Dosto threads may comments kartay waqt ap logo ko is baat ka khayal rakhna chahiyay keh ap log aik dosray ko comments say relate karain, na keh yeh sirf thread k question ko ya first post ko parh kar neechay reply may comment kar dain, dosray k comments may bhi dilchaspi lain, sath may dosro ko bhi quote karain, lakin aik hi dafa may nahi, aik post karnay k baad ap reply ka wait karain, dekhain k dosray kia keh rahay hain, phir us k baad agar ap ko dosray ki baat say ikhtilaf hay ya dosray ki baat may kuch mazeed add karna chahtay ho to us ko quote kar k ap mazeed comment karo, aik thread may aik say ziada comment karna allow hay, lakin sirf usi sorat may jaisay keh oper bayan kia gaya hay, aisa na ho k ap lagatar apni hi posts kiay jao aur dosray ki suno na? Matlab yeh keh learning k lye bhi aur dosray traders say attach rehnay k lye bhi aisa karna zaroori hay, dil karay to maan layna.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим