Yeh review "fridge "pr mabni h
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #31 Collapse

    Re: Yeh review &quot;fridge &quot;pr mabni h

    Ye review "fridge" pr mabni hai



    Introduction



    Fridge aik electric device hai jo bijli pr chalti hai aur cheezon ko freez krny main madad krty hain. Ye aik achi aur kaam da cheez hai jo her ghar ki zaroorat hai aur hr ghar main majood hoti hai. Ye different size aur different shape ki hoti hain. Iss k 2 hissy hoty hain aik uper wala hissa hota hai jo k chota hota hai aur neechy wala hissa bara hota hai. Fridge kai qism k hoty hain kuch column shape aur kuch row shape k hoty hain. Aaj kal ye bazaar main different size aur different shape main majood hain jo k different prize main milty hain.


    Click image for larger version

Name:	images (12).jpeg
Views:	1
Size:	16.9 کلوبائٹ
ID:	12335893
    Click image for larger version

Name:	images (13).jpeg
Views:	1
Size:	25.1 کلوبائٹ
ID:	12335895
    Click image for larger version

Name:	images (11).jpeg
Views:	1
Size:	20.1 کلوبائٹ
ID:	12335896
    Click image for larger version

Name:	images (14).jpeg
Views:	1
Size:	16.6 کلوبائٹ
ID:	12335897




    Advantage:


    Freezer k bhot sy faidy hain jo main aapko yahan batoun ga
    Fridge baraff banany k kaam ata hai
    Fridge main fruita aur vegetables ko kharaab hone sy bachany k liye rakha jata hai. Aur doodh kharaab na ho usy b fridge main rakha jata hai. Doodh dahi ghee aata aur bhot sari cheezain jin ka kharaab hone ka khadsha hota hai uny fridge main rakha jata hai.
    Fridge k 2 khany hoty hain aik chota aur aik bara. Choty khany main hum cheezon ko freez kr sakty hain aur baraf bana sakty hain jab k bary khany main hum cheezon ko thanda rakh sakty hain aur us khany main kafi sari cheezain sama sakti hain. Fridge k bary waly hissy k andar different portion bany hoty hain jahan different cheezain rakhi ja sakti hain jesa k uper pixs main wazya nazar aa raha hoga. Egg fruit vegetables aur pani wali bottles rakhny k alag alag khany bany hoty hain jo k kafi khoobsurat b lagty hain. Fridge ki safai krna koi zyda mushkil kaam ni hai balky asani sy ho jati hai.



    Disadvantages:


    Jesa k hum janty hain k faidon k saath saath cheezon k nuqsanaat b hoty hain. Fridge k bhot sary faidy to hain liken kuch nuqsan b hain. Jo main yahan aapko bataon ga. Fridge ghar ki kafi sari jaga ko ghair lety hain aur fridge kafi zyda wazni hoty hain aur inko aik jaga sy dusri jaga shift krna bhot mushkil hota hai. Fridge shift krny k doraan ye aksar damage ho jaty hain aur inki khoobsuriti kharaab ho jati hai. Achi quality k fridge kafi mehngy hoty hain aur jo low quality k hoty hain wo jald kharaab ho jaty hain. Inki agr gas leak ho jaye to kafi kharcha hita hai. Ye bijli bhot istamal karty hain aur bijli ka bill bhot zyda ata hai.

    اب آن لائن

    Working...
    X