AssalamoAlaikum guys kaise haihai ap sab ummeed krta hu k aap sab khairiyat se honge to guys aaj ka jo hamara topic hai wo bhut hi acha topic hai jo k computwr ke keyboard aur mouse aur in k learning aur in pe apni grip strong krne k baare mai hai to guys aap is thread ko poora aur ache se read krna aur agr acha lage to like bhi kr dena ab aate hai hamaare topic pe to hamara topic hai k jo computer ka mouse aur keyboard hota hai un pe hum apni grip kis trah se achi kr sakte hai to guys pehle mai aap ko mouse k baare mai btata hu to guys kuch log aise hote hai k jin ko mouse aur k board chalana aata e nhi hota to agr aap logo ko mouse pe apni grip achi krni hai to aap aisa kiia kre k computer mai mojood painting wale software pr ziada se ziada kaam kre yaani k kuch painting ya phr koi tasveer banana agr mouse pe grip aap ne achi krni hai to aap painting wale software pe ziada focus kre aur aap dekhe ge k inshallah aap ki mouse pe grip kuch hi dino mai bhut achi ho jae gi...... To guys next aate hai keyboard pr yaani k hum keyboard pr apni grip kaise theek kr sakte hai? To guys agr hume keyboard pr bhi apni achi skill create krni hai to hum computer pr typing master wale software ki madad se hum apni keyboard ki bhi grip ko kaafi ache se maintain kr sakte hai typing master ek aisa software hota hai jo k computer mai hamari keyboard ki typing ko aur keyboard se mutallik computer mai jo saara kaam hota hai un sab ko bhut ache se maintain krne k liye use hota hai to guys jb aap computer k saare parts khaas tor pr mouse aur keyboard k saare kaamo k baare mai jaante honge to aap k liye aage kisi computer ki job mai bhut easy feel hoga to guys issi liye hume computer ki Mouse ur keyboard ki saari grip aur skills ko ache se seekh lena chahiye. To guys agr aap ko mera ye thread acha laga to is ko like zaruur kr dena abhi k liye itna hi next thread tak k liye ALLAH HAFIZ..........
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим