Introduction of Tasuki Gap Down Candlestick Pattern.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Introduction of Tasuki Gap Down Candlestick Pattern.
    Introduction of Tasuki Gap Down Candlestick Pattern.
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    My dear fellows Yeh pattern three candle stick pattern par depend karta hai, jo yeh information dety hain k market ka trend up ward direction mein continue kary ga. Up side tasuki pattern three candles par mustamil hota hai, or yeh information share karti hain k market ka trend up hai or yeh continue kary ga. Yeh jo 3rd candle hoti hai yeh pehle dono k between banany waly gap ko close kar deti hai. Trader aksar es pattern ko bullish movement ko confirm karny k leye use karty hai.es candlestick pattern mein bahut achcha fayda utha sakte hain kyun ki is pattern ki confirmation se Hamein bahut hi acchi trades mil jaati hai aur ham market mein bahut hi acchi working kar sakte hain isliye Hamen in patronage per jarur working karni chahie. Importance of ki Gap Down Candlestick Pattern. Dear friends tasuki pattern per open trade kerty huey hamain bahot big loss bhi ho sakta hai.jab ky kuch traders ko isterha sy trade open kerny per bahot acha profit bhi hasil ho jata hai, so jab bhi market kuch time ya kuch days close rehny ky bahd reopen ho tou hamain Tasuki pattern ky mutabiq trade open ker ky continue kerny sy bahot profit hasil ho sakta hai.Forex trading Mein successful trader Banna Chahte Hain To Humko market se related important market patterns ko carefully study aur learn karte hue unko apni trading per apply karna chahie. Agar Ham market patterns ko avoid Karte Hain To Ham kabhi bhi market Mein successful trader Nahin Ban Sakte isliye market Mein jitne bhi important patterns hote hain unko candlestick uski help se clearly understand Kar Ke unko apni trading per apply karna hi Hamare liye bahut profitable ho sakta hai. Key points for trading. Fellows tasuki pattern two candles ke between ke gap ko kaha jata hai.kisi bhi pattern per trade karne ke liye humko hard work karna hota hai jo trader forex market mein main acchi tarike se trading kerty Hain humko is market mein profit tab hota hai jab Ham is market mein fayda bahut aaja traders market mein acche tarike se kam karte hain forex market mein jab Ham soch samajh Kar kam karte Hain to humko is market mein fayda tab hota hai jab Ham is market mein achcha kam karte Hain Jo trade forex market mein fayda bahut hi jyada mis market mein kisi bhi pattern per trade lagana chahte Hain to humko ismein confirmation ka intezar karna hota hai agar Ham forex market mein kisi bhi pattern ko dekhkar trade lagana chahte Hain tu
     
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Assalamu Alaikum Dosto!
      Downside Tasuki Gap Candlestick Pattern
      Downside tasuki gap candlestick pattern chart price main teen candles k darmeyan downward side par aik kicking type pattern hai. Pattern ki pehli aur dosri candles bearish hoti hen, jiss k darmeyan downside par aik gap ban jata hai. Pattern ki teesri candle aik bearish candle hoti hai, jo dosri candle k baad ban kar gap main close hoti hai. Pattern ki pehli candle k low price (bashamole shadow or wick) aur dosri candle k high price (bashamole shadow or wick) k darmeyan aik wazih gap ya khali jagah hoti hai. Downside tasuki gap candlestick pattern aik bearish trend continuation pattern hai, jiss main shamil pehli aur dosri candles bearish jab k teesri candle bullish pattern k hote hen. Ye pattern prices main sellers ki mazboti aur downward side par prices ka mazeed move karne ka aik wazih indication hota hai.
      Candles Formation
      Downside tasuki gap candlestick pattern prices main aksar aik waqfay k dawran banta hai, ye pattern waqfay k dowran events ya strong news ka sabab banta hai, jiss ki waja se fundamentals asarat assets ki prices ko teezi k sath lower push karte hen, pattern main shamil candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
      1. First Candle: Downside tasuki gap candlestick pattern ki pehli candle aik bearish candle hoti hai, jo k prices k normal sabeqa trend ki akasi karti hai. Ye candle black ya red color main hoti hai, jo k shadow ya shadow k bagher bhi ho sakti hai, lekin real body ka wazih hona zarori hai.
      2. Second Candle: Downside tasuki gap candlestick pattern ki dosri candle bhi same pehli candle k tarah bearish hoti hai. Lekin ye candle pehli candle k low price se below gap main banti hai. Dosri candle ka high price pehli candle k low price se wazih downside gap main hona chaheye. Ye candle bhi aik bearish body main honi chaheye, jo k shadow ya shadow k bagher bhi ho sakti hai.
      3. Third Candle: Downside tasuki gap candlestick pattern ki teesri candle aik bullish candle hoti hai, jo k dosri candle k taqreeban parallal se thora sa above banti hai, lekin close gap main ya gap se below honi chaheye. Ye candle prices ko bullish push karne ki nakam koshash karti hai, lekin sellers ki mazboti prices ko downside move karti hai.
      Explaination
      Price chart pattern par gap pattern hamesha assets ki bohut ziada high volitilety ki waja se bante hen. Ye volitilety aksar awqat aik khas waqfay k dowran prices par fundamental asarat ki waja se hota hai. Downside tasuki gap candlestick pattern main bearish trend k dowran do bearish aur aik bullish candles k darmeyan downward side par aik gap banta hai, jo k prices k bearish trend confirmation ki alamat hoti hai. Ye pattern teen candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle k low price aur dosri candle k high prices k darmeyan aik wazih aur clear gap hota hai, jab k teesri bullish candle dosri bearish candle k bottom pe open ho kar gap main ya gap se below close hoti hai. Ye pattern sellers ki market main mazboti aur prices ka mazeed bearish jane ka aik clear message hota hai.
      Trading
      Downside tasuki gap candlestick pattern prices k downtrend main banta hai, aur iss pattern ki mazboti candles ki real body se pata chalta hai. Strong real body wali candles prices ko teezi k sath bearish push karegi, jo k support level se downward side par hone chaheye. Pattern par trading se pehle confirmation candle ka hona zarori hai, aur pattern lazmi support line k downward hona chaheye. Confirmation candle real body main bearish candle honi chaheye, jab k bullish candle banne ki sorat main trading ka khatra mol nahi lena chaheye. Ye pattern agar support level se above banta hai, to ye bullish trend reversal bhi ho sakta hai, iss waja se pattern ka support point k bottom par hona chaheye. Stop Loss pattern k sab se upper position ya pehli candle k top price se two pips above set karen.

      اب آن لائن

      Working...
      X