Ye review UPS pr mabni hai
Asslam o alaikum
Dear forex friends dua hai k aap sab khairiyat sy hon gy.
Introduction:
Doston main aap ko aik electronic device UPS ky bary main bataon ga. UPS stand for Uninterruptible Power Supply. UPS aik electronic device hai jo aik input power source ko nakaam hony pr usy bijli mohiya krti hai. UPS battery k saath connected hota hai aur agy dusri devices ko bijli deta hai. Iss ki different types hoti hain aur different price hoti hain.
Advantage:
Jesa k ham janty hain hr cheez k koi na koi faidy zaroor hoty hain aur issi tarah UPS k b bhot sy faidy hain. Hr UPS main koi aisa unsar hota hai jahan bijli store hoti hai jo chemical energy ki shakal main energy ko store krta hai jese energy batteries main mehfooz hoti hai. UPS na sirf hanghami taqat mohiya karta hai balky bijli sy mutalaq aam masayal ko b hall karny main madad karta hai jese input bijli ki inference sy save karta hai aur over voltage sy mehfooz rakhta hai. UPS k different models main current store karny k liye different abilities hoti hain. UPS ka istamal application main bhot mashoor hai jahan alaat kisi b tarah ki rukawat bardhast ni kr sakty jese k seht ki dekh bahl krny waly units, tibbi sazo-samaan IT office, Banks ������ aur bhot sari jagon pr bila tatal bijli ki farhami ki zaroorat hoti hai wahan UPS bhot kaam aty hain.
Disadvantages:
Har cheez ky faidon k saath saath kuch nuqsaan b hoty hain aur issi tarah UPS k b kuch nuqsaan hain. Bary UPS bhot zyda wazni hoty hain aur unko aik jaga sy dusri jaga muntaqil karna bhot mushkil hota hai aur bary UPS ghar ki jaga b kafi zyada cover karty hain. Agar bhot zyada high ya low voltage mily to aksar bandh ho jaty hain. Ye kafi expensive hoty hain agar UPS ki quality achi na ho to wo aye din kharaab hoty rehty hain jo k bhot bara maslah hai.

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим