[TIPs] Insta forex account ki tasdeeq kaisay karen ?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    [TIPs] Insta forex account ki tasdeeq kaisay karen ?
    As Salam Alaikum...!

    Humare kuch members ko yeh shikayat hai ke unka Insta Forex Account Verify Nahin horaha. Isliye mein yahan tafseel se likh raha hun is ke baad aap logon ko asani hojayegi Account Verfication mein.

    InstaForex ka Trading Account 2 Steps mein verify hota hai. Aap ko apne documents ki color scan copy upload kerna hogi.

    Documents Required for First Level Verification (Initial Verification)

    * Passport (First Three Pages of book)
    * SMART National ID card (SNIC)
    * National ID Card for Overseas Pakistanis (NICOP)
    * CNIC Urdu to English Translation Certificate by Notary Public Officer.


    Documents Required for Second Level Verification (Full Verification)

    * National ID card without Notarized translation.
    * Certificate of Domicile
    * Driver Licence
    * Bank Statement Signed & Sealed by Bank Official (Not older than 3 months)
    * Utility bill (Not older than 3 months)

    Document Submission Rules.

    * Dono verification Levels mein kam se kam aik scanned document upload kerna lazmi hai.
    * Scanned document files color quality mein bilkul saaf nazar aana chiaye.
    * Ager passport hai tu phir first three pages ko scan ker ke upload kerein.
    * ID Card ki dono sides (Front/Back) do alag files mein upload kerein.
    * Scanned ki hui picture mein kisi qism ki Editing / Correction / Modification na kerein.
    * Scanned document ke borders saaf nazar aana chaiye aur border se thora door se crop kerein.
    * Photo achi quality mein hona chaiye.
    * Insta Forex Trader Account holder Name Scanned document se match kerna chahiye.
    * Insta Forex Trader Account Address Scanned document se match kerna chahiye.
    * Ager koi Document 1st Level verification mein upload kia gaya tu woh 2nd level mein upload nahin kersakte.
    * Expired Scanned Document upload nahin kersakte.
    * Scanned file ki picture resolution kam se kam 1024X768 pixels ya isse ziada ho tu acha hai.
    * Scanned ki hui file ko Jpeg (jpg) format mein upload kerein.
    * Scanned ki hui file ka size maximum 2mb allow hai.

    Ager aap ke documents in rules ko apply kerne ke baad bhi reject hojain tu aap Instaforex Support Team ko apne document email kerdein.

    Email: identify@instaforex.com
     
    Last edited by ; 11-10-2018, 01:49 PM. وجہ: Information Updated.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Thanks for starting this thread ahmer.

    This will really help those who are struggling in getting their accounts verified. :)
     
    Best Topic Starter Awards!
    Pakistan Forex Forum Rules
    Har month k start me bonus 0 kyu hojata hai!
    • #3 Collapse

      Bhai, Aapne buhat hi achi information share ki hai, mujhe bhi account verify kerne mein problem ho rahi thi aur mere document do bar reject ho chukay hein. Meine sari batian samjh li hain aur mein in ke mutabiq verify kerwany ki koshish keronga. Thanks again
      • #4 Collapse

        thx brother apnay buhat hi acha thread banaya hay.or apkay is thread say jin logo ko account verification main jo bi problem a rahi hay.un sab ki problem is thread ko read karnay kay bad solve ho jain gay..
        • #5 Collapse

          bhai its very useful thread for all of us ager hum is thread ko nazar ma rakh ker apna account verification k liye dyty han tu i think 100% persent apka account verify ho jaye thanks ahmer bro apny buht achi information di ha new users k liye buht hi faidy mand ha
          • #6 Collapse

            اصل پيغام ارسال کردہ از: skr143
            I would like to know k 1st level of verification meri accept ho gaye thee NIC translation ke bina.

            Aur mera domicile english main hai to kai uske sath NIC ki translation upload karni hai?

            Agar bill ki copy upload ki jaye to phr bhi nic ki translation provide karna hogi..?

            2nd Level verification k liye aap koi bhi aik cheez upload kerdein. CNIC ki translation ki zarorat sirf 1st Level mein hoti hai. Ap thread k mutabiq koi aik document upload kerdein, Utility Bill se bhi kaam chal jayega, Aapka Name aur Address match hona chaiye, Aur Bill 3 month se old nahin hona chaiye.
               
            • #7 Collapse

              اصل پيغام ارسال کردہ از: skr143
              Hello sir, you have shared a useful information about account verification. It is indeed a great help for all members.

              I still want to know that can I register two or more accounts on Instaforex with a single CNIC...

              What would be the process to create such accounts?
              You are not allowed to create multiple Insta Forex accounts just to get bonus for posting. You can create multiple accounts with same ID card, Same name and same email ID but in order to do that you will need to detach your bonus account from this forum. Otherwise all of your insta forex accounts will be banned due to fraud detection.
                 
              • #8 Collapse

                Ik achi thread hai un logo k leye jo tired a chukay hai apna account ko verify karwanay k leye.Members ko zarori hai k woh es thread ko proper follow karain or asani k sath apna account ko verify karwa sakain jo un k leye latter on kafi madad gar sabit hoga profit ko withdrawal karwanay k leye.Trader apny account ko jab verify karwain tu zarori hai jo b doucments requirement k mutabiq upload karain woh high resolution mai ho or 1mb se kaam ho es tarha woh accept asani ho jain gay.
                 
                Humaray Behtareen Jawab Ky Mukablay Mai Hisa Lain
                • #9 Collapse

                  jnb mujy notary public ki samajh nahe a rahe . k yah kaha hota hai. kia yah her district main hota ya regin main . is bary main thora guide krain ga . taky main apna urdu nic attest karwa sako.
                  • #10 Collapse

                    ap apney kareebi court main jain or waha se apny cnic ki English translation karwa lain or us k bad notary public k office main ja kar us ko waha se attest karwa lain or phir high resolution k sath scan karwa kar jis ka size 1mb se kaam ho kar k upload kar dain woh ap ki verification asani se ho jaey gi yah ap k pas koi alternate documents hai like License tu woh b ap upload kar k apni 1st level of verification asani se complete kar sakty hain.
                     
                    Humaray Behtareen Jawab Ky Mukablay Mai Hisa Lain
                    • #11 Collapse

                      Aoa Sear Ahmer ager hum ne koi account kisi forum k sath attach kar dia ha to hum ucko ager detach karna chahn to kese kar sakty hn ucko detach kar k kisi dosry forum pr attach karna ha ye kese ho sakta ha tell me please thanx.
                      ...........................:)YOur One thanks Is apperciate able for me so click thanks:):D.............................
                      • #12 Collapse

                        اصل پيغام ارسال کردہ از: raja 100 پيغام ديکھيے
                        jnb mujy notary public ki samajh nahe a rahe . k yah kaha hota hai. kia yah her district main hota ya regin main . is bary main thora guide krain ga . taky main apna urdu nic attest karwa sako.
                        Notary Public Officer (Lawyer) hota hai. Ji han yeh her district mein hota hai. Aap court chale jayein ya phir koi aur jaga jahan Domicile etc banaye jate hein.
                           
                        • #13 Collapse

                          اصل پيغام ارسال کردہ از: skyaims پيغام ديکھيے
                          Aoa Sear Ahmer ager hum ne koi account kisi forum k sath attach kar dia ha to hum ucko ager detach karna chahn to kese kar sakty hn ucko detach kar k kisi dosry forum pr attach karna ha ye kese ho sakta ha tell me please thanx.
                          Aap apna Account do hi tareeqon se detach hosakta hai. Aik aap khud kersakte hein aur ager aapko permission nahin hai tu forum Administrator se request kersakte hein. Sirf Administrator hi account detach kersakta hai. Aapka account dosre forum per bhi attach hojayega mager aik waqt mein aik hi forum per attach kerein warna bonus nahin milega.
                             
                          • #14 Collapse

                            اصل پيغام ارسال کردہ از: Rizwan Trader پيغام ديکھيے
                            ap apney kareebi court main jain or waha se apny cnic ki English translation karwa lain or us k bad notary public k office main ja kar us ko waha se attest karwa lain or phir high resolution k sath scan karwa kar jis ka size 1mb se kaam ho kar k upload kar dain woh ap ki verification asani se ho jaey gi yah ap k pas koi alternate documents hai like License tu woh b ap upload kar k apni 1st level of verification asani se complete kar sakty hain.
                            Ji bhai aapne theek farmya hai, Mager Driver License first level verification main accept nahin hota. Meine jo thread mein detail post likhi hai sirf wohi documents upload kersakte hein.
                               
                            • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                            • #15 Collapse

                              اصل پيغام ارسال کردہ از: saqibnaqvi
                              thx sir jeeee apne waqai bht accha thread banaya hai is say waqi bht logo ko help mile gi wesay is tarha ki information say yahan bht logo ko help milti hai good one
                              Thread ko Pasand kerne ka shukriya. Insta Forex account verification buhat asan hai, Insta Forex chahta hai k sirf genuine traders un ke sath kaam kerein aur koi fraud activity na ho, Isi waja se unhone ab account verification ko thora restrict kia hai, ager aap rules ko follow kerte hein tu koi problem nahin hogi. Insha Allah.
                                 

                              اب آن لائن

                              Working...
                              X