Assalam O Alikim dosto, umeed hy sab kheriyat sy hongy. Aaj mera ye review steroids medicines k baary main hy. Zyada tar log jaanty B nahi hongy k steroids hy kya cheez aur zyada logo ko pata b hy k ye kis qism ka medicine hota hy aur konsi bemari k liye use hota hy to aaj main aap logo ko batany jaa raha hoon steroids medicines k baary main jo buhat zaroori hy bandy ko is baary main jaan'na Q k hamain pata nahi chalta lekin hum ya hamary gar main aksar koi bemar ho jata hy to usky medicines main zaroor koi na koi steroids mujood hota hy, ab is k faidy kya hy aur is k nuqsanat kya hain, isky uses kya hain, aur is k zyada istimal sy hamary jism k saath kya hota hy aur mustaqbil main iska result kya ho sakta hy. Aam tour par steroids k 3 aqsam haun, jis main sab sy zyada istimal corticosteroids ka hy. Aur zyada tar young generation iska istimal body duilding main karty hain jab vo gym jaaty hain to gym k sath mukhtalif Qism k steroids use krty hain jis ka un logo ko pata nahi hota k ye asal main steroids hain aur iska long term main zyada nuqsanat ho sakty hain.
Istimal:
Steroids aam tour par inflamation, allergy, asthma, arthritis main use hota hy isky ilawa aur B diseases main use hota hy jis k liye hamary jism main natural defence na ho to aisi bemariyon k liye hum aksar steroids use karty hain.
Faidy:
Ab steroids k faidy k kya hain vo darjzail hain
1) iska sab sy barra function ye hy k ye dard ko kam karta hy aur bady fuction ko barata hy against the disease.
2) ye joints inflamation ko kam karta hy, aur isky functions ko barata hy.
3) iska sab sy barra faida ye hy k ye kisi B reactions main use ho sakta hy.
Nuqsanat:
1)Iska sab sy barra aur main nuqsan ye hy k ye hamary natural defensive system ko kamzor kar deta hy.
2) Iska doosra nuqsan ye ho sakta hy k is k zyada istimal sy jism main obesity peda hoti hy.

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим