Assalam o alaikum dear members and traders. Umeed hai aap sub bohat achay hongay. Mai aap sub ko aaj online business k sub say Bari type kay barey mai batanay jaa raha hu takay aap sub ko achay aur buray ka pata chall sakey. Online business mai sub say ziada companies MLM design ki hoti hai.
MLM companies ka design sub ka aik jaisa he hota hai laikin sirf cover change hota hai aur clients ko sub acha dikahanay kay liye bohat kuch dikhaya aur bataya jaata hai. MLM asal mai multi level marketing ka abbreviation hai jiss mai iss Tarah design kia Jata hai kay aik client jabb join kerta hai tou woh dusray members ko join kerwata hai. Suppose karain kay aik MLM company join ker kay aik client 10000 investment ker daita hai tou usay kaha jata hai Agar woh 2 mazeed members ko join kerwaey ga tou usay unki investment ka 25 25 percent milay ga jiss say unki investment ka 50% unhain wapis mill jaey ga aur company ko 150% chala jaey ga. Phir woh members aik triangle mai jab mazeed members ko join kerwatey jaen gay tou commissions barhatay jaen gay laikin asal mai aik hand some amount her level aur her step pay company ko he jaa rahi hogi. Aik aisi stage aey gi kay company kay paas millions aur phir billions baghair aik rupyaa kisi bhi business mai invest kiye jama hotay jaen gay aur members aik dusray ko apnay refferals Bana kay apni investment commissions ki soorat mai jama kertay rahengay. Koi bhi kisi bhi solid business mai nahi hoga aur na he iss business ka koi base hoga.
MLM companies iss Tarah paisa jama kerti hain aur phir laakhoo customers owners ko dhundnay mai lagay rehtay hain aur company bananay waley ghaib ho chukay hotay hain. MLM mai kaam kernay ki bajaey best forex trading business hai jiss ka aik proper design hai aur jiss kay back pay real trading markets work kerti hain

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим