Assalam O Alikum dears mera question ye hy k hamain jab profit yaa bonis milta hy to main khud Skrill main transfer karta hoon air pir skrill sy jazzcash transfer karta hoon. To dosto mainy notice kiya hy k aksar price main farq hota hy aur price zahiri baat hy skrill waly B service charges lety hain aur insta forex waly B kuch katooti karty hain, aur pir Skrill sy jazz cash jab transfer karty hai nto asala price wahan sy dety hain k apka dollar kitny main PKR k sath exchange hogaya, to dosto aksar aisa hota hy k main jab calculation karta hoon har withdrawal k baad to kabhi kya price milta hy dollar ka kabhi kiya, lekin withdrawal main kabhi kam dollar ka karta hoon kabhi zyada ka, matlab jitny dollars mily utna withdrawal karta hoon. To dosto ab aap sy poochny ka matlab ye hy k kya dollar price ka withdrawal k amount par koi asar hota hy yaa nahi, matlab aisa hota hy k kam dollars agar hum withdraw karty hain to km price milta hy aur agar zyada dollars withdrawal karta hoon to zyada price yaa dollar ka price hamain Bahir k market k hisab sy milta hy.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим