Green tea ke benefits!

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Green tea ke benefits!
    Dosto, aksar log Green tea peena pasand karte hai. Green tea, baki tamam drinks like cold drink, tea wagera ke muqable hamari sehat ke liye kafi beneficial bhi hai. Kia ap log bhi green tea peena pasand karte hai aur ap ki nazar mein is ke kia benefit hai?

    Click image for larger version

Name:	images.png
Views:	1
Size:	353.5 کلوبائٹ
ID:	12466737
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Green tea ke benefits!
    • Sabz Chaye (green tea) jild (skin) mein jalan(inflamation) ya kharish(rash) paida kernay walay masail (problems) k liye nihiyat mufeed hai.
    • Sabz chaye k pattay, halki kharaash, kharish, daag aur dhabboon ko door kernay k liye bhi bay hadd faida mund sabit hoye hain.
    • Apko aur apki jild ko dair paa khoobsurati aur jawan nazer anay mein apki madad kerti hai.
    • Unn tamaam anasir ko jo k apko borhapay ki taraf lay jatay hain, ko kum kernay mein intehaai faida mund hai.
    • Chehray pe daanay(pimples), keel muhasay(acne) kum kernay mein bay hadd madad gaar sabit hoti hai
    • Soraj ki roshni say paida honay walay masail k liye bhi karamad sabit hoti hai
    • Jild k sartaan(cancer) say bachao k liye leemoon (lemon) ka russ mila k sabz chaye(green tea) istemaal ki jati hai. Jo k nihaayat mufeed bhi samjhi jati hai.
    • Sabz chaye, unn logo k liye bhi bay hadd mufeed hai jin ko khushki(dandruff) ki shikayat ho. Khushki(dandruff) chahay baloon(hair) mein ho ya jild per, sabz chaye kay istemaal say kaafi hadd tuk iss maslay per qaboo paya ja sakta hai.

    اب آن لائن

    Working...
    X