Ye review Honda CG 125 par mubni hai.

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Ye review Honda CG 125 par mubni hai.
    Dear ap ko ye pata hai k hum agar apny ghar mai bike lety hai to aus time hum ko ye pata hona chaye k kon si bike achi hai jo hum ley agar hum ais mai power k lehaz se dekhy to sab se best Honda ka CG 125 hai kun k baqi jo CD70 ho gia ya china k bikes hai wo atny zayda power full nai hai ap ko ais mai sab se achi baat ye milti hai k ais ki shape bahot hi achi hai. Ais mai fuel capicity 9.2L hai ais mai ap ko 4 grear system milta hai aor ais mai ais ka weight 99 Kg hai ais ki price aj kal 123,500 rupee hai.

    Faidy (Advantage)

    1. Ais ka sound bahot hi fantastic hota hai.
    2. Ais bike ki road grip bahot hi zayda achi hai ap ko road par drive karty hoye maza ata hai.
    3. Ye aik power full engine k sath aata hai ais mai ap jitna chaye load dal sakty hain.
    4. High speed bike hony ki waja se ais ka frame bahot hi mazboot hota hai.
    5. Ye Black and Red color mai mil jata hai ap ko.

    Nuqsan (Disadvantage)

    1. Ye fuel bahot hi zayda khurch karta hai jis ki waja se ap ko mehnga safar karna parta hai.
    2. Ais ki price baqi bikes k hawaly se kafi zayda hai.
    3. Baqi bike ki nisbat ais ki awaz bahot hi zayda hoti hai.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Ye review Honda CG 125 par mubni hai.

    Ji han dear brother aapane bahut hi Achcha review share Kiya Hai motorbike ke bare mein Dekhen vaise to Pakistan mein bahut jyada bikes use Kiye Ja Rahe Hain bahut jyada China ke bikes chal rahe hain Pakistan mein lekin inmein se sabse Achcha jo hai vah Honda ka hai aapko pata hi hai ki Honda ki company Kitni acchi apni product banati hai bahut hi acchi Hoti Hai jaise ki aap dekhne ke uski gadiyan Kitni acchi hoti hain train mein thodi mahangi hoti hai lekin Inki road grip bahut hi acchi Hoti Hai ISI Tarah yah Jo Honda 125 hai Iski bhi road grip bahut hi acchi hai Ganesh Baat Baki bike ke liye Thoda mahanga Hai Lekin is yah bahut hi comfortable Hai Isko chalane mein bahut hi Maja Aata Hai Lambe Safar ke liye yah bike bahut hi best hai agar aapane Kisi bhi Pahadi lakar Mein Safar karna hai to uske liye bhi yah bike best hai.
    • #3 Collapse

      Re: Ye review Honda CG 125 par mubni hai.

      dear brother ji aapane bahut hi Achcha review pesh kiya hai agar Ham Koi powerful bike Kiya motorcycle Lena Chahte Hain To uske liye hamare pass Honda ka 125 bahut hi best Hai Kyunki ismein aap Agar Dekhen to aapke pass budget jyada ho aur aap power cal motorcycle Lena Chahte Hain To yah uska Tere per pura Hota aata hai Kyunki ismein aapko bahut hi jyada powerful motor cycle milati Hai Iski speed bhi Kafi Jyada hoti hai aur Iske spare part Kadar aap dekhte hain to aapko aasani Se Mil Jaate Hain Magar yah thoda sa costly hota hai Kyunki ismein jo bhi chij use ho rahi Hoti Hai vah Kafi Jyada majbut Hoti Hai Kyunki Jab yah high speed per road per chal raha ho to use time agar ismein koi Aisi chij use ki Gai Ho Jo Itni Jyada majbut Na Ho To vah hadse Ka by Ban sakti hai isliye ismein Jo material use Kiya Jata Hai vah Kafi Jyada high quality ka use Hota Hai.
      • #4 Collapse

        Re: Ye review Honda CG 125 par mubni hai.

        Dear friend aapane bahut hi acche aur powerful bike ko review Mein pesh Kiya Hai Honda CG 125 Jo ke Pakistan mein bahut Zyada use hota hai aur bahut hi Zyada powerful bike hai aur high rating bike hai yi Bahut Achi Ho Khubsurat bike hai yah sakht say sakht ilaqoo Mein bahut Zyada chalne wali bike hai aur Zyada load Utha saktia hai hi speed hai Kuchh baten ismein aisi hai jinki wajah se bahut Sare log ismein Chhote engine wala CD 70 Pasand Karte Hain uska fuel consumption bahut Zyada hai aur iska Shor bahut Zyada hai aur specially Iske sound ki wajah se bahut Sare log esay log Pasand Nahin karte lekin power speed Road grip ki wajah se behtarin bike hai aur iska istemal cities main Bhi aur Dehati ilaqoo main bhi bahut Zyada ho raha hai. Is bike ko aap aap Zyada long root per bahut acche tarike se use kar sakte hain ismein yah capability hai ki yah long root per istemal Ho Hills area mein Uske powerful engine ki wajah se chalne Mein masly Nahin Hote wahan par bhi yah bahut Zyada kaamyab hai
        • #5 Collapse

          Re: Ye review Honda CG 125 par mubni hai.

          CG 125 Honda company ka aik bohat acha varient hai jiss ki Pakistan mai bohat value hai. CG 125 Pakistan mai terrain kay hisaab say bohat maqbool sawaari hai. CG 125 aik aisa bike hai jiss ka engine apni powerful capacity ki wajah say bohat famous hai. CG 125 aik aisa bike hai jisay loog family bike kay tore pay use nahi kertay hain kiyu kay iss ka sound bohat ziada honay ki wajah say munasib nahi samjha Jata hai. CG 125 aik aisa bike hai jiss kay parts bhi kuch mehangay honay ki wajah say maintenance bhi mehangi hoti hai aur issi tarah iss bike ki service ki cost bhi ziada hoti hain.

          CG 125 Honda kay famous colours mai red aur black hai laikin ab iss mai burgandi color he bohat famous ho chuka hai. CG 125 young generation ka favorite bike hai jiss ki wajah iss ka powerful engine aur sound ko samjha Jata hai. CG 125 Honda bike ki price bohat ziada honay ki wajah say iss ki resale value bhi bohat Kamm hai aur resale mai iss ki price bohat Kamm milti hai
          • #6 Collapse

            Re: Ye review Honda CG 125 par mubni hai.

            Assalamu Alaikum dear friends kaise hain aap ummid Hai Sab acche Honge Aaj aapane bahut hi Achcha topic Diya Hai cg 125cc bike jo k bohat hi maqbool tareen bike Hai Pakistan mein agar aap andaza Lagaya to Shuru se leker matlab Japani veriant Se chalta a raha hai aur bahut hi Mazboot bike Hai specially Apne sound ki vajah se bohat pasand kiya jata hy Jaisa ki aapko pata hai abhi market Mein Honda 150 Bhi Aaya Hai Uske alava Yamaha YBR Bhi Aaya Hai unko logo ny zyada Pasand Nahin Kiya Kyunki iska sound Nahin Hai or CG 125 sound bahut different hai dusra is may euro 2 technology Hai To bahut hi Kamal Ki Technology hai aur is bike se zyada Pakistan mein koi bhi use Nahin Hui ye Har Jagah Chala Jata Hai Hill areas mein dekhney ko bohat milega apko. Zyata tar log isko visit karne ke liye use karty hain. Ye bahut aala kisam ki bike hy agar aap is bike ko dusre bike se compare karen to iski Pakistan mein iski sale value bahut zyada hai bahut hi zyada units sale hoty hain har maheeny. bahut hi alag kism ki bike Hai. Or Pakistan mein log bahut zyada Pasand Karte Hain. Thanks
            • #7 Collapse

              Re: Ye review Honda CG 125 par mubni hai.

              Honda CG 125 jo key 4 stock powerful engine ki quality key sath banaya gia hay ye Japan ka sab se zeyada most import hony wala motorcycles hay, es ki production japan me 1976 se 2008 tak kmaybi key sath hoti rahi magar Pakistan me es ki production ka aghas 1992 se howa, other countries be Honda 125 ki production karti hey jes me (Brazil, Turki) shamil hey, es key engine ki bat ki jaye to ye single cylinder (124cc) ka hota hay jo key Honda 70 key engine se bahot hi zeyada popular hay, fuel average be es ki bahot achi hay aur mery khayal me Pakistan me es ki demand es key powerful engine ki waja se bahot zeyada hay.
              • #8 Collapse

                Re: Ye review Honda CG 125 par mubni hai.

                Asslam.o.laikum
                dosto aaj main aapko motorcycl Honda CG 125 ke bare mein batane wala hun jo main ne khud use Kiya hai motorcycle CG 125 aam taur par istimal kiya jata hai yeah ik bahot hi khobsurat motorcycle hai Ham is m oper agar 100 sey 200 km safr karty hai to Ham ko ziada thakn mahsos nahi hoti hai is k wight ziada honey ki wajah sey yeah bike tik Kar chalti hai or jump Kam lagty hai
                Is k Koch faide or nuqsanat ka mawazna karty hain
                Faide (Advantage):

                1. Ye motorcycle 120kmh ki speed se chalta hy.
                2. Agar aapko thora sa Safar per jana hai ya lamby sfr par to ap cd125 motorcycle per ja sakte hain.
                3.ye motorcycle khoobsurat shape main dastiyab hy.
                4. Aur is ka Engine 4-Stroke Single Cylinder Air Cool hy.

                Nuqsanat (Disadvantage):

                1. Yeah motorcycle petrol bahut ziyada kharch karta hai.
                2. Is ki speed ziada hoti hai is lia accedent ka ziada khatara hota hai
                3. Ye motorcycle saluff start ni hota hy.
                4. Is ka weight bhe ziada hota hai taqriban 99 kg tak hota hai
                5. Mere khiyal sey Honda cc70 k mokbly main is ma kharacha double hai petrol bhe os sey double khata hai .
                • #9 Collapse

                  Re: Ye review Honda CG 125 par mubni hai.

                  Honda CG 125
                  Advantages
                  dear Honda CG 125 bahut hi Achcha motorcycle hai aur aap ismein bahut hi acchi Sawari kar sakte hain agar aap is ko dusre 125 ke sath comparison Karenge to aapko Honda CG 125 beta Najar aaega Kyunki Honda CG 125 Mein sound quality bahut acchi hai aur uski Road group bahut acchi hai aur Agar Speed ke liye Aaj Se Dekha Jaaye to Honda CG 125 bahut badhiya hai aur bahut hi acchi speed mein chalta hai
                  Honda CG 125 ki log bhi bahut acchi hai aur Dekhne Mein bahut Najar Achcha lag raha hai
                  Disadvantages:
                  Honda CG 125 dusre 125 motorcycles ke mukabale Mein Thoda mahanga aapko Milta Hai hi aur iski price jyada hai
                  Honda CG 125 ki fuel cost bzr hai aur aapka fuel bahut jyada lagta hai
                  Yah motorcycle thoda Heavy hai aur weight ke lihaj se bhi thoda Heavy hai isliye sambhalna Mushkil Hota Hai
                  • #10 Collapse

                    Re: Ye review Honda CG 125 par mubni hai.

                    Advantages

                    Ji han bilkul aapane bilkul theek Kaha Honda 125 Ek bahut hi Achcha motorcycle hai aur iski speed bhi bahut jyada hai agar aap Kisi Aur se Jana Chahte Hain To uske liye hai Kyunki is per aap Ja sakte hain aur yah Ek heavy motorcycle hai aur bahut jyada log isko Pasand kar rahe hain aur Market mein bhi iski rate value bhi bahut acchi Hai Isko aap easy buy or sell kar sakte hain

                    Disadvantages

                    Lekin iska Ek Bada masla yah hai ki iski awaaz bahut jyada hai Kyunki Jab chalta hai to bahut jyada Awaz Karta Hai Tu Jo Keh De Kisi log ko Pasand Bhi Nahin Hoti aur Iske alava Iske fuel bahut jyada hai jaise ki agar aap koi bhi 70 cc to isliye log kaise Pasand Nahin karte Kyunki yah fuel Jyada use karta hai
                    • #11 Collapse

                      Re: Ye review Honda CG 125 par mubni hai.

                      Assalamu Alaikum Dosto umeed Karta Hun ki aap log khairiyat se Honge.
                      Dost Pakistan mein zyadater use bikes ka Kiya jata hai aur 125 cg bike Honda ki bahut hi Jabardast hoti hai. Yah bahut hi comfortable yani aapko bahut araam pohanchati. Yah thoda mahanga hota hai lekin aapko is per Safar karke bahut hi Maja aata hai Kyunki yah aapko Jyada Jump Nahin Lagate Hai Iski sound bahut hi Khubsurat hoti hai. Yah best speed ke sath chalta hai agar aap isko care ke sath chalna hai to Aapka Kabhi Bhi Is per accident Nahin hoga Amir log Gadi Ki nisbat Honda CG 125 ka istmaal Jyada Karte Hain.THANKX
                      • #12 Collapse

                        Re: Ye review Honda CG 125 par mubni hai.

                        Hi friends umeed hay kay ap sab thak hon gay or ya review honda CG125 py mubni hay ya boot acha moter cycle hay or is key boot zaida dameand hay is kay advantages bi hain or dis advantages bi
                        Advantages
                        Dear honda CG125 key bot zaida speed hay ya road per apni masal ap hay
                        Iska sound boot stock mar ta hay jo kay dosary moter cycle atna stook ni day sakty hain
                        HondaCG125 key shape bot parey hay
                        Disadvantages
                        Honda CG 125 petrol zaida istmal kar ta hay jo am admi poora ni kar sakta hay
                        Honda CG125 jab new ata hay to is ko bad main farkot kia jay to ya boot kam rate main bakta hay
                        • #13 Collapse

                          Re: Ye review Honda CG 125 par mubni hai.

                          ye review Honda CG 125 per mubani hai honda motor cycle jo hai ye Honda company ki trf cy banaya ja raha hai pakistan mn ye bra fame howa hai

                          Launch in Pakistan
                          pakistan mn ye 1992 mn launch kia gia tha
                          ye japan ki company hai

                          ENGINE
                          eska engine jo hai w0 124 cc(7.6 cu in) hai
                          ye air cooled, 4 stroke ,OHV single hai

                          TOP SPEED
                          es ki speed bhot hai ye 65mph (105 km/h ) ki speed cy door skta hai

                          SUSPENSION

                          eski suspension jo hai wo Telescopic fork hai

                          BRAKES

                          es mn drum hoty hain aure eski brake disk hoti hai
                          Drum front and rear

                          TIRES

                          Front 2.75-18, rear
                          90/90-18 early production CG 125s

                          FUEL CONSUMPTION

                          ye 1 litter mn 30 cy 35 km krta hai

                          MODELS in PAKISTAN

                          pakistan mn es k diffrent models aiy hain sb cy phely cd 70 i phir ye 125 aya
                          CG125 ko Atlas Honda bi kehty hain
                          CG 125 Fan and CG 125 cargo etc.
                          • #14 Collapse

                            Re: Ye review Honda CG 125 par mubni hai.

                            Yes dear aapane bahut hi important information Honda 125 bike ke Hawale se apne review Mein Hamare Sath share Ki Hai no doubt ya ek hi speed bike Hota Hai jismein Humko bahut jyada advantages Hasil ho sakte hain lekin is bike ko purchase karne se pahle Humko Iske bare mein different information Hasil kar leni chahie aur aur isko carefully istemal karna chahie Kyunki uski high speed hone ki vajah Se Hamare liye yah bahut jyada dangerous bhi ho sakta hai.

                            Honda 125 bike ki bahut hi perfect Road group Hoti Hai Jab aap isko Teiz speed mein chalate hain to ismein aapko bahut jyada safety hoti hai aur aap apna travelling time minimum kar sakte hain iske sath agar aap is per Ek Se Jyada member baithkar Ja Rahe Hain post ko Itni Jyada difference Nahin Hota aur iski speed per Koi Fark Nahin a Sakta.

                            Jab aap Honda 125 bike per change karna chahte hain to Iske Hawale se aapko bahut Sare outlets aapke cities Mein mil sakte hain Jahan per aap easily isko purchase kar sakte hain agar aap second hand Honda 125 bike purchase karna chahte hain to ismein aapko OLX ke sath sath different platforms mil sakte hain jismein aapko Ek acchi condition Mein bike mil sakti hai lekin main aapko is baat ki repetition karna chahta hun main Jab Bhi aap Honda 125 bike ko chala rahe hain to ismein bahut jyada careful Hona chahie Kyunki high speed bike hone ki vajah se is per accident hone ke bahut jyada chances ho sakte hain aur aap ki life dangerous ho sakti hai
                            • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                            • #15 Collapse

                              Re: Ye review Honda CG 125 par mubni hai.

                              Dosto aap ko pata Hona chahie aajkal Hamari sabse Jyada jarurat ki chij motorcycle hai Jis per ham aasani ke sath Sawar hokar Apne chote mote Safar Karte Hain aur apne chote mote Saman vagaira bhi use per load Karte Hain isiliye Hamen CG 125 Honda car intekhab karna chahie Kyunki Ek paidawar majbut Aur Jabardast motorcycle hai Is per Ham Jitna Bada Safar Ho aasani ke sath kar sakte hain motorcycle Koi Bhi Ho Hare ki apni quality Hote Hain lekin CG 125 ki sabse Jyada acchi aur Kamyab quality Hain yah pad aare aur majbut Sawari hai Jisko Masani ke sath bye Karke apni jarurat Puri kar sakte hain

                              اب آن لائن

                              Working...
                              X