Downside Tasuki Gap Candlestick Pattern

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Downside Tasuki Gap Candlestick Pattern
    Downside Tasuki Gap Candlestick Pattern
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Downside Tasuki Gap Candlestick Pattern Downside Tasuki gap candlestick pattern chart price mn three candles k darmiyan downward side per ik kicking type pattern hotta ha. Pattern ke first and second candles bearish hoti hain. Jin k darmiyan downside pr 1 gap bn gata ha. Pattern ke third candle ik bearish candle hoti hai, jo dusri candle k bad bn kr gap mn close hoti hai. Pattern ke phli candle k low price or dusri candle k high price k darmiyan ik gap ya khali jaga hoti hai. Downside tasuki gap candlestick pattern aik bearish trend continuation pattern hai, jiss main majood pehli aur dosri candles bearish jab k third candle bullish pattern k hote hen. Ye pattern prices main sellers ki mazboti aur downward side par prices ka mazeed move karne ka aik wazih indication hota hai. Explanation: Downside Tasuki gap candlestick pattern prices main aqsar aik tehrao k doran bnta ha. Ye pattern waqfay k doran events ya strong news ka sbab bnta hai, jiss ki waja se fundamentals asarat assets ki prices ko teezi k sath lower push krty hain. Pattern mn shamil candles ki formation is tarah sy hoti ha: 1. Pehli Candle: Downside tasuki gap candlestick pattern ki phli candle aik bearish candle hoti hai, jo k prices k normal sabeqa trend ki akasi krti hai. Ye candle black ya red color main hoti hai, jo k shadow ya shadow k baghair bhi ho sakti hai, lekin real body ka wazih hona zarori hai. 2.Dusri Candle: Downside tasuki gap candlestick pattern ki dosri candle bhi same pehli candle k tarah bearish hoti hai. Lekin ye candle pehli candle k low price se below gap main banti hai. Dosri candle ka high price pehli candle k low price se wazih downside gap main hona chaheye. Ye candle bhi aik bearish body main honi chaheye, jo k shadow ya shadow k bagher bhi ho sakti hai. 3. Teesri Candle: Downside tasuki gap candlestick pattern ki teesri candle aik bullish candle hoti hai, jo k dosri candle k taqreeban parallal se thora sa above banti hai, lekin close gap main ya gap se below honi chaheye. Ye candle prices ko bullish push karne ki nakam koshash karti hai, lekin sellers ki mazboti prices ko downside move karti hai. Description: Price chart pattern par gap pattern hamesha assets ki bohut ziada high volitilety ki waja se bante hen. Ye volitilety aksar awqat aik khas waqfay k dowran prices par fundamental asarat ki waja se hota hai. Downside tasuki gap candlestick pattern main bearish trend k dowran do bearish aur aik bullish candles k darmeyan downward side par aik gap banta hai, jo k prices k bearish trend confirmation ki alamat hoti hai. Ye pattern teen candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle k low price aur dosri candle k high prices k darmeyan aik wazih aur clear gap hota hai, jab k teesri bullish candle dosri bearish candle k bottom pe open ho kar gap main ya gap se below close hoti hai. Ye pattern sellers ki market main mazboti aur prices ka mazeed bearish jane ka aik clear message hota hai. Trading Downside tasuki gap candlestick pattern prices k downtrend main banta hai, aur iss pattern ki mazboti candles ki real body se pata chalta hai. Strong real body wali candles prices ko teezi k sath bearish push karegi, jo k support level se downward side par hone chaheye. Pattern par trading se pehle confirmation candle ka hona zarori hai, aur pattern lazmi support line k downward hona chaheye. Confirmation candle real body main bearish candle honi chaheye, jab k bullish candle banne ki sorat main trading ka khatra mol nahi lena chaheye. Ye pattern agar support level se above banta hai, to ye bullish trend reversal bhi ho sakta hai, iss waja se pattern ka support point k bottom par hona chaheye. Stop Loss pattern k sab se upper position ya pehli candle k top price se two pips above set karen.
     
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Assalamu Alaikum Dosto!
      Downside Tasuki Gap Candlestick Pattern
      Downside tasuki gap patteren aik bearish trend continuation pattern hai, lekin baaz dafa iss ko double market sentiment analysis k leye jani jati hai, pehli aik bearish impulsive lehar hai, aur doosri bullish price ki trend reversal hai. Yeh pattern aam tawar par supply and demand mein bearish trend ka tasalsul pattern hai. Downside tasuki gap patteren main do bearish candlestick is baat ki numaindagi karte hen k sellers walay market k ooper mukammal control mein hen, jiss se price ki qader mein musalsal kami waqea ho rahi hai. Prices ka wese bhi bhi basic trend bearish ka hota hai, jo lower low levels ko tashkeel deta hai. Downside tasuki gap patteren k leye prices ka bearish trend ka hona aham hai, q k ye prices ko mazeed nechay ki taraf push karte hen.
      Candles Formation
      Downside tasuki gap pattern k leye prices ko downward semat ka hona zarori hai. Ye pattern teen candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli do candles bearish hoti hai, aur last wali candle bullish hoti hai. Pattern main shamil candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai; 1. First Candle: Downside tasuki gap pattern ki pehli candle aik bearish candle hoti hai, jo k normal real body main banti hai. Ye candle prices ka bearish trend ko zahir karti hai. Ye candle shadow ya shadow k bagher bhi ho sakti hai, lekin lazmi bearish candle honi chaheye. 2. Second Candle: Downside tasuki gap pattern ki dosri candle bhi same pehli candle ki tarah aik bearish candle hoti hai, jo k pehli candle se nechay gap main banti hai. Candle ka close open price se lazmi nechay hona chaheye, jab k iss ka gap bhi pehli candle se wazih aur clear hona chaheye. 3. Third Candle: Downside tasuki gap pattern ki teesri candle aik bullish candle hoti hai, jo k dosri candle k close point se ooper open ho kar pehli aur dosri candles k gap main close hoti hai. Ye candle dono bearish candles k darmeyan banne wale gap ko mukamal cover nahi karti hai. Ye candle shadow ya shadow k bagher bhi ho sakti hai, lekin real body ka lazmi bullish honi chaheye.
      Explanation
      Downside tasuki gap pattern prices main sellers ki market main strong hold ki sorat main banta hai, jiss main prices bearish trend k tasalsul ko barqarar rakhti hai. Pattern teen candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli do candles bearish aur akhari aik bullish candle hoti hai. Bearish candles k darmeyan downside par aik wazih gap hota hai, jo k aik qisam ka bearish candles ka kicking pattern dekhaye deta hai. Pattern ki dono bearish candles real body main lazmi honi chaheye, jab k candles k darmeyan banne waley gap ko koi candle (bashamole shadow) cover na kare. Pattern ki akahri candle aik bullish candle hoti hai, jo k dosri candle k closing point se thora sa above open ho kar pehli aur dosri candles k gap main close hoti hai.
      Trading
      Downside tasuki gap pattern prices ko mazeed nechay push karne k leye jana jata hai, q k ye aik bearish trend continuation pattern hai, jo trend reversal pattern se ziada reliable aur accurate signals deta hai. Pattern ki teesri bullish candle ziada strong nahi banti hai, jiss se market main trend reversal ki koshash nakam ho jati hai. Pattern par trade entry karne se pehle aik bearish confirmation candle ki zarorat hoti hai, jo k real body main bearish honi chaheye. Jab k pattern k baad bullish candle banne par pattern khatam tasar hoga. CCI indicator aur stochastic oscillator par reading 50% se nechay honi chaheye. Stop Loss pattern k sab se upper position ya pehli candle k top se two pips above set karen.

      اب آن لائن

      Working...
      X