account safe ho jata hai. Account safe ho jae to ham phr sy trade karny k kabil ho jaty hain. But agr account wash ho jae to ham trade karny k kabil he ni rehty. Benifits Fibonacci retracement sy na serf ham achy point ma enter ho sakty hain balky es sy hamy achy point pae trade sy out hony ka clue b mel sakta hai. Fibonacci Levels Aur Inka Istemal Fibonacci levels 23.6%, 38.2%, 61.8% aur 78.6% hain. Is indicator ki madad say trader do pricing points ko select karta hay. Jo keh periodically hoty hain. Ye one hour say weekly koi bhi time frame main ho sakty hain. Laikin in main say closest high aur low ko highlight karna parta hay. Trader fibonacci levels ki help say short term reversal ka pata chalata hay aur is tarah woh mukhtalif kisam kay turning points per swing trading karta hay. Yani woh sell ki trade aur buy ki trade karta hay. In points kay andar anadar jab jab market reversal laiti hay woh fibonacci levels ko daikhty huye entry and exit points kay darmian trading karty huye achi earning karta hay. Validity Of Fibonacci Levels Agarcheh fibonacci levels ki madad say jo hamain percentage milti hain is main ham mufeed trading kar sakty hain. Laikin yad rahy keh ager ye levels break out ho jayain to phir reversal na hony ki waja say profit ki bajaye hamain loss ho jata hay. Jab keh in levels ka maqsad he short reversal ko identify karna hota hay. Is liye ham simply fibonacci indicator per depend nai kar sakty aur iskay sath mazeed indicator aur fundamental analysis ki bhi support laini chahiye. Jab keh proper risk management ko hamesha recommend karna chahiye. Technical Point of View Agar hum market me manually support and resistence levels ko market Karen gay tu bohat mushkil hogi or wrong marking bhi bohat hoti hai magar ye indicator apko automatically levels of support and resistence marking kar deta hai jis se humen trading karny me bohat asani hoti hai aur dear friends agar agar app fibonacci retracement use kar rahay hain tou phir fibonacci fan ki zaroorat nahi hay fibonacci fan ki zaroorat jab parti hay jab market bilkul bullish ho ya bearish ho.
     
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Assalamu Alaikum Dosto!
      Fibonacci Retracement
      Italien mathematician "Leonardo Fibonacci" ne 13th century main apni kitab "The Book of Calculation" main fabonacci number ka concept paish kia tha. ye number unhon ne jiss ko trading k dowran support aur resistance levels, take profit, stop loss, entry, exit, trend continuation aur trend reversal k tawar par istemal kia jata hai. Fibonacci Retracement indicator mathematically percentage lines create kartta hai, jiss ko trading k dowran support aur resistance levels faraham kartte hen, jin ka istemal prices k hadaf k maqsad k hosol k leye kia jata hai. Fabonacci retracement ko display karnne k leye sab se pehle do intehaye ziada aur kam points k darmeyan aik trend line ko draw karne se kia jata hai. Six horizontal lines ki ek series fabonacci levels 0.0%, 23.6%, 38.2%, 50%, 61.8%, aur 100% par trend line ko uboor kartti howi bannaye jatti hai. In numbers main 38.2% aur 61.8% k numbers ko golden numbers kaha jata hai.
      Fabonacci Number Calculation Procedure
      Fabonacci retracement ki calculation k leye sab se pehle fabonacci numbers ki calculation ki jati hai. Ye lines to aam tawar par percentage main dekhaya jatta hai, lekin dar-assal ye lines fabonacci sequences hote hen, jiss ko 0, 1, 1, 2, 3, 5, 8, 13, 21, 34, 55, 89, 144, etc. draw kia jatta hai. Fabonacci sequences ki calculation bohut easy hai, iss main har aggla digit pehle do digits ka majmoaa hotta hai, jaisa k 0 +1 =1, 1+1 = 2, 1+2 = 3, 55+89 =144 wagher wagher...... Fabonacci sequences lamehdod numbers par mushtamil hotte hen. In sequences number ka sab se qabele-zekar baat ye hai k har number appne pechle number se taqreeban 1.61 gunna ziadda hai. In series main har ek number k darmeyyan aik makhsos reshta payya jatta hai, jiss ko technical analyst istemal karke retracement levels ka tayyun kartta hai. Fabonacci sequence bannane k baad fabonacci ratio malom karnna hotta hai, jiss ko bhi mathematically inhen numbers se hasil kia jatta hai, ye tareeqay kar bhi itnna ziadda mushkil nahi hai, lekin maths ki calculation iss main aham role play kartti hai. Fabonacci ratios ko darjazzel tareeqay se hasil kia jatta hai. Fabonacci ratio main 61.8% aik key number hai, iss number ko hasil karnne k leye aik number ko har ane wale number par divide karnne se hasil kia jatta hai, jaise 21 ko 34 par divide karnne se 0.6176 hasil hotta hai, jab k 55 ko 89 par divide karnne se 0.61798 atta hai. Fabonacci ratio k 38% number ko har aik number ko aik number chor kar aggle number par divide karnne se hasil kia jatta hai, jaise 55 ko 144 se divide karnne se 0.38194 hasil hott a hai. Fabonacci ratio ka 23.6% ko malomm karnne k leye aik number ko uss k baad do number chor kar anne wale number par divid kia jatta hai, jiss se taqreeban result 23.6% k aas pass atta hai, jaise 8 ko 34 par divide karnne se 0.23529 atta hai. Issi tarrah se dossre number bhi hasil keye jatte hen, jiss ka tareeqay kar upper bayyan keye gaye tareeqay k mutabiq hotta hai. Ye numbers agay trading k dowran prices k leye support aur resistance ka kaam karte hen.
      Trading
      Financial market main fabonacci levels ka istemal bohut baad main kia gaya hai, jiss main qudrati tawar par prices in levels se rebound hoti hai, jiss se ye levels prices k leye support aur resistance zone ka kaam karta hai. Fabonacci levels ko nature se le gaye aik mathematically ratio hai, lekin ye namalom wajohat par financial markets jaise stock market, forex markets waghera main bohut aham role adda kartta hai. Technical analyst in ko aham point k tayyun karnne k leye istemal kartte hen, jahan par stock ki prices ka in levles se reversal honne k imkannat hotte hen. Day traders k leye fabonacci retracement aur bhi ziadda faida mand hotte hen, jo in levels ko apne analysis ka hissa bannate hen. Forex trading main fabonacci retracement ka istemal dossre indicator ki nisbat sab se ziadda hai. Aik to ye indicator sab se sadda hai, aur dosrra iss ka itlaq kisi bhi stock ya price par kia ja saktta hai. Fabonacci retracement ka istemal support levels, resistance levels, entry, exit, take profit aur stop loss k leye kia ja saktta hai. Fabonacci retracement horizontal lines hotti hai, jo support aur resistance levwls ki mumkinna points ki nishan-dahi kartti hai. Har levwl mandarja bala tanasub ya pesad se wabastta hai. Is se patta chalta hai, k qeemat kitne pechay hat gaye hai, ya ussi semat main agay ki taraf chali gaye hai. Fabonacci retracement forex trading main technical analysis k dowran istemal hotta hai, jiss se analyst prices ka support aur resistance levels maloom kartte hen. Ye prices akele main bhi thora bohut to kaam kartte hen, lekin dosre indicators ya price action k sath istemal karnne par bohut achah results detti hai. Forex trading main fabonacci retracement levwls do tarah se kaam karte hen, jiss main aik trend continuation aur dosra trend reversal ka. Trading k leye jab bhi prices in lines ko breakout kartti hai to uss sorat main kisi reliable indicator se prices ki trend ki tasdeeq karen aur ya price action k zarye se trend ka semat maloom karen. Ziada tar prices aksar in levels se takrane k baad palat jatti hai, lekin market main kisi aik side se ziada pressure hone ki wajja se ye in lines ko breakout bhi kar jatti hai. Stop loss ka istemal bhi in lines par hi karen, jiss ko dosrri tarraf take profit ka leye istemal kia jatta hai. Jab bhi prices fabonacci lines ya levels ko choh letti hai, to yahan par ya to ye prices in levels ko uboor (breakout) karegi aur ya reversal ho kar palat jayegi. Jiss se prices ka aik new trend ya trading range shoro hota hai.

      اب آن لائن

      Working...
      X