Qoumi Bachat Bank ( National Savings Bank) ki taraf se Government ky idaron se discharge hony waly Pensioners ky liye ek special Bank Account Pensioners Benefit Account (PBA) ky name se ek sahulat ky tor par dia gaya hai.Iska naqsad un ko unki services ky bad un ko ghar beth kar monthly profits dena hai. Is trha bank mein woh apni raqam jama karwa dety hain aur isky bad monthly raqam un ko ada ki jati hai. Yeh ek 10 years programme hai jis mein unko monthly income di jati hai.
Requirements and Important Points :
Benefit Account hasil karny ky liye aap ko government ky kisi official idaray se pensioner hona zaruri hai aur aap isky bad yeh account apni Job details deny ky bad banwa skty hain.
Benefit Account mein aapko apny deposit ky mutabiq monthly raqam milti rehti hai aur aap ki minimum deposit 10,000 aur maximum deposit 5000,000 ho sakta hai. Is range se opar ya neechy ki raqam deposit nahin ho skti.
Isky ilawa aap ki deposits 8 times ho skti hain aur aap ek account mein 8 times se zeada bar ka deposit nahin kr skty.Apko chahye ky 8 times mrin jitni bhi raqam rakhwani hai aur usoe benefit hasil krna hai woh rkhwa den.Apko monthly us raqam ki base pe kam ya zeada profit milta hai.
Aap sirf aur sirf ek hi Pensioner Benefit Account open krwa skty hain aur agar aap dusra kahin aur ja kar open karwaty hain to woh record check kar ky dusry account ki opening reject kar den gy.
Agar aap 1, 2, 3 ya 4 years se pehly apny accounts se amount niklwana chahty hain to aap ky accounts se deduction hoti hai jiski percentage 1% before 1 year, 0.75 % before 2 years aur 0.5 % before 3rd and 4th year hoti hai. Isky ilawa 4th year ky bad aap niklwaen to koi deduction nahin ki jati.

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим