Galaxy Note 20 Ultra ( 5G )
Introducing The Phone
Samsung Company Nay Apna Galaxy Note 20 Ultra 5G Variant Or Iskey Sath Aney Wala Aik Or Milta Julta Variant 5 August 2020 Ko Announced Kiya Tha Apney Event Par Or Uskey Bad Samsung Nay Is Phone KI Release Date 21 August 2020 Rakh Di Thi Or Ye Phone August Ki End Mai Release Howa Tha Ye Aik Bhut Hi Acha Phone Hai Samsung Nay Is Phone Mai Pehely Say Zaida Improvement Ki Hai Ab Hum Baat Kartey Hain Is Phone Ki Specification Kay Barey Mai .
Specification
Display : 6.90-inch (1440x3200 )
Processor : Samsung Exynos 990
Front Camera : 10MP
Rear Camera : 108MP + 12MP + 12MP
Battery Capacity : 4500mAh
RAM : 12GB Say 16 GB.
Storage : 256GB Say 512 GB.
OS : Android 10
Ye Sab Is Phone Ki Basis Specifications Hain Ab Hum Baat Karein Gy Is Phone Kay Fawaid Or Is Phone Kay Mazeed Features Or Specifications Kay Barey Mai.
Advantages
Disadvantages
Introducing The Phone
Samsung Company Nay Apna Galaxy Note 20 Ultra 5G Variant Or Iskey Sath Aney Wala Aik Or Milta Julta Variant 5 August 2020 Ko Announced Kiya Tha Apney Event Par Or Uskey Bad Samsung Nay Is Phone KI Release Date 21 August 2020 Rakh Di Thi Or Ye Phone August Ki End Mai Release Howa Tha Ye Aik Bhut Hi Acha Phone Hai Samsung Nay Is Phone Mai Pehely Say Zaida Improvement Ki Hai Ab Hum Baat Kartey Hain Is Phone Ki Specification Kay Barey Mai .
Specification
Display : 6.90-inch (1440x3200 )
Processor : Samsung Exynos 990
Front Camera : 10MP
Rear Camera : 108MP + 12MP + 12MP
Battery Capacity : 4500mAh
RAM : 12GB Say 16 GB.
Storage : 256GB Say 512 GB.
OS : Android 10
Ye Sab Is Phone Ki Basis Specifications Hain Ab Hum Baat Karein Gy Is Phone Kay Fawaid Or Is Phone Kay Mazeed Features Or Specifications Kay Barey Mai.
Advantages
- Is Phone Ka Pehla Faida Ye Hai Keh Is Phone Mia Hamein Note Pen Use Karney Ko Milta Hai Jo Keh Baki Kise Phone Mia Available Nhi Hota Is Phone Mia Hamein Note Pen Isliye Milta Hai Koun Keh Ye Phone Note Series Ka Hai Or Ismai Note Pen Lazmi Ata Hai Or Hum Is Pen Say Bhut Kuch Kar Saktey Hain Jesy Keh Drawings Or Paintings Wagheira.
- Hamein Is Phone Mai Front Camera Mai 10MP Pixel Ka Camera Milta Hai Jo Keh Hum Simple Photos Ko Click Karney Kay Liye Istamal Kartey Hain Or Agr Hum Baki Phones Kay Sath Samsung Note 20 Ultra Kay Front Camera Ki Baat Karein Tu Ye Baki Sba Phones Say Better Result Deta Hai Or Achi Picture Quality Deta Or Hum Is Phone Mai Front Camera Say Video Recording Bhi Kar Saktey Hain Wo Bhi Blur Effect Kay Sath Jo Keh Aik Bhut Hi Acha Point Hai.
- Ye Phone Apney Sath Back Camera Yani Rear Camera 108 + 12 + 12 MP Ka Lata Hain Jo Keh Different Purposes Kay Liye Istamal Hota Hai Jesy Keh 108 MP Wala Camera Lens Main Camera Hai Jis Say Hum Apni Basic Photos Or Videos Capture Kartey Hain Or Baki Kay 2 Camera Ultrawide Or Telephoto Camera Lens Hain Jis Say Different Photos Or Videos Capture Hoti Hain Or Ye Option Har Phone Mai Nhi Available.
- Is Phone Mai Aik Or Khass Baat Ye Hai Keh Ye Phone 12 Say Lay Kar 16 GB Tak Ki RAM Mai Available Hota Hai Jo Keh Variant Kay Hisab Say Ati Hai Is Phone Mai 256 GB Storage Say Ly Kar 512 GB Storaghe Waly Variant Bhi Hain Jin Ka Bhut Faida Hai Koun Keh Jo Log Apna Sara Data Phone Mai Store Kartey Hain Un Kay Liye Ye Phone Ye Best Hai Koun Keh Ye Phone Apney Sath Storage Achi Deta Hai Or Performance Bhi Koun Keh Is Phone Mai Storage Kay Sath RAM Par Bhi Focus Kiya Gaya Hai Or Upgrade Kar Kay 12 To 16 GB Tak Ki Kar Di Hai Jis Ki Wajah Say Phone Ki Performance Mai Koi Kamii Nhi Ati Or Phone Achi Performance Deta Hai.
- Ye Phone Screen Display Mai Sab Say Acha Hai Koun Keh Ye Phone ( AMOLED Infinity-O FHD+ Resolution ) Kay Sath Ata Hai Jo Keh Worlds Best Displays Mai Say Aik Hai Or Bbhut Hi Achi Performance Deta Hai Or Is Phone Par Hum Jo Bhi Video Ya Koi Bhi Content Dekah Lein Wo Hamein Cinematic Quality Mai Nazar Aye Gi KOun Keh Ye Bilkul High Resolution Display Hai Or Is Display Ya Screen Ka Refresh Rate Bhi 60Hz Say Lay Kay 120Hz Tak Ka Hai Jo Keh Bhut Hi Achi Performance Provide Karta Hai Users Ko.
- Ye Phone Hamein Bhut Say Colours Mai Available Mil Jata Hai Jesy Keh ( Mystic White , Mystic Black , Mystic Gray , Mystic Green , Mystic Bronze ) Ye Sab Colors Is Phone Mai Available Houn Gy Market Mai Or Ye Plus Point Har Kise Phone Mia Nhi Ata Or Ye Colours Sab Hi Decent Hain Har Koi User Apni Marzi Kay Mutabik Choose Kar Saktey Hain.
- Ye Phone Water Resistant Bhi Hain Hum Is Phone Ko Easily Test Kar Saktey Hain Under Water Mai Or Ye Phone Kafi Deep Resistant Hai Or Ye Water Kay Pressure Ko Bardasht Kar Leta Hai Or Is Phone Mai Special Seals Lagayi Gayi Hain Slotsa Par Takeh Water Phone Ko Damage Na Karey Or Acha Water Resistance Provide Karey.
- Ye Aik 5G Phone Hai Jis Ki Wajah Say Hamein Is Phone Mai Achi Browsing Ya Surfing Kar Saktey Hain Ye Phone 5G Support Variant Hai Or Iskey Sath Samsung Nay LTE Variant Bhi Launch Kiya Hai Jo Users Apni Zarorat Kay Tehat Buy Kar Saktey Hain.
Disadvantages
- Is Phone Ka Size Bhut Hi Bara Hai Iskey Display Ki Wajah Say Jis Ki Wajah Say Ye Phone Hamein Carry Karney Mai Mushkil Ati Hai Ye Phone Hum Apni Pant Ki Ya Suit Ki Pocket Mai Nhi Easily Dal Saktey Or Agr Hum Ye Phone Dal Bhi Lein Tu Ye Bhut Bura Lagta Hai Koun Ke Ye Phone Bhut Hi Bara Hai.
- Agr Hum Is Phone Kay Aik Or Nuqsan Ki Baat Karein Tu Ye Phone Bhut Hi Expensive Hai Ye Phone Bhut Kam Log Afford Kar Saktey Hain Jesy Keh Business Mans Ya Landlords Ye Phone Rs 179,999 Say Lay Kar 231,980 Tak Ki Price Range Ka Hai Ye Phone Is Liye Bhi Mehanga Hai Koun Keh Ye Aik Flagship Phone Hai Pakistan Mai Bhut Kam Log Hain Jo Ye Phone Buy Karna Pasand Kartey Hain.
- Is Phone Mai Aik Plus Feature Nhi Hai Jab Keh Wo Ye Feature Har New Phone Mai Available Hota Hai Is Phone Mai 45W Charging Support Nhi Milti Jis Ki Wajah Say Phone Late Charge Hota Hai Or Hamein Apna Time Waste Karna Parta Hai Is Phone Ki Charging Kay Liye.
- Jesy Keh Ap Sab Jantey Hain Ye Phone 5G Variant Hai Tu Is Phone Pakistan Kay Users Kay Liye Acha Nhi Koun Keh Pakistan Mai 5G Service Available Nhi Hai.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим