Ye review Wardboard(almari) pr mabni hai

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Ye review Wardboard(almari) pr mabni hai
    Ye review Wardrobe(almari) pr mabni hai.

    Asslam o Alaikum


    Introduction:

    Almari aik khari almari hai jo kapry store krny k liye istamal hoti hai. Qadeem zamany ki almari aik seena tha. Waqt ghuzrny k sath sath inko update kiya gya jo different design aur different size main nazar ati hain. Almarion aur lakaron sy jadeed almari jo diwaar k sath attached hoti hain tiyar ki gai. Purany dour ki almari shape aur size main ajeeb o ghareeb qism ki hoti thi aur iss dour ki new design shape aur different size bhot khoobsurat aur dil kash hain. Almari main different cheezain rakhi ja sakti hain. Ghar ki sajawatt main b inka hissa hota hai.


    Click image for larger version

Name:	images (4).jpeg
Views:	1
Size:	20.2 کلوبائٹ
ID:	12470302
    Click image for larger version

Name:	download.jpeg
Views:	1
Size:	9.0 کلوبائٹ
ID:	12470303



    Advantage:

    Almari kapron ko store krny k kaam ati hai. Kapron k ilawa aur dusri cheezain b rakhi ja sakti hain e.g shoe's bartan aur baqi na istamal hone wala samaan. Almari main pary kapry doondny main asaani hoti hai aur istari kiye hue kapry kharaab ni hoty. Aur almari ka design ghar ki decorations ko barhata hai. Aur almari main hum books rakh sakty hain aur doondny main mushkil ni hoti. Almari main cheezain mehfooz rehti hain. Achi quality ki almari mazboot hoti hain.



    Disadvantage:

    Her cheez k faidon k saath saath nuqsanaat b hoty hain. Achi almari expensive hoti hain. Ye room ka kafi sara hissa ghair leti hain. Aur inko aik jaga sy dusri jagah ly kr jana bhot mushkil hota hai. Almari lohy aur lakri ki hoti hain aur kafi wazni hoti hain. Ye moveable ni hoti balky aik jagah fix hoti hain. Achi quality ki na hon to jald kharaab ho jati.
    Last edited by ; 14-11-2020, 01:43 PM.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Ye review Wardrobe(almari) pr mabni hai

    Aj ka review wardrobe pe mabni h....
    Introduction:
    Wardrobe apke room main mojood hoti h jis main ap apne kapre... Jootay or apne fancy wear wgera or apni gold ki jewelry or important stuff wgera rkh skte hain.... Or yh apke kaprun or cheezun ko organized or chupa hua rkhti h... Takay wo bikhre huye na lgen.....Wardrobe ki bht sari types payi jati hain... Jese k wall k sth combined wardrobe or seperate or different designs main...


    Advantages:
    Iska phla faida to yh apke kapre organized rkhti h or unko chupaye rkhti h or wo bikhre huye ni rhtw.... Iska dusra faida yh h k yh apke kamre ki ronaq barhaye rkhti h......iske andr locker bh paya jata h jo apke pesay or gold wgera ko safe rkhta h... Ap isme apne kapre iron krke hang kr skte hain or inki ironing khrb nhi hoti.... Yh painted bh hoti hain or designs bh bht ache hote hain... Yh khubsurti bh barhate hain or moveable bh hote hain....

    Click image for larger version

Name:	70f44167c4201c420f50250a27038715.jpg
Views:	1
Size:	88.3 کلوبائٹ
ID:	12335820


    Disadvantages:
    Iska aik nuksaan yh h k yh kafi mehngi hoti h.... Or dusra yh k aik jgh pari rh k iske neechay gand ikatha hojata h.... Jis se beemariyan phelti hain... Or yh apke kamre ki jgh ko gherta h bht...
    • #3 Collapse

      Re: Ye review Wardrobe(almari) pr mabni hai

      Hello guyz! Aj jis chez k bry me apko btaunga wo h
      WARDROBE (Almari)" 🗄️
      Wardrobe Almari ek bht common c cheez h jisy sb khreedty hyn or hr ghr me e mostly moujood hoti h.. yeh ek zroori furniture ka part h, Jo tkrebn sb k pas hona chahye.. almari me ap apna (zroori saman , kpry jooty, bistar, qeemti gold ji jewlery) 👡🛍️📿👗 bri asaani se safe treeqay se rkh skte hyn...yani yeh ek almari apka bht sa saaamn store kr skti h or is k or b beshumr faidy hy ...
      Advantages 💥😍
      wardrobe almari ka faida yeh h k isme ap asaaani se apna sara samaan almari me safe kr k rkh skte hyn or is ek almari me apka sara samaan cover hojta h.. Ap apne kpron ko bht achy treeku se press kr k isme hang kr skte hyn.. or is trah apko krpy dhoondne me b asaani hoti q k ek well organized treeky se apka saman or kpry isme hang hote hynnn .. or is ka sbse bra faida yeh h k apki qeemti gold ki chexain or jewelry wgera ap smbhal k rkh skte.. q k almari k sth locker b hota h..or ap lock me isy rkh skte hyn ..bht safely! 📿😍
      Disadvantages:
      Is ka ek nuksan yeh h k yeh size me bht bari hoti h.. or room ki bht si jgah gher leti h... isy room me rkhne sy apka room tang hjta h... . Bqi or iska koi khas nuksan nahii
      • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
      • #4 Collapse

        Re: Ye review Wardboard(almari) pr mabni hai

        Assalam o Alaikum dear friends aaj ka hamara review wardrobe par mubani hai. Jesa k ap sab log jantey Hain k wardrobe almari ko kehtey Hain jis mein ham different cheezon ko rakh saktey Hain. Zyada far us almari ko wardrobe kehtey Hain jis mein ham apney kaprey rakhtey Hain. Wardrobe different types k hotey Hain. Kuch wardrobe dewaron mein bney hotey Hain . Kuch lakri k wardrobe hotey Hain Jin ko Ham kahin b rakh saktey Hain. Lekin Dewar mein bney wardrobe ko Ham utha Kar kahin b nahin Le ja sktey. Ab ham wardrobe kbfsidey or nuqsan k barey mein baat karte hain.
        Advantages
        Wardrobe k bohat se faidey hen jesa k Ham is mein apney kaprey apni Marzi se fold KR k set Kar k rakh saktey Hain. Press kr k AGR kapron ko hang kia jaey to jab bhi hamen kaprey pehanany him to dobara press nahin karney party . Is tarah hamrey time ki bhi bachat hoti hai. Or jameen kaprey dhoondney mein mushqil pesh nahin aati. Kaprey kharab honey se bhi Bach jatey Hain or room bhi neat rehta hai kapray har jagah bikhray Huey Nazar nahi aatey.
        Disadvantages
        Wardrobe k kuch nuqsan bhi hen jesa k ward robe bohat hotey Hain or jagah zyada letey Hain agar room Chita ho to wardrobe rakhney se room or bhi Chita ho jata hai. Isliye zyada tar log dewaron mein wardrobe bnwatey hain.market mein har tarah k wardrobe available hotey Hain par achey Waley wardrobe bohat mehngey aatey Hain Jo k har in afford nahin kar sakta.

        اب آن لائن

        Working...
        X