Petrol kay rates pay Car ki price main fark

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Petrol kay rates pay Car ki price main fark
    Dear Members

    Es bar Pakistan main khas bat daikhny ko mili hai kay jab price zaida howi fules ki tu sath he kuch din bad car ki prices main kaami ki bijaye izafa daikhny ko mila hai. es ki reason tu nahi samaj ayi lekin ik bat zaror hai kay customer ki demand jab barh jati hai tu market main phir prices mai izafa daikhny ko milta hai or bhout se log ab Pakistan mai loan kay through be cars ko installment ki surat main kareed rahy hain esleye pertrol ki keemat kay izafay se prices main kaami nahi ayi

    ap kiya kehty hain es bary main zaror share karain.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Petrol kay rates pay Car ki price main fark

    اصل پيغام ارسال کردہ از: neatpassion11 پيغام ديکھيے
    Dear Members

    Es bar Pakistan main khas bat daikhny ko mili hai kay jab price zaida howi fules ki tu sath he kuch din bad car ki prices main kaami ki bijaye izafa daikhny ko mila hai. es ki reason tu nahi samaj ayi lekin ik bat zaror hai kay customer ki demand jab barh jati hai tu market main phir prices mai izafa daikhny ko milta hai or bhout se log ab Pakistan mai loan kay through be cars ko installment ki surat main kareed rahy hain esleye pertrol ki keemat kay izafay se prices main kaami nahi ayi

    ap kiya kehty hain es bary main zaror share karain.
    Bhai mein ap ki bat se mutafiq nhi ho ke cars ki prices mein iazafa cars ki demand bharne ki wajha se hue hai, balke new Govt ne kafi sare Taxes lagae hai her chez pe aur luxury goods pe bhi taxes lagi hai is wajha se her chez ki prices mein izafa hua hai.
    • #3 Collapse

      Re: Petrol kay rates pay Car ki price main fark

      Petro ki kimmat main bahot zyada izafa howa he ye pakistan main pahli bar howa he... Aur es pti hakumat ne tu hame kahe ka nhi chura, mulk main seway oxygen kay ilawa sab chizo par tex lag gya he.
      • #4 Collapse

        Re: Petrol kay rates pay Car ki price main fark

        my dears friends
        umeed ha kay app sab thk ho gay ji ha jab bi patrol ki kimat ma kami hoty ha ya patrol up move karta ha to sath hi ham nay market ma aik bat ya bi note ki ha kay sath hi car ki kimat bi kami say kam or up hony say up ho jaty ha or ya lazmi pair ha car ka or patrol kay bagar koi bi car ya bas ni chal sakty ha or sath hi ajj kay dor ma bi patrol ki kimat bot hi down ho gayi ha lakin kal say hi pakistan ma patrol ki kimat up ho gayi ha or kimat 100 rupess liter ho gayi ha
        • #5 Collapse

          Re: Petrol kay rates pay Car ki price main fark

          Hi friends umeed hay kay ap sab thak hon gay or ya review petrol kay rates pay car ki price main fark hota hay doasto ap ko aghar petrol ki qummet bar jay to ic wqat car ki qummeat main azafa ho jata hay or ic kay or aghar petrol ki qumeat main kami ho to ic wqat car ki price main kami ho jati hay
          • #6 Collapse

            Re: Petrol kay rates pay Car ki price main fark

            Petrol ki price par cars aur bikes key price par bahot zeyada fark pardta hay es ki waja ye hay key petrol hi sea fuel hota hay jo key cars me bahot zeyada use kia jata hay aur es fuel key base par cars ki price me ezafa ya kami ati hay, agar petrol ki keemat daily hi change ho per be satori hay key car ki keemat esi key mutabeq kam ya zeyada ho jaye, agar petrol ki price kesi be waja se kam ho Jati hay to cars ki keemat bahot hi zeyada ho jati hay es ki waja ye hay key fuel ki price ko dekty howy har kesi ki koshish ye hoti hay key wo car ko buy kary easy me cars ki companies es ki prices me ezafa kar daty hey aur agar petrol ki keemat me ezafa ho jaye to car companies ki koshish hoti hay key us key cars ki demand me kami na aye aur es ki sale average esi tarha maintain rahy es maqsad se cars ki prices me kami kar di jati hay, fuel ki price zeyada ho jaye to achi company ki car be bahot achi keemat par mil sakti hay, magar asani se petrol ki keemat kam nahi hoti hay aur Pakistan me ye deka gia hay key fuel ki price daily increase hi ho rah hay es me kami nahi a rah hay esi waja se har company ki car ki keemat bahot zeyada hay, USA ya per Europe ki country me petrol ki keemat crude oil ki waja se kesi time bahot zeyada kam be ho jati hay jes tarha corona virus ki waja se petrol ka demand hi en countries me khatam ho chukka ta to es situation me car ki companies ne apny latest model ki cars ki price be bahot kam kar di ti, petrol ki keemat me ezafa ki waja se cars ki demand be kam ho jati hay esy me es ki price be kam ho jati hay.
            • #7 Collapse

              Re: Petrol kay rates pay Car ki price main fark

              Petrol ki price par hi cars ki price depend karti hay agar petrol key prices me bahot ezafa ho jata hay to es ki waja se cars ki keemat ka kam ho jana yakeeni ho jata hay, cars companies ki koshish ye hoti hay key wo petrol prices key mutabeq hi cars ki price determine kary, petrol price me ezafy ki waja se bahot kam afraad car key fuel ko afford karty hey es waja se cars ki value aur es ka use hona kam ho jata hay es me companies bilkul be ye nahi chahti key us ki production to zeyada ho magar sale es ki kam ho jaye en companies ne es ka behtreen solution ye nikala hay key jesy jesy petrol ya other fuel ki prices me ezafa ho to es ki car ki price be es lehaz se kam ho ta key en ki car ki sale me kesi be condition me kami na ho, agar kesi model ki car ki demand bahot zeyada ho aur company be es model ki car ki production bahot zeyada kar rahi ho to sale kam hony ki waja se nuqsan company ko hi hota hay es waja se car ki keemat kar kar di jati hay es ka faida company ko ye ho jata hay key es ki car sale me bahot ezafa ho jata hay aur es ki production be khatam nahi hoti hay, aur agar petrol ki price bahot zeyada kam ho jaye to har company ki car value be increase ho jati hay aur es key demand me be ezafa ho jata hay jes ki waja se company zeyada profit earn karny key ley car ki price be zeyada kar dety hey.
              • #8 Collapse

                Re: Petrol kay rates pay Car ki price main fark

                Asalamualikum dosto car Jo ke Pakistan Mai aj se 3 saal pehle bohat sasti thi or log be is ko ziyada lete the .or jab be petrol mehanga hota that to cars par is ke koi asrat nahibparhte the balke car government ke Kate Mai alag ishab rakti hai or petrol alag .na petrol ki waja se aj Tak cars par koi asar parhta hai . Ab aagar cars mehangi howi hai to is Mai sirf government taksis ki waja se cars mehengai ho gi hai is Mai petrol ka koi kirdar nahi hai hum har bar isi tarha karte hai ke jab be koi Chez mehangi ho jati hai to hum unka zemedar government ko nahi thehrate balke hum idar udhar ki bare karne lagte hai car ke tax government me barhaye hai is Mai bala petrol kaha se aa gaya . Petrol to almi Mandi se jurha howa hai agar waha petrol mahenga ho Jaye to Pakistan Mai lazmi mehanga hota hai or agar waha sasta ho Jaye to Pakistan Mai lazman sasta ho hoga or is ka carancy se taluq zaaror hai is waqt Pakistan ki carancy bohat neche hai isi waja se be Hume Petrol mehenga mil raha hai.cars ka is Mai koi masla nahi hai.
                ALLAH HAFIZ
                • #9 Collapse

                  Re: Petrol kay rates pay Car ki price main fark

                  Petrol ki price change say cars ki market per asar perta hai...normally ye dikha gya hai k petrol ki qeemat zeyada honay say Cars ki demand kam ho jati hai. Jis say cars price kam hoti hai. Petrol ki price kam honay say Cars ki demand mn izafa hota hai. Jis say Garioun ki qemateen bhi zeyada hi jati hein.
                  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                  • #10 Collapse

                    Re: Petrol kay rates pay Car ki price main fark

                    Petrol ke rate ki prices mein bahut jyada changes Lekar Aate Hain Jab kar ki prices increase ho rahi Hoti Hai To iska matlab hai ki petrol ki prices bhi increased Rahi Hoti Hai Karki prices up and down to hoti rahti hai Magar petrol ki prices Jab increase hoti hai kar ki prices bhi increase hoti hai aur jab petrol ki prices kam hoti hai to kar ki prices bhi kam hoti hai yah directly Ek dusre ke sath link hote hain Kyunki Se Jab petrol kam hota hai to cost of production bhi kam ho jaati hai aur jab petrol badhta hai to cost of production increased Ho Jaati Hai Jiski wajah se sales bhi increase Ho Jaati Hai Aur bahut jyada cost increase hone se ek prices bhi increase Ho Jaati Hai

                    اب آن لائن

                    Working...
                    X