Dosto, yeh istilah hamay sunnay may bohat kam ati hay, lakin yeh bohat zaroori cheez hay jis k baray may janna bohat had tak zaroori hay, agar ap scam honay say bachna chahtay ho to. kyo keh ziada tar brokers isi cheez ka use kartay hain.
Bucket trading hoti kia hay? yeh aik idiom ki tarha hay, lakin such yeh hay keh brokers jo k scam hotay hain aur kahi say regulated nahi hotay, wo log aik bucket bana laytay hain, aur customer talash kartay hain, jis may wo ziada tar attractive offers daytay hain, ab wo log kia kartay hain, market ki movement apni marzi k hisab say chalatay hain, yani jo market say qareeb qareeb hoti hay lakin wo original international market say connected nahi hoti, aisay hi broker ap say paisa lay kar aik bucket may daltay hain aur phir dosri bucket say paisa nikal laytay hain, yani kuch traders ko bucket A may aur Kuch traders ko bucket B may dal laytay hain, aisa aksar nazar ata hay k kuch brokers k pass aik sudden spike ata hay, jab k baqi k brokers k pass sudden spike nahi ata, wo sudden spike traders k stop loss ko hit karnay k lye ata hay, ta keh jo paisa wo loss kartay hain wo direct broker ki jaib may ata hay.
Aisa wo broker kartay hain jo floating spread ko offer kartay hain, kyo keh us may aisa kaam karna ziada asaan hota hay, kabhi bhi spread wide kar diya aur ap ko pata bhi nahi chalay ga keh kab ap k stop loss ko hit kar k market wapis apni normal position par agai.
Ksi aur ko bhi mazeed kuch maloom ho bucket trading k baray may to zaroor share karain.

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим