Details Of Dragonfly Doji Candlesticks Pattren.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Details Of Dragonfly Doji Candlesticks Pattren.
    Details Of Dragonfly Doji Candlesticks Pattren.
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalamu Alaikum dear friend ummid hai ki aap sab khairiyat se Honge aur Apna Achcha kam kar rahe Honge Jab aap is marketing Mein kam karte hain to aapko daily hardware karna hota hai trading karna hoti hai agar aap demo account ko use karte hain aur Market Mein different analysis karte hain to aapko bahut jyada fayda Milta hai isliye aapko Jyada Se Jyada Apne nurses per focus karna chahie aur different time frames mein best increase ki selection Karni chahie Jo different time frame ko dekh rahe hote hain unko candlesticks ke bare mein pata chalta hai aur vah is market Mein Achcha profit banaa sakte hain isliye aapko Jyada Se Jyada hard work karna hoga aur different pattern ko Samajh Kar trading karna Hogi Aaj Main aapse ek Aise patterns ke related information share karungi jo aapki trading ko Achcha result de sakti hai to Mera topic hai Dragonfly Doji Candlesticks Pattren kya hai hum es par kesy kaam kar k trading main kamyabi hasil kar sakhty hain. Definition Of Dragonfly Doji Candlesticks: Dear forex member Dragonfly doji candlestick aik long lower tail k sath bagher real body ki candle stick pattern banti hai. Candle ki open aur close price aik hi point ya price par hona chaheye. Ye candle dekhne main small real body wali candles ki tarah lagti hai, lekin small real body wali candlestick se mukhtalif hoti hai, q k doji candlesticks me body banti hi nahi hai. Dragonfly doji candlestick ki aik long lower tail is baat ka ishara karti hai, k ab yahan se price reject ho gaye hai. Is waja se wo dosre(reversal) semat me apne trend ko continue karti hai. Is me trend ki semat (reversal) change nahi hoti hai bulke jo candlestick dragonfly doji banti hai us k tail ki reversal trend shoro hoti hai. Dragonfly doji candlestick main candle ka open, close aur high same point par hota hai. Candle market aur prices k ziada lower area main hone ki waja se ye bullish trend reversal k leye ziada mashahoor candles hai. Identification Of Dragonfly Doji Candlesticks: Dear forex member Dragonfly doji candlestick candle prices k bottom main kam supply aur ziada demand k natijay main wajood main ati hai. Ye candle aik strong reversal k leye jani jati hai, jo k upward side main kisi bhi color ki real body main ho sakti hai. Candle ki formation darjazzel tarah se ho sakti hai; Dear Dragonfly doji candlestick agar prices k bottom main banti hai, to iss candle ki open aur close price same aik hi line main hoti hai, ye candle aik bearish candle hi tasawar ki jati hai, low price trend reversal ki position ho sakti hai. Candle k upper side par koi wick ya shadow nahi hota, jab k lower side par aik lamba saya banta hai. Importance of Dragonfly Doji Candlesticks: Dear forex member Dragonfly doji candlestick price chart par aksar top ya bottom prices par nazar ati hai aur aksar issi position prices reversal ho jati hai. Ye candle aik spike ki sorat main nazar ati hai, jab bhi kisi strong news ki waja se prices teezi k sath downward fall karne k baad wapis apne upper open price par ja kar close hoti hai. Ye candle aik long lower shadow k sath hoti hai. Candle k upper side par small wick banne se candle ki performance par koi asar nahi parta hai, lekin ziada lamba shadow banne se candle ki hososeyat neutral ho jaye hai. Candle ki real body na hone ki waja se ye candle ka koi khas color bhi nahi hota hai, jiss se candle bottom prices par banne wali hammer candle se mushabehat rakhti hai, jab k top price par banne wali gravestone doji candle k opposite direction main banti hai. Trading Strategy: Dear forex member Dragonfly doji candlestick prices k bottom main ziada bearish pressure parne par banti hai, jiss se aik candle bagher real body ki candle k lower side par aik lamba saya hota hai. Ye candle aik strong bullish signal genrate karti hai, jiss par confirmation k baad buy ki entry ki ja sakti hai. Confirmation candle ka bullish real body main hona zarori hai, jab k bearish candle banne se ye candle trading k leye invalid ho jati hai. CCI, RSI indicator aur stochastic oscillator par value oversold zone main trade karni chaheye, jis se confirmation aur bhi ziada mustehkam hoti hai. Stop Loss pattern k sab se bottom position ya candle k shadow k lower side par jo k prices k leye support level hoti hai, se two pips below set karen.
     

    اب آن لائن

    Working...
    X