Jesa ke aap sab log jante hai ke aaj kal logo ko bohot se masail pesh aa rahe hain baalon ke bare may. Har dosra banda batata rehta hai ke yaar mere baal jar rahe hain iske liye kya karain. Wese jin jin ke baal mazboot hain un ke agar baal jar bhi jaye laikin ye doobara wapis aate hain. Doctors ke mutabiq agar aam routin me 100 ya 100 ke qareeb baal jar bhi jaye to koi masala nahi hai ye gire howe baal wapis aate hain. Laikin agar zyada baal jarne shoru ho gaye to ye tension wali baat hai. Aam tor per monsoon may mera matlab hai saal may kuch din aise bhi aate hain jis ko monsoon kehte hain un dino sab se zyada baal jarte hain. Bohot se doctors ke mutabik jin ko baal girne ki bimari na ho to ye baal wapis aajate hain laikin jin ko bimari hai wo baal kabi bhi wapis nahi aate aor wo mukammal tor per cahle jaate hain. Ab aate hain topic ke tarap jesa ke me ne bata diya ke mera ye review Minoxidil ke baare may hai. To dosto may aap ko bata chaloon jo bande baaloon ke bare may pareshan hai aor elaj karwa rahe hain mere khyal mai un ko pata hoga ke minoxidil kese kehte hain. Aor log nahi jante to un ko me batata chaloon ke ye aik Medicine hy joky spray ke form may aata hai. Wese to yahan per bohot sari compniya minoxidil bana rahi hain jin me chand ke naam ye hain Minoxidil plus jis ko SANTE(pvt) limited tayyar kar rahi hai. Dosre ka naam hai MINOXIN Plus joky Brooks pharmaceutical company tayyar kar rahi hy aor tisry ka naam hai Regrow jis ko Derma Techno pakistan tayyar kar rahi hai.. Wese to ye medicin high blood pressure ke liye design howi thi laikin doctors ne pe research kia tho pata chala ke ye na sirf high n
Blood pressure ko control karta hai balke ye baloon ke liye bhi aik moasar medicine hai. Aorbiska formula hai C9H15N5O. Yahan per pkaistan may ye teeno sub se top per hai. Jin me se Minoxidil plus jis ko sante (PVT) wale baana rahe hain sub se zyada use hota hai. May personally Minoxidil use kar raha hoon Q k mujhe bhi baal jarne ki bimari hai. Minoxidil may kisam ki aati hai aik 5 % hota hai aor dosra 2% hota hai. Normally Doctors Minoxidil 5% mardoo ko tajweez karte hain aor 2% aoratoo ko tajweez karte hain. Iski waja ye hai ke 2% minoxidil tora sa foamy aor water base hota hai aor ye itna concentrated nahi hota aor iske mukable may 5% tora sa concentrated hota hai jo specially design hota hay mardoo ke liye Q k mardoon may zyada baal jarne ki bimari hoti hai. Ye aik bohot hi kamal ki medicine hai jisko lagane se waqai me baal jarna band hojate hain. Aor iske istimaal karne ka tareeka bhi may aap sub ko batata chaloon ke aap me se agar kisi ko baal jarne ki bimari hai to aapne isko istimal karne se pehle apne baaloon ko sahi tarah se dona hai taake saari gandagi utar jaye ao phir aapne apne baloon ko sukhana hai. Pir us ke baad aapne apne baaloon may minoxidil ko spray karna hai aor tora sa massage karna hai takreeban aik minute tak aor isi tarah aapne is ko din me airf 2 baar use karna hai laikin ye Medicine apna asar dikhne me tareeban 2 maheene leta hai. Dosri kamal ki baat ye hai ke na sief ye medicine baaloon ko jarne se rokta hai balke jin ke baal jaldi lambe nahi hote is ko use karne se unke baal jaldi jaldi lambe hojate hain. Ab aate hain iske advantages aor disadvantages ki taraf.
Advantages:
Sab se bara faida isko ko lagane ka ye hai ke agar aap ke baal jar bhi gaye hon to ye un baaloon ko dobara se grow karta hai.
Aor dosri bari baat ye hai ke ye over the counter medicine hai yani doctor ki koi prescription ki zaroorat nahi hoti ar na apko doctor ke paas jana parta hai ye aapko asani se kisi bhi medicine ki shop se mil jaati he.
Disadvantages:
Wese tho is medicine ki koi itni bari khami nahi hai laikin ye baat zaroor hai ke Minoxidil tori si mehengi hai matlab milti zaroor hai laikin paise zyada lagte hai.
Aor doosri waja ye hai ke is ko lagane se sar me tori se khushki aati hai jis ki waja se irritation hota hai laikin wo bhi person to person vairy karta hai.

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим