Forex market mai resistance level aor support level buhot ahmeeyat raktay hai jaab market bullish side par jata hai tho ik point aisa zaror aata hai jeskay baad market rok jata hai aor aos say mazeed agay nahe jata matlab kesi khaas price ya point ko cross nahe kar patha jesko forex trading mai resistance level kaha jata hai same osi tarha jaab market bearish trend mai nechay ki taraf jata hai tho ik khaas point ya price par rok jata hai aor aosko cross nahe kar patha jesko forex language mai support level kaha jata hai es baath ko zeehan mai rakna zarore hai kay har resistance level say market dobara nechay girna shoro hota hai aor har support level say market dobara oper jana shoro hota hai matlab eska yahe howa kay agar kesi ko ye dono levels maloom hojaye tho trading buhot asaan hojati hai eskay leye mukhtalif kisam kay indicators mojood hai jaisay kay RSI aor fibonacci waghaira in indicators kay zareye say humay asaani kay saath patha chal sakta hai kay resistance level aor support level kaha par ho saktay hai lehaza har trader ko yahe kohsish karni chaheye kay ziyada say ziyada focus esi baath par laga de kay osnay pehlay esi dono levels ko identify karna hai
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим