Assalam Walaikum Dear Friends! Yeh review fridge par mubni hai,Aaj mein aap sab ke sath fridge ke mutaliq apni knowledge or experience share karunga.Dunya ka pehla Artificial Refrigeration system ek scottish scientish William Cullen ne san 1740s mein banaya tha,us waqt regfrigerator ka istemaal barf ko jamaye rakhney ke liye hota tha.phr James harison nami ek scientist ne 1857 mein ek aisa refrigerator banaya jis mein khaney ki ashya ko taza rakhney or kharab honey se bachaney ke liye store kiya jata tha, Jacob perkins ko father of Refrigerator kaha jata hai.Or aaj ke dor mein fridge har shobey se taluq rakhney waley afrad chahey woh gareeb hon ya ameer kisi bhi claas se hon har ghar mein istimaal hota hai.Aam tor par fridge ko khaney ki ashya or pani ko thanda or taza rakhney ke liye istimal kiya jata hai, umooman har fridge mein ek freezer zaroor paya jata hai jo boht hi low temperature par lambey arsey ke liye khaney ki ashya ko taza or mehfooz rakhta hai.Akser ghar mein ice cream bananey ke liye bhi freezer ko use kiya jata hai.Or aaj ke dor mein fridge hamari zindagi ka itna ahem hissa ban chuka hai ki garmiyon mein thandey pani ke bina garmi ki shiddat or zyada mehsoos honey lagti hai or thanda paani jab halaq se utarta hai toh dimagh ko taaza or pursukoon bana deta hai.
Advantages Of Refrigerator:
1. Refrigerator ka cooling temperature hamein yeh sahoolat muhayiya karta hai ki ham apney khaney ki ashya ko lambey arsey tak is mein mehfooz rakh saken. Fresh food jese meat,eggs,dairy products or green vegetables wagera ham refrigerator mein taza or mehfooz rakh saktey hen is se pehley ki woh kharab hojayen.
2. Refrigerators ke naye models jo ke boht munasib qeemat par faroht kiye jasaktey hen ghar ki khoobsurti ko bhi chaar chand laga detey hen.
3. Refrigeration ke amal se khaney ki ashya mein bacterias peda nahi hotey or khas tor par meat or vegetables kharab honey se mehfooz hojati hen lambey arsey ke liye.
Disadvantages of Refigerator:
1. Refrigerator ki sab se badi haami yeh hai ki issey chalaney ke liye hamey boht badi qeemat bijli ke bill ke tor par hamein har maah ada karni padti hai.
2. Refrigerator ka cold water peeney se headache ho sakta hai or aksar okaat yeh blood pressure ko bhi buri tarah mutasir karta hai.
3. Refrigerator ko har 3 se 4 maah mein repair karwana padta hai or iski maintainance cost bhi dosrey electric appliances ke muqabley zyada hoti hai.

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим