Payza
No announcement yet.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Payza
    Payza aik aisa payment system hay jis ki madad say ap apnay bonus account say payment withdraw kar saktay hain, is ki aik khobi yeh bhi hay keh is ki payment ap pakistan may bank wire bhi kar saktay hain, aur payza walo ka apna aik card bhi hay jis ki madad say ap ATM say bhi payment nikal saktay ho, lakin fee ziada lagti hay, aur payza may agar ap apni withdrawal karwatay ho instaforex k through to ap ka account agar standard hay to koi fee apply nahi hogi, warna payza 2.5% fee cut karta hay har amount par jo ap receive kartay ho, agar koi sawal ya comment ho is baray may to most welcome.
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Payza ki latest report

    Dosto payza ki latest report yeh hay keh payza walo nay america may operate karna band kar diya hay aur americans k accounts ko limited kar diya hay, is ki waja wo yeh batatay hain keh american strict policies ki waja say unko apna program american states say roll back karna para. Pahlay marhalay may unho nay sirf aik ya do states say apna kaam khatam kia, aur ab poray america may payza available nahi hay. Agar ksi aur k pass koi latest update ho to yaha par share karo.
       
    • #3 Collapse

      han yar bohat afsoosnak khabar hai kyun kay agr america mein payza functional nahi hai to kya pata pakistan mein bhi na rahay,isi lye mujhy payment processors par itna confidence nahi hai aur mein direct bank wire ko prefer karta hun kyun kay PP kay issues hi khatam nahi hotay.
       
      • #4 Collapse

        bhai instaforex say agr payment processor kay through withdraw karwana hai to skrill sab say best hai kyun kay skrill ki fee bhi kam hai as compared to payza aur skrill zayada famous aur acha payment processor hai.
         
        • #5 Collapse

          اصل پيغام ارسال کردہ از: gohar110
          mere khayal se payza se zada behter tou bank transfer hai ap apna profit directly bank mein transfer karwayen phr wahan se withdraw karwa lain easily ... agar is k ilawa bhi koi tareeqa hai payment withdraw karwanay ka tou do share that please... :)
          Brother, let suppose, ap ka profit 10$ hay, aur us ko withdraw karna hay to ap bank transfer ko prefer karo gay ya phir ksi payment processor ko? bank transfer ki fee ap ko at least 5$ paray gi, jab k payza ki sirf 2.5% of profits. yani payza may 25 cents aur bank transfer may 5$, lakin phir whi baat, ap ko kam say kam 100$ karna hongay bank transfer k lye.
             
          • #6 Collapse

            payza ik money transfer ka treka kar hai ye aik account daita hai ap forex jo b kamate hai payaza account k zreye ap raqam tranfer kar sakte hai aur is app kamay hoiy raqam apne ley mangwa sakte hain
            • #7 Collapse

              اصل پيغام ارسال کردہ از: Khansa
              dear pyaza account ager pakistan mein hy or hum use use kren to kiya jitna hum profit earn krenge uska 2.5% hamein pyaza ko dena prega matlab hmara 1/4 amount pyaza wale lenge? or ager is se best payment method ho to bataen
              Starter ka account hoga to aisa kuch nahi hoga, jab bhi koi new banda payza ka account banata hay to phir us ko fee pay nahi karna parti, har month ki limit hoti hay, jis say oper jatay hi ap ka account pro-standard ban jaye ga, aur phir fee charge hogi, aur bhalay say ap poray saal bhi chalao, koi fee pay nahi karna hogi, lakin jaisay hi shru say lay kar akhir tak ki transaction 2000$ say oper hogi, fee charge hona shru ho jaye gi. us say pahlay nahi.
                 
              • #8 Collapse

                bhai payza account k barey me me to janta hi hun but mje paiza account verifiy krwane ka pta nahi ha g wo kese hota ha verify is lie ager ap k pass verifivcation k hawala se information ha to ap wo share kijye please thanks
                • #9 Collapse

                  matlab payza say hum apnay account mai transfer karwaye gai.Jo hum forex say kamaye gai wo payza mei chala jaye ga?PHhir hum payza ki website say apnay bank acount mai transfer karwaye gai?Is k liye i mean we dont have to visit our bank and tell them about our payment is coming or have to verify our account of payza from bank?
                  • #10 Collapse

                    اصل پيغام ارسال کردہ از: rajug پيغام ديکھيے
                    bhai payza account k barey me me to janta hi hun but mje paiza account verifiy krwane ka pta nahi ha g wo kese hota ha verify is lie ager ap k pass verifivcation k hawala se information ha to ap wo share kijye please thanks
                    Brother, best option ap k lye yehi hay keh ap apnay bank account ki statement un ko send kar dain, aur usi bank ki statement send karain jis ko ap add kar rahay ho. Is k elawa ap debit card bhi mangwa saktay ho, wo bhi ap ki verification k lye kaafi hoga.

                    اصل پيغام ارسال کردہ از: Haris Iqbal پيغام ديکھيے
                    matlab payza say hum apnay account mai transfer karwaye gai.Jo hum forex say kamaye gai wo payza mei chala jaye ga?PHhir hum payza ki website say apnay bank acount mai transfer karwaye gai?Is k liye i mean we dont have to visit our bank and tell them about our payment is coming or have to verify our account of payza from bank?
                    Brother, you don't need to do anything, if you have withdrawn your profits from payza, ap ko sirf apnay bank visit karnay ki zaroorat hay jab payment ajaye to, warna ap internet banking say bhi pata kar saktay hain.
                       
                    • #11 Collapse

                      Well payza is a good payment processor and I have been using it for couple of months and faced no issue however we cannot make transfers of amounts below $1 so this might be a little disadvantage but still I have been using it to withdraw from various sites and then to local currency via exchangers as well.
                      • #12 Collapse

                        Dear you told that you can withdraw money into bank account but I have tried to transfered money from Pazzy to standard chartered bank account it passed more then 60 days but it is so far pending. I have emailed to Pazzy support which is still pending.
                        • #13 Collapse

                          main to withdraw kay liey skrill use kar rha hun.payza bhi acha payment processor hai lekin kush brokers main payza available nahin hai.mery khyaal say traders kay liey skrill best hai.
                          • #14 Collapse

                            dear forex main jab ap apna earning kiya huwa balance withdraw karwany lagtay hai tu waqat apko bank account ki zarurat parti hai jis main ap withdraw karwaty hai or payza app ka bank account hota hai.
                            • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                            • #15 Collapse

                              yes dear yehi wajha hai k pakistan mein money withdraw kerwany k liy payza sy achi koi option nahi hai ager apka bank mein account hai to ap easily money withdraw ker sakty ho ior insta waly 1 to 7 hours apki raqam apky payza account mein transfer ker detay hai or fee bhe cut nahi hoti

                              اب آن لائن

                              Working...
                              X