Assalam o alaikum dear members and traders. Umeed hai aap sub bohat achay hongay. Maira yeh review cars kay qaabli ya second hand tyres per mabni hai. Pakistan mai cars rakhnay waley iss baat say achi Tarah waaqif hotay hain kay qaabli tyres kaha say miltay hain aur kitnay kay miltay hain. Laikin unhain yehi bataya Jata hai kay yeh tyres bohat achay hotay hain haalakay aisa nahi hota hai. Qaabli tyres ko use kay qaabli banaya Jata hai aur unn pay polish ker kay unhain new jaisa ker lia Jata hai. Qaabli tyres mai paisay bacha kay apni qeemati jaanoo aur Gari ka nuqsaan nahi kerna chaiye
Advantages :-
Qaabli tyres new tyres say sastay hotay hain. Qaabli tyres her size mai mill jatey hain. Qaabli tyres her company aur country kay mill saktay hain. Qaabli tyres after use resale bhi ho jatey hain. Qaabli tyres ki life 1 say 2 saal ho sakti hai laikin yeh gaari kay usage aur milage per munhasir hota hai.
Disadvantages :-
Qaabli tyres asal mai used tyres ki linings ko dobara say manually engrave ker kay Bana kay sale kiye jatey hain. Inn ki life aik saal takk tou ho sakti hain laikin uss say pehlay bhi kisi bhi waqt chaltay chaltay phatt saktay hain aur gaari aur uss mai baithay loogo ki life risk mai ho sakti hai. Qaabli tyres ko 2 say 3 baar reconditioned kia jaa chuka hota hai jiss ki wajah say rubber taqreebun khatam ho chuka hota hai. Qaabli tyres apni gaari mai lagwanay say pehlay 1000 baar socha chaiye kay paisay qeemati hain ya aap aur aap kay ghar waalo ki zindagi ziada qeemati hai

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим