Dosto agar ap ko ksi ki threads achi lagti hain ya ap ko lagta hay keh wo maloomati posts karta hay aur ap chahtay ho k mazeed sekho to bajaye is k keh ap us ko friend request send karo aur phir us say question karo, agar ap direct us ki profile may ja kar us ki threads parh lo to ap ko ziada asani ho jaye gi, aur us k sath sath agar ap posts ko bhi follow karo gay to ap ki maloomat may izafa hota rahay ga, ap chahain to thread ko subscribe bhi kar saktay ho, jaisay hi koi new post ya comment us thread may aye ga ap ko through email pata chal jaye ga, ya phir ap jab bhi apnay account may login ho gay to pata chal jaye ga.
Agar kisi ki opened thread parhna ho to simply us banday k avatar par click karo, aur us banday ki profile par chalay jao, wha par side may likha hoga (find all threads) us link par click kar dain aur ap k samnay aik page par sari threads ajaye gi, jis thread ko bhi kholna ho us par click kar dain, aur agar ap ko thread pasand ajaye aur ap us say updated rehna chahtay ho to ap subscribe ka option use kar saktay ho. Yeh option ap ko usi thread may oper ki taraf mil jaye ga. Jaisa keh picture may dikhaya gaya hay.

Umeed hay keh ap log faida uthaye gay.

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим