Ye review diabetes (symptoms aur ilaj) par mbani hay !

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Ye review diabetes (symptoms aur ilaj) par mbani hay !
    Aaj kal ke daur men diabitees se kon pareshan nahi ha ye aisi bemari hai jo kisi ko kisi bhi age me ho jaati ha isey sugar ke naam se bhi jaana jaata hai iss bimari ke chalte lag bhag har meethi cheeze se parhez karna parta hai kitni hi dawaiyan doctors likh kar dete hain jo ke kafi mehngi bhi hoti hen.

    Diabetes k
    e symptoms aur Ghareloilaj !
    Pehle is ke symptoms ke bare men jante hen.
    Symptoms !
    Bhook ziada lagna pyas ziada lagna body par agar kahin chot lag jaae to wo jaldi se thik nahi hona kuch kaam na karne par bhi lagataar thakawat feel hona aise mehsus honr par sugar test jaldi hi karwa lena chahiye.
    Ilaj !
    1-Thoda sa methi daana(fenugreek seed)(lagbhag 6 gms) le kar pees len aur raat ko paani me bhigo den subah uth kar ekbar phir se ragar len aur ek kapre me se chan kar pee len Do mahine tak lagataar esa karne se sugar ya diabetes se chutkara mil jata hai.
    2-Jamun ki guthliyon me se giri nikaal kar unko saya men sukha len jab wo achi tarah sookh jaaen to unhen pees kar powder bana len ise daily subah and shaam ko teen gms(aadhe spoon se bhi kuchh kum) fresh paani ke saath lene se sugar ya diabetes ka problem door ho jaata hai ye kam se kam 1 month tak len beech beech me sugar test bhi karate rahen.
    3-Agar abhi ye start hi ho rahi hai to is ko control karna or bhi aasan hai 4 Jamun ke beej morning me and 4 beej evening me chaba kar khaane se one week me hi sugar cover ho jaati hai.
    Suitable Ghiza !
    1-Diabetic patient ko dahi, fruit, green vegetables, dhaniya, podina, cabbage cucumber, lauki, coconut, karela, tomato, lemon, carrot, ginger, wet almonds khaana bahut hi fayeda mand hain.
    2-karela sabse zyada asarandaz hota hai karela khaane se blood me glucose ki quantity kafi reduce ho jaati ha karele ka juice kaafi acha hota hai isme.
    Ehtiat !
    Meeta khana bilkul band kar den,chahe vo fruit ho ya mithai.
    Din ke time bilkul na soyen(sleep). Paani ek sath na drink karen balki 1-1 ghoont kar ke piyen.
    Daily morning and evening men fast walk karen.

اب آن لائن

Working...
X