Dosto, kia ap jantay ho k broker jis say ap trading kar rahay ho wo dealing desk broker hay ya no dealing desk broker? kia ap ko pata hay keh yeh hay kia?
brokers ziada tar dealing desk walay he hain, lakin may ap ko batana chahta ho keh dealing desk aur no dealing desk may kia faraq hay, dealing desk wala broker wo hota hay jo ap ko direct interbank market say trade execute nahi karwata, matlab yeh keh jab ap koi bhi trade kholtay ho to wo broker k ikhtiar may hota hay k konsi price may kholay, aur agar ap apnay meta trader k order ki window may dekho gay to ap ko pata chalay ga k us may kia likha hay, kuch brokers k meta trader may sirf (sell) aur (buy) likha hota hay, Ksi may (sell by market execution) aur (buy by market execution) likha hota hay.
No dealing desk wala broker ap ko direct market say link kar dayta hay, aur jo bhi ap order place kartay ho wo direct interbank say execute hota hay, Is ko mazeed asan alfaz may samjhana chaho ga ap ko, wo yeh hay keh forex market may kai tarha k quotes hotay hain, jaisa keh misal k tor par Eur/usd ki price ksi k pass 1.36000 hogi to ksi k pass 1.36001, isi tarha say 1.36005 bhi ho sakti hay, ab jo no dealing desk wala hoga to wo to kuch nahi karay ga, lakin jo dealing desk wala ho ga wo apni marzi ki quotation dalay ga, yani wo quotes jo us k favor may ho. Dealing desk may bohat saray traders hotay hain aur un k quotes k hisab say ap ki trade execute ki jati hay, jab k no dealing desk par ap ki trade jis price par execute ki jati hay usi par lagti hay, lakin baaz brokers us par bhi execution drag kar daytay hain, yani us may bhi garbar ho jati hay. Ap logo ko mazeed kuch maloomat ho to please share karain.

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим