Assalam o alaikum dear members and traders. Umeed hai aap sub bohat achay hongay. Yeh review second hand gaari ya car ki khareedari pay mubni hai. Pakistan mai 80 percent abaadi average aamdni waali abaadi hai. Jiss kay liye brand new ya zero meter gaari khareedna ziada asaan ya mumkin nahi hai. Iss liye unn ki koshish hoti hai kay second gaari he khareedi jaey. Second gaari khareednay kay liye apnay apnay city mai he koshish kerni chaiye. Second car ko jab bhi khareedna ho tou sub say pehlay apni zarurat ko daikhna chaiye aur uss kay baad apni amount ko daikhna chaiye kiyu kay aik baar gaari khareednay kay baad baar baar usay tabdeel kerna asaan nahi hota hai.
Second hand car jab bhi kahi pay check kernay jain tou sub say pehlay uss kay documents ka pooch laina chaiye kay woh clear ho. Documents complete hona aur tax clear hona bohat zaruri hain. Duplicate documents waali gaari khareedna theek nahi hota hai. Uss kay baad gaari ko physically check kerna bohat zaruri hota hai. Gaari major accedented nahi khareedni chaiye kiyu kay aisi gaari ko maintenence bhi uss ki life ko nahi Barha sakti hai. Second hand car ko uss kay exterior, interior, tyres, fuel type, engine condition aur floor ki condition ko check ker kay he khareedna chaiye.

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим