Karobar Main Investment Se zaida Khas Baat Us Ki Planing Hai

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Karobar Main Investment Se zaida Khas Baat Us Ki Planing Hai
    Dear Friends

    Main nay apni life main experience kya hai kay logo kay pass investment karnay kay leye amount tu hoti hai lekin woh business mai just investment karty hain planing nahi karty hain tu bad main bina planing kay jab business karty hain tu un ko loss hota hai un ko nahi pata hota hai kay kaisy apny business ko aghy barhna hai or woh fail ho jaty hain

    Ap ka experience es baray main kiya kehta hai share kejey ga

    Shukriya.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Karobar Main Investment Se zaida Khas Baat Us Ki Planing Hai

    Assalam o alaikum
    Dear friends kisi b karoobar me investment se zyada planning par depend karta ha koi b kam bageer planning k nahi ho sakta.. Bageer planning k agar investment karogay to nuksaaan hi hoga business start karny k bad b business planning par depend karta ha.. Baki kamyabi or nakami Allah k pass hoti ha or rizq b wohi deta ha..
    Shukriya
    • #3 Collapse

      Re: Karobar Main Investment Se zaida Khas Baat Us Ki Planing Hai

      my dears friends
      umeed ha kay app sab thk ho gay ji han app ki bat thk ha koi bi karobar ho ya forex hi ho app ko is ma investment to karni chahyia or sath hi is bat par bi focus karna chahyia ky hamary pass market ma investment ya trade kay lyia planning ka hona zroori ha kyu kay agar app jab bi koi bi kaam planning kay sath karty ha to app ko pta ho ga kay app ko kab market ma trade karni ha or kis pair par sab say achy results mil rahy ha or is saay hum ko kitni dar tak achy results mily gay or kis pair ma trade say dor rahy or investment na kary or apny analysis ko achi tara say apply kar kay achy results hasil kar skaty ha
      • #4 Collapse

        Re: Karobar Main Investment Se zaida Khas Baat Us Ki Planing Hai

        kesi be kisam ka karobar kinu na start kia jaye es me investment se zeyada planing aur experience ki value bahot zeyada hoti hay investment to har koi kar sakta hay magar achi planing aur experience na hony ki waja se bahot hi zeyada investment be loss ho sakti hay, agar ham koi acha karobar start karny ki khowahish rakty hey to hamy investment key bary me bad me sochna chaye pehly es me kamyab hony key ley aur esy karobar ko set karny ki planing karni chaye,
        hamari planing ye honi chaye key hamara ye karobar kesy kamyab ho sakta hay aur hamy es key ley kia kia iqdamat utany chaye, aur sath me experience be agar es karobar se related hasil ho jata hay to ye aur be achi bat hoti hay hamy es bary me zaror sochna chaye key hamari investment karna etni importance nahi rakti hay jetni key hamari planing rak sakti hay, bahot se afraad baghir sochy samjy hi koi esa karobar me investment karny ki ghalti kar lety hey jes me us ne pehly se planing be nahi ki hoti hay aur es se related kesi kisam ki information aur experience be us ne gain nahi kia hota hay to esa karobar me ketni hi investment kinu na ki jaye ye fail hi ho sakta hay, karobar wo hi kamyab ho sakta hay jes ki planing ham ne ki raki ho aur es ka experience be hamy hasil ho esy karobar ko kamyab karny key ley hamy zeyada mehnat ki be zarorat nahi pardti hay.
        • #5 Collapse

          Re: Karobar Main Investment Se zaida Khas Baat Us Ki Planing Hai

          G Bilkul Karobar me Investment se Zyada zrury hai planning
          Ab Kamyabi ek ye raz har kam accordingly Plane krna
          Is faida ye hota hai ke Hume loss Hony Ke chances kam hojaaty.. Hai
          • #6 Collapse

            Re: Karobar Main Investment Se zaida Khas Baat Us Ki Planing Hai

            Mere pyare doston assalamu alaikum karobar mein investment se jyada uska karobaar ke bare mein knowledge hona jaruri hai talk bad mein bukhar bar lost Na Ho jaaye aur sabse pahle hamen use karo bar ka analyse karna aham hai isliye karobar mein investment ke sath knowledge ka hona bhi ayi jaruri hai
            • #7 Collapse

              Re: Karobar Main Investment Se zaida Khas Baat Us Ki Planing Hai

              Gee bilkul pakistan main b waisay b zaida log free earning karte hai investment nai karte agar paisa hota hai zaisa tar makan bana laite hai itnay years guzarnay k bawjood log b b dranty se hi chara katte hai machine buy nai karte nai hi banate hai jis ki wajah se pakistan taraqi nai karta is liay hum k investment karnay k baray main knowledge hasil karna boht zaida zaroori hai is liay invest ki planing karna sikhna chayie
              • #8 Collapse

                Re: Karobar Main Investment Se zaida Khas Baat Us Ki Planing Hai

                Apna Karobar karne ka fayda yah hota hai ki is se Hamara future bahut ziada secure Ho Jata Hy. lekin Yahan per sabse important Baat yah hai ki aap apna Karobar Shuru karne se pahle iski proper planning Karen Kyon ke kisi bhi Karobar ki kamyabi ka jo secret Hai wh uski planning per depend karta hy. Agar aapki planning theek hai to Aapka apny karobar me bahut ziada progress Karega Agar aapki planning theek ni hai to ap karobaar me Kabhi Bhi progress nahin kar sakega. isiliye Karobar ko Shuru karne se pahle proper planning Karen. aur yah Deken keh aap ko karobar mein kitne paise invest kar rahe hain aur kitne paise aapko profit mein aaenge. agar aapko loss hota hai to kitna ziyada loss Hota Hai yah sab Kuchh dekhne ke bad aap apne Karobar ko Shuru Karen lekin ek aur baat ka bhi Khyal rakhen aap Agar aapko loss hota hai to Pareshan hone ki bilkul bhi zarorat Nahin Hai. ap apne loss se sekhen aur is ke Dobara se planning Karen. Umed karta hun aapko meri baat samajh a Gai Hogi aur aap proper planning ke sath Apna Karobar Shuru Karenge. jab ap ek bar apny karobar ki planing karen gy to apko confidene ho ha apny karobar me aur ap bad me jo decision lay rahy hoty hain wh bi ap apny confidence se lay rahy hoty hain . planing karna isi lye bi zarori hy takeh ham apny karobar ko mazeed aagy barha saken. aur apny karobar ki sari pechli history ko bi mehfooz kar saken . aagy any waly wakat me agar ko risk bi ho to apni planing se ham us risk se bach sakty hain .
                Last edited by ; 09-10-2020, 01:02 PM.
                • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                • #9 Collapse

                  Re: Karobar Main Investment Se zaida Khas Baat Us Ki Planing Hai

                  AssalamuAlaikum My Dear Friends Ap Ny Boht He Achi Bat Ki Ha K paisey k elawa Planning honi Chahye Par Ak Bat Kehna Chaho Ga Alsar Esa Hota ha K Bndey k Pas Paisa Hota ha Planing krtey lrtey he Us Ki Life Guzar jati ha Ur paisa Khtam ho jta ha Qn k Planing Me Usey dost Ehbab Sahi Guid nh krtey .
                  Ur Ak Bat Yaha Sari Game Paisey ur Mind Ki Ha Ham Ny life me wo Business we dykhey hen jin ko krney ka Faisla Din he din me kia gya ur aj tak wo qarobar mashaAllah Chal rhe hen .ur Esey we dykhey k jin ko Sal Bad ham ye kren ge ye kren ge Ur Aj wahi Log mehnat mazdori Krtey nzar Atey hen .

                  اب آن لائن

                  Working...
                  X