Topic: "Online Shopping k Fawaid or Nuqsanat"
Mujoda doar main science or technology ki taraqi ny insan ko buhot sari aasaniya or saholiyat fafaham ki hai; or aaj ka insan ghar baithy dunya k kisi bhi kony main rehy waly shakhs sy na sirf batein kar sakta hai balky minto or secondo main apasi malomat muntaqil kar sakta hai. Ise tarah dunya main phely howe har brand ka saman ghar baithy mangwa sakta hai or apni man pasand ashya ki khareed or farokht kar sakta hai jis k liye is ko mutaadad ikhtiyarat diye jaty hai; jesy credit card, debit card or net banking waghera.
In tamam online kharedari k darmiyan jahan insan ko buhot sary fawaid hasil hoty hai wahi nuqsan k imkanat bhi hoty hain; is liye ik shakhs ko online kharedari k waqat chand cheezon ka khayal rakhna parta hai; taky is k muzir asrat sy bach saky.
Online kharedari k fawaid:
Mahireen ka kehna hai k online shopping k bohut sary faidy hai jis main ya hai k aap ko achy sy achy brand ki ashiya asaani sy offers main mil jaty hai or aap ko ya ikhtyar mil jata hai k aap apny tor par behtar chez chun saky.
Online shopping sy aap jismani thakawat sy bach jaty hai; q k aap ko shopping center jana nahi parta or ya k is k liye koi time table main qaid nahi hona parta; agar aap kisi brand ka ik chez kharedna chahty hai to is ki qeemat ka muwazna dosry brand sy kar sakty hai. Is tarah agar aap rail ki tickets ya hawai jehaz k ticket lena chahty hai to is k liye bhi online sites par qeemat chek kar sakty hai. Ab to zaroryat zidagi k sary saman internet shopping sites par dastyaab hai; sab sy bari baat k ya 24 ghanty muyasar hoty hai or aap sirf ik click par shopping kar sakty hai.
Online shopping k nuqsanat:
Jab aap online shopping karty hai to aap credit card ka number dety hai jis ko hackers chura sakty hai or aap k zaati malomaat jesy aap ka phone number, address, card k pin numbers tak rasai hasil kar k aap k account sy paisy nikaal sakty hai ya shopping kar sakty hai. Is tarah net par buhot sary fraud shopping sites hain jo bazahir to bharosa mand nazar aaty hai; jesy hi aap un sy shopping karingy to aap ki sari data or information un ko puhunch jaiga or aap maali nuqsan uthaty rahaingy.

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим