Inverter Ac
No announcement yet.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Inverter Ac
    Ye review "inverter Ac" pr mabni ha...
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Inverter Ac

    Assalamu Alaikum dear Forex member :-
    Umeed karta hun ki aap sab khairiyat se Honge Aaj Jis mouzu per main aapke sath baat karne jaa raha hoon wo Hai Inverter AC .dosto kaha jata hai k inverter AC kam bijali istemal Karte Hain paise bachaty Hain aur kam Waqt mein jyada cooling Karte Hain .
    Aakhir yah Inverter AC kya hai aur purani Technology se Kis Tarah mukhtalif hain Hain hm iska jaiza lete h Hain.
    Split AC....
    Ham aam Taur per Apne Kamre ka darja hararat apni zarurat ke mutabik rakhte Hain Jo Pakistan mein amuman 18 Se Lekar 24 Tak Hota Hai Hamari Khwahish ke mutabik darja hararat hasil karne ke liye compressor ko ek mukarrara Raftar se Chalna padta hai jo ki iski sabse zyada Raftar hoti hai Jis Ke baes bijali Bhi Jyada kharch Hoti Hai Jab darja hararat matlab k darja hararat Tak pahunch Jata Hai To thermostat compressor ko trip kar deta hai aur uska thermostat sust Raftari se chalne lagta hai lekin Agar Hamare Kamre Mein Hawa leek hone ke Raste Ho ya Aisi Jagah mujood ho Jahan Se Garam Hawa andar Aati Hai to Kamre ka darja hararat badh jata hai Jis Ke natije mein thermostat compressor ko phr sy darja hararat ko Bahal karne ki hadayat Jari kar deta hai .
    Agar Socha Jaaye to compresser ka trip ho jana faydemand Hona chahie Kyunki Jab compresser chal Nahin Raha Hota to hm bijali kam istemal kar rahe Hote Hain magr yah Ajeeb Sitam zareefi ha k compressor k bar bar dubara start hone ki vajah se Jyada bijali khrch hoti hai Kyunki jab compressor Apne normal speed per chal rahe Hote Hain to Uske mukabale mein Main start hony main zyada bijli istemal krty hain.
    Inverter Ac........
    inverter Technology ne is cheeze ko Badal ke Rakh Diya Hai compressor kay chalne ko mukhtalif raftar sy chalny wali device ke zarye control Kiya jata hai agar Sada zuban Mein Kahin Tu ye Kamre ka derja hararhat mehsoos Karke mustehkam rakhta ha .Agar Kamre ka darja hararat zyada Hai To compressor bhi Usi mutabikat sy tez raftari se chlta ha or agr darja hararhat gir jata ha to compressor ki raftaar b kam ho jati ha ye technology compressor ko trip ni hony deti balkyy hamari khuwahish k mutabik kamry ki thandak ko barkrar rakhny k lye usy munasib raftaar sy chalati rehti ha Is Tarah Ek aam compressor k start hone ke Duran bijali ka istemal kam ho jata hai
    Inverter AC mahngy hote hain lekin Apni kimat Ko mausar cooling k zarye pura kar dete hain aur kam Uttar Charao ki waja se yah bijali bhi kam kharch krty Hain
    Inverter AC bijali ky billon mein 30 % Tak kami ley aaty hain lekin ek Alaa myaar ka inverter AC is Sharah ko 50 % Tak bhi le ja sakta hai. agar Ek Inverter AC 1 lakh tak ki kimat ke Darmiyaan aata hai to Usi rating k or colling k lye aik non inverter AC 60 hazaar tk mil jata ha to inverter AC ka Jo kharch ha wo 3 sal main wapis masool ho jata ha agr ye kahen k inverter AC mahnga ha tu ye darust ha lekin agr ap inverter AC pr pese kharch krty Hain to ye taweel muddat tk ap ky pese b bachay ga
    To dosto agr ap AC khareedna chahty hain to inverter AC hi khreedain jo ap ky lye faida mand ha.Allah Hafiz ❣️
     
    • #3 Collapse

      Re: Inverter Ac

      Assalamu Alaikum dear friends Jaisa ke is review Mein Inverter AC per baat ki gai hai To Ham bhi thoda Inverter AC per jaiza Lete Hain Ki Inverter AC Hota kya hai aur yah Kis Tarah kam karta hai aur yah Hamare liye kaun se fayde ka kam karta hai

      Inverter AC
      yah Inverter AC Kisi bhi company ka AC ho sakta hai yahan per company ka ziker. nahin kiya Gaya To Ham Kisi bhi company ki baat nahin Karte Ham sirf AC inverter ki baat karenge Inverter AC aapke liye garmiyon mein bahut hi jyada faydemand hai Kyunki Garmi Mein Kuchh log Garmi acha waqt nahin kar sakte aur jyadatar Garmi Mein Rahne se pareshan Ho Jaate Hain To unko Pareshan hone ki jarurat Nahin Hai Kyunki Abhi e Inverter AC market mein maujud hai jo aapko Garmi Se bachate Hain yah Inverter AC e DC bijli per Bhi kaam karta hai aapke pass Agar solar system maujud hai to aap solar system per Inverter AC Chala sakte hain aur aapka bijali ka Bil bhi bachta rahega

      yah Inverter AC sirf cooling hi provide Nahin karte balky yah Sardiyon mein as heater bhi kam Karte Hain yah aapke liye double fayda hai k garmiyon mein main aap isko cooling k liya istemal Karte Hain Taki aapko Garmi Na Lag sake yah bahut hi acchi cooling karta hai aur aapko 18 se 24 degree centigrade Tak temperature provide karta hai jisse aapko na Jyada Sardi Lagti Hai aur na hi jyada Garmi Lagti Hai aap ka room temperature normal rahata hai aur aap aap normal life aasani se Gujar sakte hain

      Inverter AC sardi mein aapko heat bhi provide karta hai Aap Ko Kisi heater ki jarurat Nahin Hai yah Inverter AC aapke heater ka bhi kharcha Bachata hai aapko alahada se heater kharidne ki bhi jarurat Nahin padati yah Inverter AC aapko jitni aap Chahe utani heat provide Karega aur aap sadiyon mein bhi Sardi se bach sakte hain
      Yah Inverter AC aapko market se bahut hi acche rate per mil Jaate Hain aapko chahie ki aap bhi Inverter AC khareed kar apni life ko normal banaen
      • #4 Collapse

        Re: Inverter Ac

        Asalmoalikum jaisa k hmara moozo “INVERTER AC “ ham sab e janty hain k yae electronic cheez hai Jis k kafi fawaid hain phyly ham is k khasosiat byan karty hain. Inverter ac jaisa k lafaz AC sy maloom hota hai k yae yakenan garmio mai use hota hy is ka asal kam hota hy tempreature ko sae rakhna agr ham invereter Ac ka istemal k bijar normal ac istemal karty hain to bijli ka kafi kharach hota hy inverete ac mai yae khobi hy k yae kamry wagera ko thanda b rakhta hy or kam bijli istemal karta hy or is ki waja sy logo k 30 sy 40 precnt bill mai kami aye hy jo k aik achi cheez hy is k istemal sy logo k faidy k sath sath mulk ko b faida ho rha hy laken kuch etyati cheezain b hain agr ap kamry mai or apny isy room temperature py set kea hoa hy agr ap darwaza band e rakhty hain to yae bhot acha kam kary ga laken ap bar bar darwazy ko kholty hain to is k compressor k chalny sy apki light ki unit b chalyn gi jis sy ap k bill mai izafa hota reh ga is ley zarori hy k darwazy ko kam khula jae ta k uae sae kam kry or na sirf yae garmio mai faida mand hy yae sardio mai b kafi madad karta hai keu k yae heat b provide karta hai jo k is ki aik achi khasiat hai Ham sab ko malom hai har cheez k fawaid k sath nuksan b hain aik to yae amm logo ki punch sy door hai is ki keemat ki waja sy or agr yae kharab ho jae to is py kafi lagat aa sakti hy laken cheez ka kharab hona bandy k khud py b hy agr ap isko etyat sy istemal ni karin gy to yae yakenan kharab ho ga or mari ap sab sy guzarish hy zainfagi mai apko moka mily to ap zaror inverter ac e kharedain.
        • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
        • #5 Collapse

          اب آن لائن

          Working...
          X