Bacho ko Khail ka hisa banain.

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bacho ko Khail ka hisa banain.
    Dear Friends

    Aj kal life itni mushkil ho chuki hai kay hum apni sehat kay leye time nahi nikal paty hain. tu hum parents ko cheye kay apny bacho ko khail ka hisa banain. un ko physical khail like football, cricket, wally ball etc jis mai un ka interest ho woh us mai un ko time daina shoro karain. un ka shouq un mai paida karain gy tu woh us mai hisa lay kay apni sehat ka kiyal rahk sakain gy. Physically fit ho sakain gy or aj kal har bacha jo mobile sy jora howa hai woh us sy door reh saky ga or apni sehat or shouq ko behtar develop kar saky ga.

    Shukriya.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Bacho ko Khail ka hisa banain.

    Bachon ko khail ka hisa banane ke liye kuch saral tarikay hain jin se bachon ke dimagh, jismani sehat, socializing skills, aur creativity mein farq laaya ja sakta hai. Yeh kuch khelon ka jayeza hai:

    Board games - Chess, Ludo, Scrabble, Monopoly, aur Risk jaise board games, bachon ki strategy aur critical thinking ko behtar banane mein madad karte hain.

    Outdoor games - Cricket, football, badminton, aur frisbee jaise games, bachon ki jismani sehat ko behtar banane ke sath-sath unke teamwork aur socializing skills ko bhi behtar banate hain.

    Indoor games - Hide and Seek, Simon Says, aur Blind Man's Bluff jaise indoor games bachon ke andar creativity aur imagination ko badhate hain.

    Creative activities - Art and crafts, coloring, drawing, aur painting jaise activities, bachon ke creative skills ko badhate hain.

    Role-playing games - Doctor, Teacher, Police officer, aur Chef jaise role-playing games, bachon ki communication skills, socializing skills, aur confidence ko behtar banane mein madad karte hain.

    In khelon aur activities ko bachon ke age aur interests ke hisaab se customize kiya jaa sakta hai. Yeh bachon ke liye entertainment ka bhi ek acha zaria ban sakte hain aur sath hi unke liye productive bhi ho sakte hain.
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Mobile phone ne hamari routine life bilkul change kar k rakh di hai hamara din ka maximum time mobile k istemal men guzar jata hai aur khail hamari zindgi se bilkul khatm ho kar reh gaye hain. Halaat yahan tak ponch gaye hain k ab to chotay bachay b har waqt mobile men masroof rehtay hain aur un ki b puri koshish hoti hai k mobile har waqt un k pas he rahay jo k un k lye bohat khatarnaak hai. Hamen is routine ko badalnay ki zarurat hai.

      اب آن لائن

      Working...
      X