Ye review "solar energy" pr mabni hai
Introduction:
Solar energy yani k shamsi tawanai , tawanai ki aik qism hai jo suraj ki kirno sy hasil ki jati hai. Ye qabily tardeed hai aur tawanai ka aik sabz zariya hai. Zamany k agaz sy he log suraj ki taraf raghb ho gye aur suraj ki pooja krny lagy. Liken waqt guzrny k sath sath log iss sy faida outhny lagy. Haal main hum ny suraj ki khaternaak taqat ko istamal krny ki koshish ki hai aur kamyab hue hain. Suraj sy tawanai akhta karny ka sab sy asan tareeka photo voltik panel k zariye hota hai. Wo bary panel jo aap ny ghar ki chatto'n aur daftaro'n main rakhy hoty hain wo suraj ki kirny hasil krte hain aur usy current main tabdeel kr k aapko faida pohnchaty hain. Ye panel DC ko AC main badal dety hain.
Advantage:
Solar energy yani k shamsi tawanai k bhotbhot sy faidy hain jin ka zikar yahan kary gy. Shamsi tawanai Allah Talah ka insan ko diya hua aik bhot bara toufa hai. Suraj ki kirno ko istamal kr k hum bhot sy faidy hasal kr sakty hain. Suraj energy ka aik bhot bara manba hai. Haal he main scientist ny solar panel banaye jis k zariye hum suraj sy any wali kirno ko us main jazab kr k us hararat ko bijli main convert kr sakty hain. Shamsi tawanai sy paida hone wali bijli dusri bijli sy sasti hoti hai aur shamsi tawanai k process main koi aloodhgi paida ni hoti.
Aaj kal hum ghar aur office main aur agriculture main zyda tar hum solar energy ka istamal kr rahy hain kion k iss sy zyda faida hota hai.
Disadvantages:
Jesa k hum janty hain k aaj kal technology sy hamy kafi faidy milty hain liken saath saath inky kuch nuksaanaat b hoty hain. Suraj sy any wali kirny in main kuch khaternaak hoti hain jin sy skin ki kafi bimariyan paida hoti hain...sab sy bara maslah ye hai k hum solar energy sirf din k waqt istamal kr sakty hain otherwise hamy koi energy store krny k liye battery wagra ka istamal krna pary ga jo k kafi mehnga kaam ho jata hai aur solar panel achi quality k na hon to jaldi kharaab ho jaty hain aur achi quality wali expensive hoty hain jo hr koi ni ly sakta.

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим