Kiya Shooq ap ki life main positive changes lata hai.

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Kiya Shooq ap ki life main positive changes lata hai.
    Dear Friends

    Hum janty hain hum sub ka koi na koi shoq rehta hai tu ap ko kiya lagta hai kay ap kay shoq se ap ki life achi howi hai yanahi. ap ki life main kiya changes ai hai ya phir ap ki life main koi shoq khas nahi raha hai. ager aisa hai tu ap uskay baray main souchain jab tak ap aisa nahi karain gay ap ki life main tangi c rahy gi

    Shukriya.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Kiya Shooq ap ki life main positive changes lata hai.

    Shooq achha ho to wo hamesha zindagi mein positive change hi lata hai. Jis trah baghbaani ka shooq, ticket collecting ka shooq, khel ka shoq lekin kuchh shooq insan ko nuqsan ki tarf ly jaty hein jese patangbazi ka shoq ya kisi nasha ka shoq. 😥
    Insan ko hamesha shooq soch smjh kar palna chahiye aur us ko bhi baqi zindagi se shamil kar k waqt dena chahiye na k sar par sawar kar lena chahiye es trah ek behtreen shooq bhi ap k liye nuqsan ka sabab hi hoga
    • #3 Collapse

      Re: Kiya Shooq ap ki life main positive changes lata hai.

      Shooq agar acha ho ga to zaror ye hamari life par positive effect kar sakta hay magar shooq hi agar acha nahi ho ga jes ki waja se hamy apny shop ki waja se nuqsan ponchta ho to ye hamari life par har tarha se negative asaar kary ga, esy shooq key bary me review dena me zarori samjta hon jo key hamari life par positive effect kar sakty hey aur jen key effects hamari life par negative hon es par be bat karna zarori hay,

      1. Book reading ka shooq jes kesi ka be ho ga mery khayal me ye shooq us ki life par positive effect kar sake ga es key negative asraat bilkul be nahi hoty hey magar book achi hona bahot zarori hay, achi book ko read karny se maloomat me ezafa hota hay jes ki zarorat kesi be time hamari life me pard skate hay,
      2. Family key sath time spend karny ka shooq be bahot acha hay es shooq ka be hamari life par koi be esa asaar nahi pardta hay jes ko ham negative keh saken,
      3. shikar ka agar shooq ho to har time hi agar shikar kohla jaye aur es me time bahot zeyada time zaya kia jaye to ye shooq zarar hamari life par negative asaar kar sakta hay es ki waja ye hay key shikar ki waja se hamara bahot zeyada time zaya ho jata hay aur ham apny business ya job ko proper time nahi de pats hey, esy hi shooq ko pora karny ki koshish karni chaye jes ka koi nuqsan na ho.
      • #4 Collapse

        Re: Kiya Shooq ap ki life main positive changes lata hai.

        Shook kesi be kisam key kinu na ho ye life me zaror koch na koch changes la sakty hey hamary koch shooq esy hoty hey jes ki waja se hamara time to zaya ho jata hay magar en shook key hamy benefit be bahot zeyada milty hey, (sports games, walking, Hunting) esy aur be shooq hey jo hamari adaat aur majboori ban jaty hey magar en shooq ki waja se hamari life pehly se zeyada active ho jati hay aur ham khud ko behtar mehsoos karty hey agar esy shooq me time be zaya hota hay to ye hamari life me zaror changes la sakty hey,
        Book reading, internet par different social activeties be hamari esi hoti hey jes ki waja se hamary knowledge aur information me ezafa kar sakty hey aur world me kia ho raha hay es bary me hamy important information hasil ho jati hay, jo koi be apna shook pora karny ki koshish karta hay wo zaror es bat ka be khayal rakta hay key us ki life par es key negative effect to nahi ho sakty, esy mature persons hi hoty hey jo apny shook ki waja se life me positive changing lany ki koshish karty hey, koch adaat esi hoti hey jes ki waja se life me negative changing ajati hey en ko ham shook na name nahi de sakty hey agar kesi kisam ka nasha kia jaye to ye addat hoti hay es ko shook nahi kaha ja sakta hay esy addat ko agar ham khatam karen gey to hamari life me positive changing a sakti hey.
        • #5 Collapse

          Re: Kiya Shooq ap ki life main positive changes lata hai.

          اصل پيغام ارسال کردہ از: aamir370 پيغام ديکھيے

          Bhai ye to ap ke shook pe depend karta hai, agar ap ko achi chezo ka shook hoga. like reading, exercise aur travelling, to is tarha ke shhok insan ki zindagi pe buhat ache aur musbit asrat dalte hai. Per is ke bar.ask agar ap ko nuksan dene wali chezo ka shook hai to ap ki sehat aur zindagi pe galat asar parta hai, like kuch logo ko cigrate peene ka shook hota hai ya phr ziyada time dosto ke sath zaya karne ko pasand karte hai to ye log apni zindagi ko apne hatho se galat raste pe dal dete hai.
          • #6 Collapse

            Re: Kiya Shooq ap ki life main positive changes lata hai.

            اصل پيغام ارسال کردہ از: Caprice پيغام ديکھيے
            Bhai ye to ap ke shook pe depend karta hai, agar ap ko achi chezo ka shook hoga. like reading, exercise aur travelling, to is tarha ke shhok insan ki zindagi pe buhat ache aur musbit asrat dalte hai. Per is ke bar.ask agar ap ko nuksan dene wali chezo ka shook hai to ap ki sehat aur zindagi pe galat asar parta hai, like kuch logo ko cigrate peene ka shook hota hai ya phr ziyada time dosto ke sath zaya karne ko pasand karte hai to ye log apni zindagi ko apne hatho se galat raste pe dal dete hai.
            Bilkul sahi bat hai, agar hum achi hobbies ko apni daily ki routine ka hisa bana le aur un ko karna apni adat bana le to un se hamari life pe kafi ache effects par sakte hai. Jesa ke agar hum exercise ko daily kare to wo hamari sehat ke liye mufeed sabit hoti hai isi tarha agar baki bhi achi cheze karne ki hobby hogi to zarur hamari life pe positive asar chore gi.
            • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
            • #7 Collapse

              Re: Kiya Shooq ap ki life main positive changes lata hai.

              اصل پيغام ارسال کردہ از: LoveisForex پيغام ديکھيے
              Shooq achha ho to wo hamesha zindagi mein positive change hi lata hai. Jis trah baghbaani ka shooq, ticket collecting ka shooq, khel ka shoq lekin kuchh shooq insan ko nuqsan ki tarf ly jaty hein jese patangbazi ka shoq ya kisi nasha ka shoq. 😥
              Insan ko hamesha shooq soch smjh kar palna chahiye aur us ko bhi baqi zindagi se shamil kar k waqt dena chahiye na k sar par sawar kar lena chahiye es trah ek behtreen shooq bhi ap k liye nuqsan ka sabab hi hoga
              Bilkul sahi kaha hai bhai, her chez ki ek limit hoti hai to agar hum kisi bhi ek chez ke peche paglo ki tarha par jae ge aur baki kamo ko ignore kar dege to wo acha shook bhi kafi had tak nuksan deta hai qk us ki wajha se hum buhat ahem chezo ko ignore dete hai. Is liye apne shook ko pura karne ke sath sath hume apni baki ahem kamo ko bhi equal time dena chahiye take hamari life balanced rahe.

              اب آن لائن

              Working...
              X