Hello doston Assalamu Alaikum jaise ki aap sab log Jante Hain ke aaj kal market mai OTC medicine bohot zyada bhik rahi hai. OTC means over the counter medicines. Over the counter medicines wo hoti hy jis ke liye doctor ki prescription ki koi zaroorat nahi hoti. Matlab agar aap ko koi bukhar hay ya nazla zukam hai ya koi sar dard tu aap bagher kisi se pooche kisi medicine shop pe jaa kar apne liye medicine khareed sakte hain. To aaj may aisi hi aik medicine ke baare may batane jaa raha hoon jis ka naam sun kar takreeban sub log jaante honge aor wo hai Brufen. Brufen ka main jo formula hay wo IBuprofen jo derived howa hy word propionic acid se. Propionic khud bhi 3 words se nikla hai jesa ke isobutyl (ibu) propionic acid (pro) phenyl (fen). Aor ye formula takreeban 1950 aor 1960 ke darmayan wajood may aya tha. Aor ye molecules daryaft kiye the Stewart adam aor os ke team ne. Brufen aik non- steroidal drug hai jo pain, feve aor inflammation ke liye use hota hai. Ye to hogai Brufen ki history. Ab aate hain Brufen ki availability ki taraf. To bhaiyon Brufen liquid form may bhi aati hain aor tablet form may bhi. Tablet form may ye 3 tarah ki shakal may market may maojood hai jesa ke 200 mg aor 400 mg aor 600 mg aor liquid form may ye phir do kisam ki shakal may aati hai Brufen plain aor Brufen DS. Amooman tablet jo hoti hain wo baron ke liye hoti hai aor liquid form may jo hoti hai wo bachon ke liye hoti hai. Ab baat karte hain dobara tablet ki to bhaiyon 200 mg ki jo tablet hoti hai wo aam tor per un ke liye hoti hay jin ko itna zyada masla na ho matlab dard ki shiddat kam ho ya umar ke lihaz se ye aam tor per un bachon ko di jaati hay jin ki umar 15 saal ho ya is se tori si zyada ho. Aor 400 mg ki jo tablet hai wo tore se zyada umar wale patient ko di jaati hai masalan jin ki umar 21 se lekar 50 saal ho. Pakistani market may Brufen 400 mg sub se zyada bhikti hai. Is ki waja ye hai ke 400 mg tablet amooman nojawan aor bureh saare log use kar sakte hain. Aor jo 600 mg ki form may hoti hai wo un marizoon ko di jaati hai jin may dard ki shiddat kaafi zyada hoti hai. Ye to hogai tablet ki baat ab aate hain Brufen liquid ki taraf accha to may ne bata diya tha ke Brufen liquid may bhi 2 qisam ki milti hy market may aik ka naam may ne Brufen plain ka bataya tha aor doosre ka naam may ne Brufen DS ka bataya tha. Aacha to jis tarah se tablet may umar ke lihaz se dose liya jaata hay isi tarah Brufen liquid bhi umar ke lihaz se mareez ko diya jaata hai. Brufen plain jo hota hai wo amooman chote bachon ko diya jata hai jin ki umar takreeban 5 se 6 saal tak hon. Aor Brufen Ds un ko diya jata hy jin ki umar 6 se zyada ho. Ye amooman us waqat diya jaata hy jab kisi ko chut lage aor wo jaga dard shoroo kare ya badan me wese koi dard mehsoos ho raha ho. Ab aate hain Brufen ki dosage ki taraf. Jesa ke aap sub log jante honge tamam medicines zyada tar chemicals se bane hote hain aor aksar medicine hum doctors ke mutabik use karte hain Q k doctors ko sahi dosage ka pata hota hay Q k agar hum apni taraf se medicine use karte hain to us me khatra hota hay hamari jaan ka. Aise hi Brufen ke baare may bhi hy agar is medicine ko aik pemane ke tehet li jaye to ye theek hai aor na ap ko koi masla darpesh hoga warna agar aapne dosage zyada li masala paida kar sakta hai. Aam tor per 400mg ki tablet din me 2 baar use ki jaati hai matlab subha sham khane ke baad. Over dose se aapko koi bhi masla ho sakta hai.
Ab aate hain Brufen ki advantages aor disadvantages ki taraf
Advantages:
Brufen ki aik baat ye hai ke ye medicine aapko over the counter mil jaati hai. Yane aap kisi bhi medicine shop se basani le sakte hain.
Brufen poori tor per aaram dilati hai aor aik khas baat ye hy ke is me koi steroid bhi nahi hai aksar me medicine me steroids hoti hai jo os waqt to kaam kar jaati hai laikin baad may se masala shoroo hone lagta hai.
Dosra bara paida ye hai ke aoraten jin ko pain hota hy periods ke doran un ke liye bhi safe hy hy.
Arthritis may bhi Brufen theek thaak se kaam karta hai aor migraine may bhi kaam karta hai.
High temperature ko control karta hai.
Ye baaqi NSAIDs ke muqble may zyada effective hay.
Aor baqi tamam medicine ke muqable may saste bhi hai.
Ab aate hain Disadvantages ki taraf
Disadvantages:
Jese je aap sub ko pata hy medicine ke advantages zyada hotw hain laikin in ke side effects ko bhi ignore nahi karna chahiye.
Common aide effects may hai ke agar aap over dose kar jain to is se stomach upset ho jata hay.
Aapko heartburn bhi hota hai aor vomiting bhilaikin in side effects se bache ke liye aapne Brufen ke sath stomach ki koi tablet lay sakte hain.

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим