Assalam o alaikum dear members and traders. Umeed hai aap sub bohat achay hongay. Maira yeh review Akai company kay mini blender per mubni hai. Akai aik bohat achi japanese compnay hai jo electric ki bohat achi products banati hai. Akai ki khaas baat yeh hai kay iss compnay ki tamaam machines electric driven Matlab bijli say chalnay waali laikin digital he hoti hain. Akai ka mini juicer blender bhi issi ki aik example hai. Mini blender ka size sirf 700 mili liter hota hai jisay 3 paaoo bhi keh saktay hain issi liye iss ka name he company nay mini blender juicer rakha hai. Akai company ki products quality wise bohat achi aur qc cleared hoti hain.
Advantages
Akai company ka mini blender traveling kay liye best hai. Iss kay saath saath jo apni jobs kay silsalay mai dusray cities ya countries mai rehtay hain aur apni family say dur hotay hain unn kay liye yeh aik best machine hai jiss say aik ya do persons kay liye juices, shakes ya Lassi waghaira bohat asaani say Banai jaa sakti hai. Akai mini juicer blender ka aik aur bohat acha use ladies kitchen mai ker sakti hain. Khanay kay saath chatni ya raita bananay kay liye isay khareeda jaa sakta hai aur ghar kay dusray juicer ko aisay kaamo mai use kernay ki bajaey isay independently use kia jaa sakta hai. Iss ka aik aur advantage iss kay jug mai mojud blades ki sharpness hai jo kay kisi bhi cheez ko easily aur jaldi blend ker daita hai.
Disadvantages
Akai mini juicer blender kay disadvantages mai main disadvantage iss ki electric cable ka bohat short hona hai. Jiss ki wajah say isay use kernay kay liye electric board kay qareeb rakhna zaruri hota hai ya phir uss kay liye extension board laazmi required hota hai. Size small honay ki wajah say kuch ziada bananay kay liye baar baar use kerna parta hai. Jug ka size small honay ki wajah say jug toot janay ya kharaab honay ki soorat mai jug milna bhi mushkil ho sakta hai

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим