Dear all members aksar daikha gia he k kuch members ko jab loss hota he to wo tension lete he or ussi time us loss ko recover kerne k liye foran mazeed order open ker lete he or phir se unko loss hota he to jitni baar wo loss ko jald se jald recover kerne ki koshish karte he to unko mazeed loss ka samna kerna perta he. Un members k liye meri apni rai yahi he k Trading me hamesha sabar se kaam lena chahiye, sub se phele market ko analysis kare, Lot size ko hamesha minimum per rakha kare, aik se ziada trade open nahi kerne chahiye, her trade ko tab tak close na kare jab tak aapko us trade me profit nahi milta. Jab aap log in tips per amal karenge to mera nahi khayal k aapko phir kissi trade me loss hoga kio k aapka lot size minimum per hoga to aapka account kabhi bhi wash nahi hoga, aapki trade agar long term bhi chalti he to usko chalne de lekin loss me close nahi kerni.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим