Trading me LOSS kion hota he?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Trading me LOSS kion hota he?
    Dear members kafi sare traders ka daikha giya he k aksar unka loss hota rehta he kia waja ho sakti he? Meri apni rai k mutabiq ya to Jald bazi ker rahe hote he ya phir tension me hote he k loss ho giya to phir kia hoga. In sub traders ko chahiye k apne skills ko use kare or sub se bari baat k ye traders market ko sahi tareeqe se analysis nahi ker rahe hote market ko dekhna lazmi he jab bhi trading ki jai to tension free ho ker karen, Ziada lalach na kare ziada lalach aksar loss kerwa deti he.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Trading me LOSS kion hota he?

    forex trading me loss ki waja bohat sari hai ya aik business hai or business me loss ho jata hai lakin hume ya loss kis waja se ho raha hai wo waja search karni chahiye wo galti note karni chahiye jis ki waja se loss ho raha hai or phr wo galti dobara nahi karni chahiye galti aik hi dafa hoti hai bar bar nahi agr bar bar kare gy tu is kam me loss kare gy
    • #3 Collapse

      Re: Trading me LOSS kion hota he?

      Dear yeh bhi aik business hai aur online business hai aur loss aur profit her business mein hota hai tou iss mein bhi aisa hi hota hai ab aisa tou ho nahin sakta kay sub ko forex sae profit ho kisi ko loss ho ga tou kisi ko profit agar sub ko profit ho ga tou broker ka kya ho ga woh sub ko paisa kahan sae dae ga
      • #4 Collapse

        Re: Trading me LOSS kion hota he?

        Dear friend forex main apko loss us wakt hota hai jb ap treading bager experience k krty hain ya pbr ap jaldbazi main tread open krty hain k jaldo sy apmo profit mil jay laki aesa mahi krna chaiy balky apko chaiy k forex main jis pair par tread open kr rahy hain us k baryy main phly mukamal toar par knowledge hasil karen taky ap achi treading kr k acha profit hasil kr sakhy
        • #5 Collapse

          Re: Trading me LOSS kion hota he?

          hanje aksar suna hai kay bohat sary logon kko musalsal is main loss hojata hain is tra kay lea ager main apnay veiw say baat kron to unhe trade say pahly ksi achy say senior member say contect karna chaea is pay apna bpohat time spend karna chaea jahn misktaes hain un par gor rakha jay r phir hi unko sahi kar kay full knowledge kay sath trade lgani chaea is tara loss kay chances bhat kam hoskaty hain or pak forum kay sath attach rahny say bhe boaht c misktakes recover hoajti hain
          • #6 Collapse

            Re: Trading me LOSS kion hota he?

            Dear friends Ups and Downs to business ka hisa hain lazmi nai hai k aap humesha success e hasil karein sometimes aap ki trade loss me b chli jati hai yeh Koi compulsory bt nai hai k aap ko hr br profit e ho aap ko loss b ho ga.. Agr aap ka knowledge acha nai ho ga ya aap ki posting informative nai ho gee ya aap k pass experience nai ho ga tou b aap ko loss ho Saktaa hai.
             
            • #7 Collapse

              Re: Trading me LOSS kion hota he?

              Dear bro forex trading aik worldwide aur most profitable online business hy ye aik aisa buisness hy ke jis ko ap apny ghar baith ker bh ker sakty hn aur apny financial zaroryat ko pora ker sakty lkn forex trading aik complicated aur tough business hy is main jahan profit hita hy wahan loss bh bahut ho sakta hy is liy jub ap ko loss ho to apny mistakes ko dekhin aur in ki reason talash kren
              • #8 Collapse

                Re: Trading me LOSS kion hota he?

                Dear friends lazmi nai hai k aap ko trading me humesha profit ho loss b hota hai q k loss aur gain business ka hisa hain jb tak Hume loss nai ho ga hum seekhein gy.. Loss ki bht se causes hain :
                1)acha knowledge na hona.
                2)experience ka na hona.
                3)jald bazi Karna.
                4)fresh mind k sath kaam na karna.
                5)Negative ho k trading karna etc..
                 
                • #9 Collapse

                  Re: Trading me LOSS kion hota he?

                  dear yeh baat to aam c hay k ham jub bhi koi kaam krtay hain to us main hamko aik sath lose aur profit ka hona bahut he lazmi hay agar hamko lose nai hoga to profit hoga agar ham markeet ko samjhay baghair is main enter ho jatay hain to hamara lose say bachnay ka koi zaria nai rehta hay aur agar ham is ko samjh kr kam krtay hain to hamko is k lose say chutkara mil sakta hay .
                  • #10 Collapse

                    Re: Trading me LOSS kion hota he?

                    ji haan sir Agar Hamein trading karne mein Har Waqt chalo Sahi hota hai to Hame trading bilkul bhi nahin Karni chahi Hamein kya kya mai apna trade Chabi open karna chahiye Jab Hame andaja Hoke market Upar Hoga ya niche Hoga Wohi side Hamein trade open karna chahi aur agar aisa Bhi andaza Nahin Hai Hamein To chahi ke Hamen senior se Mashwara kar ke baad mein trade open karna hoga profit Hasil kar sakte hain
                    • #11 Collapse

                      Re: Trading me LOSS kion hota he?

                      trading main loss hony ki boht se wajohat hoti hain kbhi hmain khud apni wjah se loss ho jta hai or kbhi market jub hmary agianst jati hai tab ho jata hai zayda tar loss ki jo ratio hoti hai w hmari apni wjah se hota hai q k jub hum achi or miyrai trading k qabil nahi hoty hain tu hmain loss ho jta hai es liye hmain chahye k ayh kosish karen k kbhi hmari khud ki wjha se hmain loss na ho
                      • #12 Collapse

                        Re: Trading me LOSS kion hota he?

                        loss hamy lalach ke waja sy hota hain hamy lalach ko avoid kar ky mahnet sy kam karna chahey forex kabe be band na hony wala bsuienss hain hum is mai raat mai ya din mai kese be wakt ka time table bana kar kam kar sakty hain hum is mai agar kamyab hona chatey hain to hamy lalach ko avoid kar ky mahnet sy kam karna ho ga
                        • #13 Collapse

                          Re: Trading me LOSS kion hota he?

                          dear friend aap bilkul theek keh rahe hain ki is business Mein Hamein loss or profit Don hote hain Kyunki loss or profit is business ka hissa hai agar mein loss Ho Jaaye tour main tension nahi leni chahiye bol ke mein Himmat se kam karna chaya.
                          • #14 Collapse

                            Re: Trading me LOSS kion hota he?

                            g han sir forex trading aisa work hai jis mein ap jaldbazi magar samjdari k sath trading kr k b earning kr sakte magar aisi jald bazi jis ka ap ko pata na ho krein gey to ap ko loss b ho sakta hai mein yeh kehna chahta hoon kuch trading scalping k zariye short term tradimg kr k profit earn krte hain
                            PAK ARMY ZINDA ABAD
                            • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                            • #15 Collapse

                              Re: Trading me LOSS kion hota he?

                              Good After Noon .......
                              Trading main ham ko loss se bachna chahye aor apko is mein loss is liy hota hain qk ap is mein pahle to zyada tarde open kar te hain aur bad mein lot size zyada rakhte hain is liy ham ko is mein loss hota hain agar ap is mein kam tarde oepn kar te hain aur is mein risk bhi nahoi lete hain to apko is mein loss naho hoga aur apko is mein ihtyt se tarde oepnn karna chaiye tab ja kar apko ius mein loss nahi hoga aur aur ham ko is mein ache se tarde karna chaiye tab ja kar apko ius mein loss nahi hoga aur ap is mein kamyb ho sakte hain aur ham ko chaiye k ham is mein risk mat len tab ja kar apko is mein loss nahi hoga .

                              اب آن لائن

                              Working...
                              X