Matti ke bartanon ke fawaid ! Jaiza

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Matti ke bartanon ke fawaid ! Jaiza
    Asalam o Alaikum dear friends,
    Aj ham Matti ke bartan ke fawaid ka jaiza len ge Kya aap neh kabhi matti ka bartan ( clay pots or earthen pots ) istemaal kya hai agar nahi to aap neh qudrat ki aik azeem Nemat ka faida uthane se aur sehat ke be shumaar fawaid haal karne se mahroom rahay hain matti ke bartan ka istemaal sirf raviti tor par hi nahi kya jata balkay is ke insani sahet ke liye aَn ginat fawaid hai lekin hum mein se aksar log is baat se anjaan hain aur woh sheesha, plastic aur steel waghera ke bartan istemaal karne ko trjia dete hain aaj ke is mazmoon mein aap ko matti ke bartan ke fawaid bataoun ga.. In Shaa Allah
    Matti ke bartan mein pani peenay ke chand barray fawaid Thanda pani (Cooling Water)


    Hum mein se bohat se logon ko yaad ho ga ke purane daur mein pani ko matti ke gharrey ( matkas ) mein jama kar ke rakha jata tha kyunkay us waqt nah to bijli thi aur aur nah hi fridge waghera jaisi koi cheez thi aaj ke science daan bhi yahi kehte hain ke matti ke gharrey se achi cheez koi nahi jis mein pani ko jama rakh saken matti ke gharrey nah sirf pani ko thanda karte hain, balkay is mein matti ke anasir bhi shaamil ho jatay hai jo ke insani sahet ke liye be had faiday mand hai aam tor par yeh dekha gaya hai ke matti ke gharrey pani ko aabb o howa ke lehaaz se thanda karte hai yeh khasiyat sirf matti mein hai aur kisi bhi cheez mein nahi...
    Massam daar (Porous)


    Matti massam daar hoti hai isi wajah se matti ke bartan bhi massam daar hotay hai yahi wajah hai ke jab aap pani ko matti ke gharrey mein rakhtay hai to tabkheer ka amal shuru ho jata hai is amal ki wajah se pani thanda hona shuru ho jata hai agar aap matti ke bartan ko microscope se dekhen to aap ko bohat hi chhootey chhootey massam nazar aeye ge un masamon ki wajah se pani ras ras kar bahar aata hai yeh khasiyat sirf matti ke bartano mein payi jati nah ke aaj kal istemaal honay walay steel, plastic waghera ke bartano mein kuch bartan aik khaas qisam ki matti" micaceous" se banaye jatay hain is mein abr q ki khasiyat hoti hai...
    Qalmi sift ya khaari (Alkaline)


    Qalmi sift ya khara pan hona yeh matti ke bartan ki khasiatoun mein se aik khasiyat hai qalmi sift ya khara pan honay ki wajah se matti ke bartan pani ki tezabiyat ko khatam karkay is ka ph level mutawazan rakhtay hain pani ka ph level theek honay ki wajah se yeh maida ke dard mein kami ka sabab bantaa hai matti ke bartan ki is khasiyat ki wajah se yeh insani sahet ke liye bohat mufeed aur sahet bakhash hai jab doodh aur gosht waghera ko matti ke bartan mein pakaya jata hai to is se un mein keemiyai tabdeeli aati hai jo ke insani sahet ke liye faiday mand honay ke sath sath un cheezon ka maza bhi dobala ho jata hai.
    Dear friends matti ke bartan ghar m istemal karne ke be-shumar fawaid hen jo k asani se ginne bhi nai ja sakte to koshish karen k gharon men khane ke liye matti ke bartan istamal karen. Thanks
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Matti ke bartanon ke fawaid ! Jaiza

    Assalam o Alaikum dear friends aaj ka hamara review Matti k barton oar mubani hai jesa k so sab jantey Hain puraney waqaton mein silver steel k bartan nahi hotey thay isliye log Matti k bartanon mein khana bnatey thay kuch log to Matti k bartan khud apney slney hathon se bnatey thay or phir un ko istemal karte that. Matti k bstmrtan bohat achey hotey hen or kam qeemat mein bhi mil jatey hain dj kal bhi kuch log show se Matti k barton ja istemal kartey Hain. Matti k bartanon mein sab bartan shamil hain jesa k
    Matti ja glass
    Matti ja cooler
    Matti ki handi
    Matti k bartanon ki aag par rakh kar in mein kuch bhi bna saktey hain in mein sakn bohat acga bnra hai it sabzi ki ghaziyat bhi barbara rehti hai
    Advantages
    Matti k barton k bohat se faidey hen jesa k Matti k bartan bohat sastey hotey hen. In mein jgaba bohat acga banta hai. Matti k gharey mein Pani daal Kar rakhtey Hain kiun k Matti k bartan mein Pani thanda rehta hai. Or Matti glass mein Pani peeney se insa tandrusat rehta hai kiun k Matti k barton mein jerms nahin lgtey or
    Disadvantages
    Matti k bartanon k kuch nuqsan bhi hen jesa k Matti k bartan jaldi Tut harry hain agar ham Matti k bartan mein kuch bana rahey hon or wo toot jaey to hamara bohat nuqsan ho santa hai isliye hamen Matti k bartanon ko ehtiyat se istemal karna chahiey
    • #3 Collapse

      Re: Matti ke bartanon ke fawaid ! Jaiza

      Walaikum Assalam dear friend aapane Ek bahut Achcha aur important review Hamare Sath share kiya hai aapane bahut acchi aur valuable information Mati Ke bartanoo se related share Ki Hai dear friend pahle Jamane mein Main Mitti ke bartan istemal Kiye Jate the Mitti ke bartan istemal karne ke bahut se advantages Hamen Milte Hain pahle log Mitti ke bartan istemal Karte Thy or wo sehat mand rehty thy . Unko badi badi bimariyan Nahin thi.

      Matti k bartan aj bhi hume market me easily mil jaty hen jin me jug ,glass ,mitti ki handii ,plates or gharry jin me pani bhar ker rakha jata hai .. pahle Zamane Mein bijali Nahin Hoti Thi Aur log Mitti ke a matke ya FIR jinko Ham Gharry Kahate Hain ine Mein Pani Bhar Kar rakhte the jo ki bahut Thanda Hota tha.

      Faiday :

      Dear friends Mitti ke bartan Mein khana khana Shifa hai Ham bahut Shiv bimariyon Se Dur Rah sakte hain matti ke bartan mein Main banae Gaye khane bahut jyada delicious Hote Hain aajkal different Bade hotels Mein restaurants mein Main Mitti ke bartan istemal Kiye Ja Rahe Hain yah Hamari saqafat hai ine bartanon Mein khana Banane se a khane ka test bahut Achcha Hota Hai......thanks
      • #4 Collapse

        Re: Matti ke bartanon ke fawaid ! Jaiza

        Assalam.u.Alaikum My Dear Forex Members !
        I hope ap sab fine hon gy or forex working ko khoob enjoy bhi kar rahy hon gy ab ma apny aj ky topic ki taraf chalti hun.
        Introduction :
        G guys ap ny hamesha ki tarah aik bohat acha review hmary sath share kiya hai mera aj ka jawab '' Matti ky Bartano '' par mubni hai matti ky bartan saaf zaahir hai ky matti sy bnay gay hoty hain yeh bohatt khoobsorat lagty hain matti ky bartan bnanay ky liye isy bohatt sy processes sy guzara jata hai jis ky bad mattti ky bartan tyaar hoty hain matti ky bartano ki aik wide range hai is ma hamay waterpots,plates,glasses,birds ky liye paani or khana rakhny ky bartan ,bachon ky toys waly bartan or haandiyaan bohat kuch hota hai jo ky bohatt useful hain ab ma apko isky faaidy or nuqsanat ky baary ma btaon gi.
        Advantages:
        Ab ma apko matti ky bartano ky faaidy ky bary ma btany jaa rahi hun to chalyn barhty hain matti ky bartano ky bohat sy faaidy hain firstly yeh hamy market ma easily available hoty hain in ma aik wide range hoti hai matti ky gharon ma paani thanda rehta hai matti ky glass ma pani peena sunnat hai or matti ky bartano ma khana khana bhi sunnat hai matti ky bartano ma bnany gay jkhano ki aik apni lazzat or maza hota hai matti ky bartan ham khud bhi bana sakty hain.
        Disadvantages:
        Ab ma apko matti ky bartano ky nuqsnaat ky bary ma btaon gi to chalyn bharty hain matti ky bartano ky zyada nuqsnat dekhny ma samny nahi aty matti ky bartano ka nuqsna yeh hay ky agar ye gir jayn to toot jaty hain or choolhy par in ma khana pakany sy haandiyan cracked hojati hai jis ma sy liquid leak karta hai or wo useful nahi rehti hain.
        Hamy matti ky bartano ko ehtiyat sy rakhna chaye i hope apko yeh review pasand ay ga or ap isy like karen gy .JazakAllah !
        • #5 Collapse

          Re: Matti ke bartanon ke fawaid ! Jaiza

          Introduction

          Aoa...dear memebrs umiid karti hun ky ap sab kheriiyat sy hon gy to aj ham jis cheez ky bary bat karen gy wo hen matti ky bartan jin jin sy ky ap sab achi tarah waqif hen...or bahot sy log apny gharon main matti ky bartan use karty hen to mn apko isi bary men information dun giii...in mn har qism ky bartan available hoty hen jesa ky

          Glass
          jugs
          degchian
          coolers
          plates
          Thaal

          is tarah ky har type ky bartan maatti mn available hoty hen...

          Advantages

          G memebrs matti my bartano ky bahut sary Advantages hen...yeh bartan bahut khoobsurat hoty hen or isk elawa yeh bartan quality wise bhi achy hoty hen or doctors kehty hen ky inmn khana khana ziada healthy sabit hota haiii..agar ap pani ky lye matti ka cooler ghara ya jugs use karty hen to is sy pani ziada thnda rehta hai youn garmi ky mosam mn ap matti ky bartan use Karen to ziada acha hai..isk sath sath matti matti ky bartano mn khana bnany sy khany ka taste bhi ziada ho jata hai..or yh bht zabardast hen..yh bartan dkhny men bhi bahut khoobsurat lagty hen or ek antique look dyty hen isky sath sath ink oper bahut sy designs or phool.bny hoty hen or yh bht achy lgty hen kuch log inko as a decoration piece bhi apny kitchen mn sajaty hen...inka ke sbs bara faida yeh bhi hai ky yeh dosry Bartanon ki nisbat thory sasty hoty hen...

          Disadvantages

          dear members wese to matti ky bartan bahut bee achy or khoobsurt hoty hen magar inka ek disadvantage yeh hai ky inko bahut zidaa care sy use karna parta hai or yh jaldi toot jaty hen so yeh ek disadvantage hai isk sath sath kuch matti ky bartan ese hoty hen jo time ky sath sath dull hojaty hen or inki khoobsurati kam hojati hai ..umid hai apko mera review pasand aaya hoga thanks
          • #6 Collapse

            Re: Matti ke bartanon ke fawaid ! Jaiza

            Doston aj me apse ek review share krnga jo k bht e acha or informative h...mera aj ka review " Mitti k brtanon " pe mubani h
            doston mitti k brtan phle zamanon me bht ziada istemal kiye jate thy...or yeh bht traditional lgte hyn or khoobsurat b in me khany peeny ka b bht faida hta h...
            Matti k bartan aj bhi hume market me easily mil jate hyn or jin me jug ,glass ,mitti ki handii ,plates or gharry jin me pani bhar kr rakha jata h.. or yeh bht ziada istemal hty thy.... pehle Zamane Mein bijli nhin hoti thi or log Mitti ke matky ya phir jinko hm ghrray Kehte Hain inme Pani Bhar Kar rakhte thy jisme pani thnda b rhta tha or peena acha b lgta tha or ek alag si mehak ati th...
            Faidy:
            Mitti k brtnon k behad faidy hyn ek faida yeh h k isme paani thnda rhta h .. or mitti k brtanon me khany peeny ka swab b hta h...or yeh bht achy b lgte hyn...or purana tradition b hyn...matti ky bartano ky faaidy barhty hain matti ky bartano k bohat se faaidy hyn firstly yeh hamen market ma easily available hote hain in myn ik wide range hoti hai matti ky gharon myn paani thanda rehta hai matti k glass ma pani peena sunnat hai or matti ke brtno myn khana bhi sunnat hai matti ke bartanon main bnayen gy khano ki aik apni lazzat or maza hota hai matti ky bartan hm khud bhi bana sakte hyn...Or is k bht se faidy hyn...
            Nuksan:
            mitti k brtno ka nuksan yehi hta h k yeh bht nazuk hty nechy girne se jldi toot jate hyn or inme pkany khany se yeh jldi black b hjty hyn aag pe...bs yehi nuksan h
            • #7 Collapse

              Re: Matti ke bartanon ke fawaid ! Jaiza

              Dear Forex members aaj ka Hamara topic Mitti ke bartan se fayde se related Hai jaise ki AAP Sab Jante Hain Mitti ke bartan pahle Jamane mein bahut jyada istemal kiye Jaate the aur bahut jyada Pasand kiye Jaate the vah Jyada kimti samjhe Jaate the Unka bahut jyada fayda Hota tha sehat per bahut jyada acche benefits Milte the Mitti ke bartan ka istemal safety Tod per hi nahin kiya Jata balke Shani sehat ke liye bhi bahut jyada faydemand hai Hamen main Iske bahut jyada advantages bhi hai aur yah mostly gharon Mein istemal kiye Jaate Hain Inko salan pakane mein istemal kiya Jata Hai Jo keh Agar Sal der se Galti Hai Doston Mera yah lobia yah chane to aap Mati Ke bartan Mein rakhkar pakane To bahut jaldi girl Jaate Hain bahut achha hota hai science Nahin bhi Mitti ke bartanon ke bare mein bahut jyada Taki karne ke bad Iske benefits bataen Hain Pani Jama Karke rakhne ke liye Mitti ke Ghade bartan Dhamal kiye Jaate Hain Jo Ke Pani ko Thanda rakhte hain na sirf thunder rakhte Hain balki Pani ko fresh rakhte Hain Pani Mein sim Nahin Aane dete Pani ko Pandit Ji rakhte Hain Pani Ki ki aur bahut jyada Basant ke Jaate Hain salan pakane ke liye bhi most League village area Mein Mitti ke bartan ko Jyada istemal Kiya jata hai shahron mein itna istemal nahin kiya Jata ki unke non-state dusre Steel ke bartan bhi aaj Chuke Hai Lekin Jaise ke Mitti ke bartanon Ke Jo fayde hain vah non-stick aur Steel wale bartan ke fayde Nahin Hote Mitti ke bartanon ke bahut jyada benefits hote hain aur bahut hi jyada Achcha Inka starmall Hamen Jarur karna chahie unke Sambhal se Hamen Hamari Shahar per bahut acche benefit Marte hote hain jaise ke Mati Ke glass Mati Ke cooler Mitti ki Handi yah sab chijen maujud Hoti Hai ine Sab Ka istemal Kiya jata hai aur unke bahut jyada advantages bhi dekhne ko Milte Hain
              • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
              • #8 Collapse

                Re: Matti ke bartanon ke fawaid ! Jaiza

                I guies agins whatsapp umeed h khriyt sy hongy ap logo ko pta h mili ky brtn my khana bnana or phr usy khna jo zahir h boht hi alag treet ata h
                plhy y log boht zyada use krty thy but ab log na smjhy bilkul bhi nhi krty to kia ap log kry gy use agr krty h to zror btaya ga mili jis hmy qdr nhi h mili ky brtn my log hotel pr jakr
                khana boht pasand krty h pr khod ghr pr rkhna nhi pta nhi log q nhi krtyapni amm zindagi my usy use
                I think is sy khna my bhi taste ata h or hmare purany rsmo riyaj bhi apna deta h

                اب آن لائن

                Working...
                X