Guzishta dino may apnay aik dost ka hedged account deal kar raha tha, amount thori ziada thi, to may bohat sambhal kar trade kar raha tha, equity bohat he kam reh gai thi, broker wo tha jo instaforex ka competitor hay, ziada tar log is k baray may jantay hain, name agar likho ga bhe to bhe sensor ho jaye ga, khair us broker ka spread floating hay, aur leverage bhe bohat ziada offer karta hay, ab ap khud say samajh jao, balance tha 2600$ ka, lakin equity sirf 110$ ki thi, khair may nay account manage karna shru kia, lakin may nay aik cheez dekhi us may. Wo yeh keh may jab bhe kuch profits book karnay k lye trades open ki to jab wo trade profits ki taraf jati the to equity kam hona shru ho jati thi, aur jab meri trades loss ki taraf jana shru hoti the to equity barhnay lagti, khair samajh nahi a raha tha keh kia karo, thora thora kar k profits book karta raha, lakin phir aik din us broker nay bilawaja aur baghair kuch bataye diya hua bonus khatam kar diya, yeh aik dhachka tha, kyo keh wo broker aisi practice nahi karta tha, lakin khair 130$ say equity 50$ par agai, lakin phir bhe account control may tha, lakin aik din, just aik news ki arrival say pahlay us broker nay spread acha khasa wide kar diya, jab keh meray pass itni equity the keh account bach sakta tha, lakin phir bhe account ko blow up kar diya, aur pori 2600$ ki raqam khatam. Yeh sahi hay keh meray friend nay kuch ghaltiya ki thi, lakin jab account hedge tha to phir is tarha say kyo kiya.
Us din k baad say may nay apnay tamam assets us broker say nikal lye, jab keh us broker say acha khasa may nay kamaya tha, lakin ab mujhay us par bilkul bhe bharosa nahi hay, yeh mera personal experience tha jo ap logo k sath share karna chahta tha.
Us din k baad say may nay apnay tamam assets us broker say nikal lye, jab keh us broker say acha khasa may nay kamaya tha, lakin ab mujhay us par bilkul bhe bharosa nahi hay, yeh mera personal experience tha jo ap logo k sath share karna chahta tha.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим