Bearish thrusting line candlestick pattern in forex:
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bearish thrusting line candlestick pattern in forex:
    Bearish thrusting line candlestick pattern in forex:
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    INTRODUCTION: ASLAMUALIKUM DEAR FRIENDS! Dear friend ummid karta hun aap sab khairiyat se Honge aur Apna Kam behtr treeke se kar rahe honge market mein kam karne ke liye hard work karna hota hai aur apni learning Karni hoti hai aaj main aapko is market Mein Bearish Thrusting Line Pattern ke bare mein detail se bataunga agar aap is pattern ko learn kar lete hain aur is market Mein acchi tarike se kam kar dete Hain To aapko is market Mein kamyabi mil Jaati Hai Hamen is market Mein Kamyab hone ke liye apni learning complete Karni Hoti Hai Uske bad Ham is market Mein acchi tarike se kam kar sakte hain Ham is market Mein kamyab hone ke liye hard work karna Hota Hai. BEARISH THRUSTING LINE PATTERN IN FOREX: Bearish thrusting line pattern two days candlestick par mushtamil aik bearish trend continuation pattern hai, jo k prices k downtrend ya bearish trend main banta hai. Pattern ki khas baat ye hai k ye pattern dekhne main same "Piercing Line Candlestick Pattern" jaisa hi hai, aur dekhne main bhi same lagta hai, lekin "Bearish Thrusting Line Pattern" main dosree white ya green yanni bullish candle pehli bearish candle k midpoint ko cross nahi karti hai. Pattern ki pehli candle aik strong aur long real body main black ya bearish candle hoti hai, jab k dosree candle bhi real body wali hoti hai, lekin ye candle aik to bullish hoti hai, dosree candle pehli candle ki nisbat small hoti hai. EXPLANATION: Bearish thrusting line pattern dekhne main same "Piercing Line Candlestick Pattern" jaisa hota hai, lekin dosree bullish candle ka close point pehli candle k midpoint ya 50% se below hota hai. Ye trend continuation pattern hai, jo k prices k bottom ya Bearish trend main banta hai. Ye pattern trend reversal pattern jaise "Dark cloud cover pattern" ya "Bearish Meeting Line Pattern" k muqabele main ziada kamyab rehta hai. Pattern ki pehli candle aik long real body wali hoti hai, jo k bearish trend ki alamat hoti hai. Jab k dosree candle size main pehle candle se kam hoti hai, jiss ka open price pehli candle se below gap main hota hai aur closing price pehli candle k midpoint se thora sa nechay hota hai CANDLES FORMATION: Bearish thrusting line pattern same format main banta hai, jiss tarah se "Piercing Line Candlestick Pattern" hota hai, lekin faraq sirf dosree candle ka small size main banna aur dosra ye candle pehli candle k midpoint se below close hoti hai, pattern main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai; 1ST CANDLE: Bearish thrusting line pattern main banne wali pehli candle aik strong aur long real body wali black ya red yanni bearish candle hoti hai. Ye candle bearish trend ki continuation ko zahir karti hai, jo k pehle se hi prices main maojood hota hai. 2ND CANDLE: Bearish thrusting line pattern ki dosree candle white ya green yanni bullish candle bannti hai, jo k size main pehli candle se small hoti hai. Ye candle pehli candle se below gap main open hoti hai, jab k close pehli candle k real body main hoti hai. Bullish candle ka close point pehli candle k midpoint ya 50% ko cross nahi karna chaheye. TRADING: Bearish thrusting line pattern main dosree bullish candle pehli Bearish candle k midpoint ya 50% hese ko cross nahi karta hai, iss waja se ye candle ziada mazbot ya moasar nahi hoyi hai. Bullish candle pehli candle se below open hoti hai, lekin buying pressure ki kami ki waja se pehli candle k midpoint ko cross nahi kar pati hai. Market main ya to selling pressure ziada hota hai, aur ya buying pressure kam honne ki waja se qeematen ziada taqat se bullish nahi jati. Pattern par trading se pehle confirmation candle ya indicator ka honna zarori hai, jo k aik teesri Bearish candle ho sakti hai. Ye pattern newly Bearish breakout trend par ziada kamyab rehta hai. Teesri candle k baad markey main sell ki entry ki ja sakti hai. Jab k Stop Loss pattern ki pehli candle k top par set hoga.THANKS....

    اب آن لائن

    Working...
    X