Morning Star Candlestick Pattern

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Morning Star Candlestick Pattern
    Morning Star Candlestick Pattern
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Morning Star Candlestick Pattern Morning star candlestick pattern aik taizi se reversal pattern hai jo neechay ke rujhan ke ekhtataam par bantaa hai. yeh teen mom btyon par mushtamil hai, pehli aur teesri mom batian choti aur mukhalif rang ki hain, aur darmiyani mom batii barri hai aur aik chhota asli jism hai . Pattern aam tor par aik lambi bearish candle se shuru hota hai, is ke baad aik choti mom batii hoti hai jo neechay girty hai aur market mein Adam faisla ki numaindagi karti hai. teesri mom batii aik taiz mom batii hai jo pehli mom batii ke wast point ke oopar oopar aur band hojati hai . Morning star pattern is baat ki nishandahi karta hai ke bear ne market par apna control kho diya hai aur ho sakta hai ke bail qabza kar rahay hon. tajir aksar is patteren ko stock ya dosray asasay par taweel safar karne ke liye signal ke tor par istemaal karte hain . Yeh note karna zaroori hai ke koi bhi tijarti faisla karne se pehlay morning star patteren ki tasdeeq deegar takneeki isharay se honi chahiye. mazeed bar-aan, taajiron ko apni pozishnon ko ghair mutawaqqa qeematon ki naqal o harkat se bachanay ke liye hamesha stap las orders ka istemaal karna chahiye . Types of Morning Star Candlestick Pattern Morning star candlestick pattern ki do ahem aqsam hain : Blush Morning Star : Yeh morning star patteren ki sab se aam qisam hai aur neechay ke rujhan ke ekhtataam par hoti hai. patteren aik lambi bearish candle stuck par mushtamil hota hai, is ke baad aik choti si candle stuck hoti hai jo neechay girty hai, aur phir aik lambi blush candle stuck jo pehlay candle stuck ke wast point ke oopar oopar aur band hoti hai . Abandoned Baby : Yeh morning star patteren ki aik ziyada nayaab qisam hai aur usay riwayati morning star se bhi ziyada taiz samjha jata hai. patteren aik lambi bearish candle stuck, aik choti doji candlestick par mushtamil hota hai jo neechay ki taraf jata hai, aur phir aik lambi blush candle stick jo gaps oopar hoti hai aur pichli candle stuck ke body ko over laip nahi karti hai. doji candle stuck market mein Adam faisla ki numaindagi karti hai, aur teesri candle stuck par gape up mazboot taizi ke jazbaat ki nishandahi karta hai . Dono qisam ke morning star patteren ko mazboot taizi ke ulat jane walay isharay samjhay jatay hain, lekin abandoned baby patteren ziyada nayaab hai aur is liye ziyada ahem hai. taajiron ko koi bhi tijarti faisla karne se pehlay hamesha dosray takneeki isharay ke sath patteren ki tasdeeq karni chahiye .
     
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Assalamu Alaikum Dosto!
      Morning Star Candlestick Pattern
      Morning star candlestick pattern aik bullish trend reversal pattern hai, jo k prices k intehaye lower position ya bearish trend k baad bantta hai. Ye pattern aik unique qissam ka hai ajr bohut kam hi prices main nazzar atta hai. Ye pattern teen candles par mushtamil hotta hai. Jiss main pehlee candle aik strong bearish trend ki alamat hotti hai, aur dosree candle aik small real body candle (umoman Spinning top candle hotti hai, lekin zarori nahi hai) hotti hai, jo k bearish candle se gap main open aur close hotti hai. Last candle aik bullish candle hotti hai, jo k doji candle se above gap main open aur close taqreeban pehlee candle k midpoint se ziadda ya bearish candle k open price k barabar hotti hai.
      Candles Formation
      Jaisa k uper battaya gaya k Morning star candlestick pattern ek bullish trend reversal pattern hai, aur low prices area main bhi banta hai. Ye pattern teen candles par mushtamil hota hai, jiss main pehlee bearish candle, dosree Spinning top candle aur teesri aik bullish candle hotti hai, aur ye candles darrjazel format main honi chaheye; 1. First Candle: Morning star candlestick pattern main pehlee candle aik strong aur long real body wali black/red yanni bearish candle hotti hai, jo k market k bearish trend ki mazzboti ki tarraf ishara kartti hai. 2. Second Candle: Morning star candlestick pattern main dosree candle aik small real body candle bannti hai, jo umoman ya ziddar tar Spinning top candle hotti hai. Iss candle ki opening aur closing price same hi hotti hai. Ye candle pehlee candle se gap main open aur close hotti hai. 3. Third Candle: Morning star candlestick pattern ki teesree candle aik strong aur long real body wali bullish candle hotti hai, jo k dosree candle se gap main above open hotti hai, jab k close bearish candle k body ya top par hotti hai.
      Explanation
      Morning star candlestick pattern aik strong bullish trend reversal pattern hai, jo k dekhne main bulkul bullish abandoned baby candlestick pattern ki tarah hotta hai, lekin doji candle k difference ki waja se ye pattern "Bullish Abandoned Baby Candlestick Pattern" se bohut mukhtalif ban jatta hai. Ye pattern prices k downtrend ya low price area main bannta hai, jahan se ye trend reversal ka kaam kartta hia. Morning star candlestick pattern teen candles par mushtamil aik trend reversal pattern hai, jiss main pehlee candle color main black ya red yanni bearish trend wali candle hotti hai, ye candle long real body main banne ki waja se bearish trend ki mazbotti ki alammat hotti hai. Dore din ki candle aik small real body candle hotti hai, jo k prices ko temporary pause kar detti hai aur iss candle ka opening aur closing price aik dosre k qareeb hotti hai. Ye candle pehlee candle se gap main nechay ki tarraf bantti hai. Pattern ki teesri candle aik strong bullish candle hotti hai, jo k dosree candle se gap main open hotti hai aur close bearish candle main ya uss se upper ja k hotti hai. Ye candle prices k bullish trend reversal ka sabbab bantte hen.
      Trading
      Morning star candlestick pattern par trading karnne k leye market aap ko buy ki entry karnni paregi, lekin pattern par bagher trend confirmation k trade laggana bohut ziadda riski hai. Ye pattern banntta to bearish trend main hai lekin ye zarrori nahi k prices lazzmi bullish reversal honggi. Pattern par trade se pehle dosre technical indicators se market ki trend confirmation karlen, aggar market ki confirmation price action jaise pattern k baad aggli candle bhi bullush bannti hai to ye trend confirmation ho jatti hai. Confirmation candle k baad market main buy ki entry karen aur Stop Loss k leye market ka sab se lower position, jo k umoman Spinning top candle ka lower position banega par set karen.

      اب آن لائن

      Working...
      X