Details of process for implementation of True Strength Index for useful trade in fore

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Details of process for implementation of True Strength Index for useful trade in fore
    Details of process for implementation of True Strength Index for useful trade in fore
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    True Strength Index (TSI) say hamain market main kisi bhi pair ka trend aur oversold ya overbought state ka pata chal jata hay, yeh aik boht popular aur widely use honay wala momentum oscillator hay jis ko William Blau nay develop kia, is say hamain market ko samjhnay main asani hoti hay, jab hamain aik aisa indicator mil jay jo hamain trend ka pata chalany main guide karay to yeh indicator hamain market ki current situation kay baray main bhi bataye ga kay is time market normal hay ya overbought ya phir oversold, is tarah hamain current trend main ya reversal ka wait kartay huay trading karnay main kafi asani hoti hay, Appearence and functions of true strength index: True Strength Index indicator main two lines hoti hain, jin ko index line aur signal line kaha jata hay, signal line actually TSI ka exponential moving average hota hay, yeh limited time lag ko show karta hay agr ham is ko moving average kay sath compare karain is liay yeh boht efficient aur effective tool hai or clearly trend ko show karta hay laikin yeh boht zaruri hai kay hamain TSI ko interpret karna ata ho, traders trend information aur overbought ya oversold conditions kay ilawa True Strength Index ko center line crossover, divergence aur signal line crossover kay liay bhi use kartay hain, How to calculate value of true strength index True strength index ko calculate karna complex nahi laikin yeh aik lengthy process hay, is ko find karnay ki three stages hain, pehli stage main double smoothed price change, double smoothed absolute price change and last ma final TSI. TSI ko use karna boht simple hay aur yeh simple indication par base karta hay, is ka formula ye banta hay TSI = (Double smoothed price change/double smoothed absolute price change) x 100 TSI signal generate karta hay jab TSI signal ko cross karti hai jab TSI zero say above cross karti hay to yeh buy ka signal generate karta hay, jab TSI zero ko below say cross karta hai to ye sell signal ko indicate karta hay, technical analyst hamesha yeh advise kartay hain kay TSI ki setting ko increase kar lia jay to whipsaw say bacha ja sakta hay, Provision of selling and buying signals: TSI indicator moving average kay compare boht limited time lag show karta ha, isi waja say trends ko early identify karnay kay liay aik boht efficient aur effective tool samjha jata hay, indicator ki overbought aur oversold levels ki apni unique preference hoti hay, TSI +25 aur -25 two values ko overbought aur oversold conditions ko janchnay kay liay use karta hay, jab TSI indicator signal line ko cross kar kay -25 say below move karta ha to ye oversold conditions ki indication hoti hay, TSI ka signal line kay above cross say upcoming trend change ki information milti ha, jis ki bina par TSI early buying aur selling kay signals daita hay, traders ko TSI kay zero say above ya below moment ka wait nhi karna parta,
     

    اب آن لائن

    Working...
    X